Tumhare Naam Karti Hoon

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Main apna aaj apna kal tumhare naam karti hoon

Main is jeewan ka her ek pal tumhare naam karti hoon


Tumhare dukh,uddasi,ghum sabhi ranjo alam leker

Main apni her khushi tumhare naam karti hoon


Tumhare bin her ek pal mujhe bechain rakhta hai

Main apna Dil jo hai bekal tumhare naam karti hoon


barasta bheegta mausam hai kamzori meri lekin

Main yeh saawan ghata badal tumhare naam karti hoon
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top