TM Urdu Writing Competition-sep 2011

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wa alikum asalam wrwb...Masha Allah ji kia hi acha topic h.lekin afsos Allah ne mojhe to khas tor pe itna zaheen n bnaya k kuch likhon bas wah wah kr don gi
itni na'shukri siso/:)
Allah ne ap ko boht ba'salahiyat banaya hai..ek bar koshish to kren..:)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
hmmm nice well likhne ko buhat kuch likh sakta hon aur likha bhi hai kafi but time ki shortage ki waja se shayad na likh paon ({kopping)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
jazakAllah khair bhai.bahot acchi tahreer mashaAllah.abto inshaAllah ye contest pahle se ziada tuff hojayega.laikin bhai aapko idhar bhi share nahi karna chahiye aapko alag se thrd banana chahiye jis tarha maine bahaar aur tooba ne banaya hai.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmm nice well likhne ko buhat kuch likh sakta hon aur likha bhi hai kafi but time ki shortage ki waja se shayad na likh paon ({kopping)}
waqat to nikalne se hi nikalta hai..
hum b dekhna chahte hain k ap kesa likhte hain
to ap waqat nikal kar kuch likhen
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
jazakAllah khair bhai.bahot acchi tahreer mashaAllah.abto inshaAllah ye contest pahle se ziada tuff hojayega.laikin bhai aapko idhar bhi share nahi karna chahiye aapko alag se thrd banana chahiye jis tarha maine bahaar aur tooba ne banaya hai.
wo mje saviou ne yahan karne ka kaha tha ..{(popcorn)}Esh liye..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ap sb sharing k liye ek alag thread lgaya kren..mutalka section me.aur us ka link yahan post kia kren
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
{(thx)}
"Farishte se Behtar Hai Insan Ban'na,
Magar Is main Lagati Hai Mehnat Ziada"


Hazrat-Muhammed{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka mission kya tha.?


Us mission ka asal kam (highest virtue) kya tha?

Hazrat- Mohammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke mission ke bare mein baat karne se pehle hum is duniya ko allah ne kyon banaya isse janna bahut zaruri hai.

duniya ke bare mein soch kar ek samjhdar insaan ye sochne par majboor hota hai ke

”yeh kaynat(universe) kyon paida ki gai hai ?

Kisne ne paida ki hai?

Kya Ye apne aap chal rahi?

Yah iska koi chalane wala bhi hai?

Iska anjam kya hone wala hai?

is mein jo allah ne cheeze paida ki hai,kyon paida ki hai?

Fir insan sochta hai meri zindgi ka maqsad kya hai?

Mujhe kyon paida kiya gaya hai?

mera role kiya hai?

meri hasiyat kiya hai?

mera anjam kya hone wala hai?

Ye sawal paida hote hai?

Ab jab hum inka jawab quraan mein dhundte hai tab hum pate hai..allah quran mein farmata hai ,

“aur yaad karo jab tere ‘rab’(palnewale) ne ‘farishto’ se kaha ki mein zameen par ek ‘khalifa’(vicegerent) bana ne wala hu”

( surah-al-baqrah,aayat-no: 30)

{yeh hazrat adam ki paidaish ke pehle ka mamla hai,allah ne hazrat adam(yani hum insano) ko is kaynat ka khalifa banaya hai.khalifa kuan hota hai ?

Khalifa= wo jo malik(owner) ki milkiyat(estate, property) mein us(malik) ke diye gaye ikhtiyar(power, rights,privileges) malik ke numayendey(representative) ki hasiyat se istemal kare.

khalifa malik nahi hota balki asal mein malik ka nayib(representative)hota hai.khalifa ke ikhtiyar personal nahi hote balki malik ke diya gaye hote hai,woh apni marzi ke mutabik kam karne ka haq nahi rakhta, balki us ka kaam malik ki marzi ko pura karna hota Hai,

agar khalifa apne aap ko khud malik samjhne lage aur apne ikhteyar ko manmane tareke se istemal karne lage ,ya asal malik ke siwa kise aur ko apna malik samjhne lage toh yeh sab ghaddari aur bagawat hai.

aur dosri baat jab allah ne insano ko zameen ka khalefa banaya to is ka seedha sa matlab ye tha ke,allah insan ko ikhteyar de kar aazmayega ke kuan allah ki marzi ke mutabik un ikhteyar ko istemal karte hai aur kuan nahi.

Aur allah yeh bhi kehta hai ke “hum ne jinno aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ke woh meri ibadat(bandegi) karein”.

