tumahara akhree khat abhee tak

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
tumahara akhree khat abhee tak mere pas hai
yoon jo likha tum ne bahut sada tha
par jo kaha nahee aur us ka hissa tha
woh bahut bada tha bahut zyada tha
na koyee kasam thee us main koyee wada tha
par jo bhee tha bahut zyada tha

main khud tumhe kabhee kuch nahee diya
par tum ne phir bhee kuch tha jo paya tha
main meree duniya se bahar hee nahee ayee
tumahre pas tha jo mera saya tha
tum woh saya bhee us tahreer ke sath
wapis laye the
agarche woh zindgee tumahree thee
woh tumhara sarmaya tha

tumahre khat main maine asman dekha tha
logon kee nazar main woh kam dikhata tha
ankhon ke ansooyon ko rok liya maine lekin
dil ka har kona nam dikhata tha
aaj bhee jab woh khat dekhtee hoon
tahreer wahee hai naya manee milata hai
naye badal se ubhar jate hain
ankhon ko naya panee milta hai
isee panee man ahsas ke gulab khare rahate hain
umra beet gayee par par sare patee hare rahate hain

main nayee zimmedaryon main khoyee hoon
tum bhee shayed naye rishte nibhate ho
main jab tum ko yaad thee tum ko yaad nahee kiya maine
ab ikrar kartee hoon ke yaad ate ho

mere hade nigah tay ho gayee hai
mera dayara bhee main jantee hoon
tum apen natee rishton se wakif ho
main apnee zimmederee pahchantee hoon

jo kuch bhee huya ho gaya
par dil par kab pahare huye hain
tumahre akhree khat ke lafz
waqt ke sath aur gahare huye hain
main khush hoon ke mere duniya main
rum aaj bhee shamo sahar vaheen ho
dil ke aise kpne main jahan mere siwa
koyee pahunchata hee nahee ho

waqt ne mujh ko tumahre khat ka
manee samjhaya hai
ye tumahre hee lafz hain
meree ankhon main jo panee aya hai

tum ne chaha hoga khat main
ganga main baha doon
ya hawan kee aag mein jala doon

mere dil main aaj bhee chandan kee tarah jalata hai
meree ankhon main nav kee tarah chalata hai
yahee hawan hai yahee paak aab hai
par tumahre khat ka kuch bhee ab khatm nahee hota
ye ek wark nahee zindgee kee kitab hai
ab ye faqat ek pal nahee
mere mazee ka hisab hai
tumahre khat ko hawan jala nahee sakte
smander baha nahee sakte
jab nazdeek the nazdeek nahee the tum
ab chaho bhee to door ja nahee sakte
tumahre khat ke har harf main tum ho
aur manee main mera saya hai
aaj bhee jab parho to to lagata hai
jaise khat aaj hee aya hai
aur aankh nam ho jatee hai
aise main zindgee kee pareshanee aur talkhee
apne aap kam ho jatee hai
tumahre khat ke har harf main tum ho
aur manee main mera saya hai
aaj bhee jab parhee to to lagata hai
jaise khat aaj hee aya hai
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34
So Sad . . . But ,

Apki Post Achi Laggi Hamein, Diand ki Importance, Goldsmith ko hoti he, Hamein Aapki Kadar he, hhhehehhe
Yun he Hamarey Saath Share kartey Rahein.

Aur Mein Yehi Kahoonga Ke,

Na Koi Dhoka He Banawat , Sirf Yahan Sachai He,
Teri Mehfil Se To Achi Meri Yeh TANHAI HE.

Khush Raho {(goodpost)}
 
Top