TM Urdu Writing Competition-sep 2011

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


kia baat hai bahaar itna jaldi aur itna bahetreen likh diya.bahot barhiya.
ek taraf to alvida tm aur dosri taraf itni taweel tahreer kuch samajh nahi aaraha.
Shukrya shukrya janab....
Hehehe to kya Alvidaai tahreer aisi nhi hosakti?{(popcorn)}
Aap samjh jaoge tab hum na rahenge{(cray)}{(cray)}
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
hmmmmmmmmm mashaAllah bahaar..
kya baat hai..itni jaldi ap ne likh lia..
boht shukaria muhtarma ap ne humare contest ko ronak bakhshi{(popcorn)}
best of luck..ab aaram se beth kar result ka intazar kijiye,.:)
Ji mohtarma Unwaan hi kuch aisa dil ko choo janewala tha k apne aap qalam ne lafzon ko chunna shuru kiya..
ji ji umeed karte hain k humare jane se pahle apka natija baramad hojaye..{(popcorn)}
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia


Shukrya shukrya janab....
Hehehe to kya Alvidaai tahreer aisi nhi hosakti?{(popcorn)}
Aap samjh jaoge tab hum na rahenge{(cray)}{(cray)}
arey aise na kaho bhai aap aaye bahaar aayi.
jab aap na rahenge to hum aapko bahot miss karenge inshaAllah.
waqt nikal kar aate bhi raha karen.mareezon ko kuch taskeen hojayegi.
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


Ye Allah ka humpar bahot bada ehsan hai k usne hame ashraful maqlooqat banakar is dunya me bheja.jab Allah taala ne irada kia k main zameen me apna naayeb banane wala hon to farishton ne kaha tha k aye Allah to is insan ko apna naayeb banane wala hai jo zameen me fitna o fassad karta phire.aur Allah kia hum teri ibaadat keliye kum hain hum to teri ibaadat din o raat karte hain.ye sunkar Allah ne kaha k main wo janta hon jo tum nahi jante.aur isi tarha Allah aadam ko wo tamam naam sikhaadiye aur Allah ne farishton se muqatib hokar kaha k inke naam batao to farishton ne kaha k aye Allah to hi behtar janta hai.tab Allah ne aadam se kaha k in sabke naam batao to aadam alaihissalam ne in sabke naam batadiye tab Allah ne kaha k maine kaha tha na k main wo janta hon jo tum nahi jante.uske baad Allah ne subko aadam k samne sajda karne ko kaha tamam farishton ne sajda kia siwaaye iblees k aur wo nafarmanon me se hogaya.tabhi se usne aadam alaihissalam aur maa hawwa ko bharkaana shru kia aur unhe jannat se nikalwa dia aur Allah se qayamat tak keliye muhallat hasil karli k main tere bandon ko bhatkaata rahunga.Allah ne isse muhallat dedi aur kaha k jo mere farmabardaar bande hain wo teri baton me nahi aayenge.aur teri farmabardaari karne wale na farmanon me se hojayenge.

Aur tab se lekar aaj tak shaitan insanon k peeche laga rahta hai unhe tarha tarha se bhatkaata hai.insan ki sifat me lachak rakhi gayi hai.uske iqtiyar me ye baat kardi gayi hai k wo acchayi aur burayi dono me se ksi ek ko iqtiyar kare.uske barkhilaaf farishton ki sifat sirf nek kaam karna aur Allah ki hamd o sana o ibaadaat me mashghool rahna hai.isiliye to hazrat allama iqbal rahimahumullah ne ye sher kaha tha k.

Farishton se barhkar hai insane banna
Magar isme lagti hai mehnat ziada.


Ek martabe hazrat omar raziAllahu anhu se poocha gaya tha k taqwa kis cheez ka naam hai to unho ne ek bahetreen missal k zarye isse samjhaya tha k " raaste k dono taraf kaante daar daraqt hon aur tum usse bachte jaarahe ho k koi kaanta bhi tumhare jism ko nuqsan na pahunchasake" theek zindagi ki missal bhi usi tarha hai k hum gunahon aur burey kamon se bachte hue zindagi guzaren.aur isi ka naam taqwa hai.subhanAllah


Is dunya ki tamam maqlooq ka jab aap baghaur mushaheda karenge to aapko pata chalega k Allah ne jo ausaaf insan ko ata kiye hain wo dosri maqlooqat ko ata nahi kiye hain.isiliye isse ashraful maqlooqat kaha gaya.Allah ne insan ko soonchne samajhne , bolne ki aisi besh baha nematein ata ki hai k insan iska shukriya apni tamam zindagi ibaadat karle tab bhi ada nahi karsakta.laikin insan hai k is aql ko ghalat kamon me istemal karta hai.wo ye nahi soonchta k in nematon ki mujhse baaz purs ki jaayegi.laikin wo fir bhi isi faani dunya me itna mashqool hogaya hai k wo apne qaaliq e haqeeqi ko bhi bhula chukka hai.

Ek na ek din hamey is daar e faani se kooch karke mulk e adam ki raah leni hai jahan hamara koi na hoga.us din ki tayyari hamey abhi se karni hai.aur apni zindagi ko taqwe wali zindagi banana hai.aur iske badle jannat hasil karna hai.isiliye hazrat allama iqbal rahimahumullah ne kiya khoob kaha tha k

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi
Ye khaaki apni fitrat me na noori hai na naari hai.
Wahhh Wahh kya baat hai Arshad bhayiii....Umdaa bahut khubsurat.....
JazakAllah khair
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hain...:eek:
kyun muje herat se behosh karne ka irada hai ap logo ka..sharing pe sharing... kya baat hai..{(dancing)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
hain...:eek:
kyun muje herat se behosh karne ka irada hai ap logo ka..sharing pe sharing... kya baat hai..:-bd
Toh hojao na takay humko sukoon ata ho....
Waise abhi behoshi ka injection laga nahi hai Bahaar se mohtarma...{(laugh)}{(laugh)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ap muhtaram hastiyon se ek guzarish hai k apni sharing TM URDU WRITER section me ek thread bna kar post kren..aur yahan us ka link den..:)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


sharing jaldi karo to mushkil na karo to bhi mushkil.fir kahte firti hain k koi sharing kyun nahi kar raha.
Haan Annu ko chain hi nahi.....{(baby}){(yahoo)}
Sabki Garadn p Talwar rakhkar likhwati hain mohtarma....aur dekho ab kaise be hosh hone ki tayyari me hain..;));))
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hihihi huh
baatain na banao muhtarma../:)
ek side pe beth k pop corns khao {(popcorn)}aur result ka intazar kro..:p
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Status
Not open for further replies.
Top