(surah-al-zaryaat, aayat-no: 56)

{ibadat ka matlab sirf namaaz ,roza nahi hota balki puri zindagi allah ki marzi ke mutabik guzari gai hai.( complete obedience not partial obedience)}.

yah to tha insaano ki paydaish ka maqsad.jisko yaad karwane ke liye allah ne waqt-waqt mein apne messengers bheje,aur in sab messengers mein akheri hazrat muhammmed{sall’ allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hain.

(in sari baton ka ek natija(result) nikalta hai ke ek din aisa hona chahiye jab allah apne farmabardaro ko reward de aur na-farmano ko punishment.) Aaye ab hum dekhte hai hazrat muhammed{ sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne kyon rasool bana kar bheja hai,

muslims se allah kiya chata hai ?

Hum muslims ki kya responsiblity hai?

Sabse pehle hum hazrat muhammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ke responsiblity ko dekhte hai . Allah aage hume batlata hai, huzur{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne jab rasool banaya toh kaha

“utho aur kahbardar karo” (arise and warn)

{surah-al-mudassir, aayat-no: 2)

hamesha ki jannat aur dozak ka fasla hojaega.fhir dusri jagah allah farmata hai

“wah(rasool) unhe(logo ko) neki ka hukum deta hai,burai se rokta hai,unke liye pak chize halal aur napak chize haraam karta hai,aur unpar se wah boj( loads) utarta hai joh unpar lade hue the aur wah bandhan khoalta hai jin mein wey jakdey hue the.

{surah-al-aaraaf, aayat-no: 157).


Hazrat muhammed{saw} ke asal maqsad(highest virtue) joh aap ko tamam nabi aur rasoolo ki jamaat mein ek alag position ata karti hai.

allah kehta hai ”wah allah hai jisne apney rasool{saw} ko hidayat[ guidance(quran)] aur deen-e-haq(complete way of living) de kar bheja hai,taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi(system of life) par aur is haqeqat ki gawahi ke liye allah kafi hai”.

(surah-al-fatah, aayat-no: 28)

ye aayat-e-kareem 3 bar quraan mein aai 2 bar similar aur 1 bar sirf thode se farq ke saath

{surah-al_fatah, aayat-no: 28 , surah-al-saff, aayat-no: 9 & surah-al-anfaal, aayat-no: 33 }

allah ne is ayat 3-3 bar nazil kyon ki zara sochiye?

Yani is aayat se hume pata chala ke allah ne hazrat muhammed{ saw} ko 2 chiz di hai nos

1. Hidayat(quran) aur

2. deen(yaani allah ka bheja hua zindgi jeene ka tareqa jise hum ‘shariat’ bhi kehte hai)

aayat se ek baat aur pata chali ke allah ne farmaya”taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi( system of life)

Par ”yani hum muslims ke zimme yeh duty hai ke hume allah ke deen ko galib(superior,bada)banana hai.

Yeh hum sab muslims ki duty hai ,yeh farz-e-aaen hai(no one is exempted).kiya hum ye kaam kar rahe hai ???.

hume allah ne apne deen ko puri duniya mein bada banane ko kaha tha lekin afsos sad afsos musalmano socho toh zara duniya ke kis hisse mein allah ka bheja hua deen chalta hai.

gairo ko chodo khud hamara ‘haram-halal’ dusre decide karte hai.allah ka bataya ‘haram-halal’ aaj neeche hai .(allah gawah hai mujhe rohna aa raha hai) jua(gambling) zina( fornication) sood(interest), blue films (ka dekhna kis kadar shaitaan ne asan bana diya),behayai hamre rab ne toh parda de kar hazrat muhammed{saw} ko bheja tha, fasley kis kanoon ke mutabik ho rahi hai allah farmata hai

“joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh kafir hai”,

“joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh zalim hai”

“joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na kare wahi toh fasik(reblious) hai”

(surah-al- maidah, aayat-n0 : 44 ,45 ,47)

liberalism,seclarism, etc etc sab hai par afsoos kahi ‘allah ka kaha’ nahi hai’…

‘allah ki aise bagawat isse pehle zameen mein kabhi nahi hui’. Hum kehte zaroor hai ‘har namaz mein ‘allah hu akbar’(allah sabse bada hai).

Musalmano batao kiya allah sach mein bada hai?

Ya shaitaan bada hai?

Nahi ban paya?

Kiya hamarey ghar mein t.v band ho gayi?

Kiya hum sood(interest) ki lanat se bach gaye?

Kiya hamarey shadi-biyah allah ki marzi ke muttabik hote hai?

Hum kaha-kaha tak haram halal ka tameez karte hai?

Kab tak musalmanno time pass karoge?

Allah farmata hai ”kiya imaan walo ke liye woh waqt nahi aaya ki unke dil allah ke zikr(quran) aur uske utare hue haq ke aage jhuk jae.

(surah- al-hadid, aayat-no: 16)

jab tak shariat(divine law) zameen par lagu nahi kiya jayega allah bada nahi banega!!!

Kyon ke allah ne apne rasool{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko deen-e -haq de kar bheja hai.islam isliye aaya hai ke uske mutabik zameen chale.

allah farmata hai agar musalmano tum allah ke kam nahi karoge toh allah tumhare sath ye karega

”kaho agar tumahre baap,tumahre bete,tumahre bhai,tumahri wifes,tumahri family,aur wo maal joh tumne hasil kiya hai aur wah karobaar jiske mandey pad jane ka tumko shak hai aur wah ghar jo tum ko pasand hai tumhe allah se,aur uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye.aur allah nafarmano ko rah nahi dekhata.

”(surah-al-tauba, aayat-no: 24)

jaddo-jehad(struggle)ye batati hai ke kaun allah se aur uske rasool se sach mein mohabbat karte hai.lambi-lambi zabane rakhne wale musalmanno yeh kaam allah ne hum sab par farz-e-aan(no one is exempted)hai.

Arey apney career ,apney buisness,apney kaamo ko choro aur allah ka kaam chalu karo ..marna tumko bhi hai marna mujhe ko bhi hai qabar Mein jana hai fir allah se kyon daga karte ho, agar nahi karoge to allah farmata hai

”uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye’ ‘allah aage farmata hai “tum inke maal aur aulad dekh kar tajjub na karo. Allah to ye chahata hai ke inke zareye sey in ko duniya ki zindagi mein azab de aur inki jaane is haal mein nikale ki wo kafir ho’

(surah-al-tauba, aayat-no: 55)

arey socho zara sahaba nabi{saw} ka sath chor kar apney gharo se nikley madine shareef mein to nabi{saw} the.

‘jaha nabi{saw} ka paseena gira sahaba ne apna khoon gira diya..aur islaam galib ho gaya’ .

aaj kitne afsoos ki baat hai deen gairoh ka nafis(buland) hai,hum muslim unke deen ke tehat apni zindagi guzar rahe hain.

‘hum apney islaam ko sirf mazab(only namaz,roza,haj) bana kar rakh diya hai,

jabki islam deen(24 hours life) hai’.hume unko jaziya(tax) de kar zindagi guzar rahe hai, deen unka bada hai, hum sirf namaaz roza tak muslim hai.

Allah farmata hai ”jab kitab ke ek hissey par amal karoge aur ek hissey ka inkar to aisa karne wale ki saza is ke siwa aur kiya hogi ke duniya mein ruswai aur aakhirat mein sakht tareen azab’

(surah-al-baqrah, aayat- no: 85)

aayat ke in alfaz par ghaur kare ‘akhirat mein sakht tareen azab .

qiyamat mein to sab jante hai ke sabse zada azab munafiqo(joh dawah karte hai muslim hone ka lekin islam par pura aamal nahi karte) ko milega .

Munafiq aur bidati jahannum ke sabse Nichley darjey mein honge’

(surah-al-nisa, aayat-no: 145) ”

lado unse jo

(1) imaan nahi rakhte allah par

(2) na hi qiyamat par

(3) na hi wo haraam karte hai jo allah ne aur uske rasool{saw} ne haraam kiya hai


(4) aur wo jo islaam ko kubool nahi karte ahl-e- kitab (jews and christians), jab tak wo jaziyah(tax) nahi dete apni marzi se, aur chote ban kar rahe”.

(surah-al-tauba, aayat-no: 29 )

” aur ruzu(palto) apney rab ki taraf aur uskey farmabardar bano isse pehle ke tum par azab aaye, fhir tum ko koi madad mil na sakegi ”

(surah-al-ankaboot, aayat-no: 54 ).

” aye eman walo! Allah ke madadgar bano . jis tarah isa-ibne-maryam ne apney hawariyo(companions) se kaha tha ‘kuan hai allah ke rah me mera madadgar? Hawariyo ne jawab diya tha, hum hai allah ke madadgar.to bani israel ke ek giroh emaan laya aur dusrey giroh ne kufr kiya .toh humne(allah ne) emaan lane walo ki unke dushmano ke muqabley mein madad ki aur wah galib ho gaye

(surah-al-saff, 14) “

omg{(confuse)}
itna kuch itna zabardast or jamah tumnay likka hay?
mashaAllah bht zabardast tareqay say u nay tpic wazah kia hay...
very nice tayyab...best of luck..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
inshaAllah..hume apki sharing ka intazar rahe ga..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
zarur koshish kijiye ga.....
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
saviou ap b acha sa likhen...{(popcorn)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
subho muqable ki last date hai..
 
Status
Not open for further replies.
Top