~*~ universe(kaayenat) ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
m31_gendler_big.jpg

In The Name Of Allah The Most Beneficent The Most Merciful

{(AOA)}


[FONT=&quot]Jab koi shaqs aankh kholta hai aur dekhta hai k wo ek wasi o areez kaayenaat k darmiyan khada hai to uske zahan me aata hai k kaayenaat(universe) kisne banayi au rise kaun chala raha hai.iske baad doosri jo cheez insane janna chahta hai wo yeh k " mera khuda(god) kaun hai"?[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Apne wajood aur baahar ki dunya par jab hum ghaur karte hain 2 nihayat shadeed jazbe hamare andar paida hote hain.pahla shukr o ehsan mandi ka aur doosra kamzoori aur aajezi ka.[/FONT]​

[FONT=&quot]Hum apni zindagi k har mor par nazar daalte hain to hamein saaf dekhaayi deta hai k hamari zindagi ksi k ehsaanaat se dhaki hui hai.ye dekh kar hamare dil me us dene wale keliye be panah jazba e shukr umad aata hai.aur hum chahte hain k hum apni bahetreen cheez uski rah me kharch(spend) Karen.[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Ghaur kijiye hum apne aapko ek aise jism me paa rahe hain jis se baheter jism ka tasawur hum nahi karsakte.isko aisi ajeeb zahni quwwatein hasil hain.jo ksi bhi dosre jaandar ko nahi degayi hain.halanke humne in quwwataon ko haasil karne keliye kuch nahi kia aur naahi hum kuch karsakte hain.balke ye us khuda(god) ka dia hua gift hai.ye gift kisne dia?[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Fir hum apne jism k baahar dekhte hain dunya me hum is haal me paida hue k hamare paas apna kuch nahi hota.na humko kaayenaat(universe) par koi ikhtiyar hai k hum isko apni zaroorat k mutabeq bana sakein.hamari hazaraon zarooratein hain magar ksi ek zaroorat ko bhi hum khud se poora nahi karsakte .laikin hum dekhte hain k dunya me hairat angez taur par hamari tamam zaroorataon ko poora karne ka intezaam kia gaya hai.[/FONT]​

[FONT=&quot]Aisa maaloom hota hai k kaayenaat (universe) apne tamam saaz o saamaan k saath is baat ka intezar kar rahi k insan kab paida hoga aur wo iski khidmat me lag jaaye.[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Missal k taur par awaz ko lijiye jiske zarye se hum apna khayal dosraon tak pahunchahte hain.ye kaise mumkin hua k hamare zahan me paida hone waley khayalaat ko zaban k zarye dosraon k kaanaon tak pahunchasake.iske liye hamare andar aur baahar beshumar intezamaat kiye gaye hain.jinme se ek aham hawa(air) hai.hum jo alfaaz bolte hain wo be aawaz lahraon ki soorat me hawa(air) par is tarha safar karte hain jis tarha paani ki satah par maojein(waves) paida hoti hain.agar ye hawa(air) na hoto hum apni awaz ko dosraon tak pahunchana namumkin hota.[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Magar ye zarya bhi nakaafi hai.kyunke hawa(air) k zarye hamari awaz 5 second me 1 mile ka faasla tai karti hain.iska matlab ye hai k hum apni awaz ko ziada dur tak nahi pahuncha sakte.magar khudrat ne hamey ek aur intehaayi tez raftaar zarya mohayya kia hai.ye roshni ya electromagnetic waves hain.jiski raftaar 1 second me 1 lakh 86 thousand miles hai.wireless messages ka kaam isi zarye se lia jaata hai.jab koi shaqs radio station me lagey hue microfone k qareeb awaz nikalta hai to microphone awaz ko jazb karke ise electromagnetic waves me tabdeel kardeta hai aur wire k zarye isko transmeter tak bhej deta hai.aur is tarha 5 second per mile chalne wali awaz electromagnetic waves me tabdeel hokar 1 second me 2 lakh miles per second ki raftaar haasil karleti hai.aur chund seconds me saari dunya me phail jaati hai.[/FONT]
[FONT=&quot]
[/FONT]​
[FONT=&quot]Ye In beshumaar intezamaat me se ek hain jisko maine yahan bayan kia hai.warna Allah ki nemataon ka agar zikr kia jaaye tab bhi ye naamumkin hai kyunke Allah quran me kah raha hai k "agar samandar siahi banjaaye aur daraqt(trees) qalam(pen) ban jaayen tab bhi wo hamari nemataon ko likhne keliye kaafi nahi hain." subhanAllah.

note: ye kaayenaat part 2 hai.part 1 ko main urdu section me likh chuka hon.aur iski ziadatar maaloomat james janes ki kitab "mistress universe"aur maulana waheed uddin khan ki kitab "haqeeqat ki talaash" se li gayi hain.

[/FONT]​
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Mashallah buhat achi sharing hai . Allah ne humen beshumar naimaten di hain jidhar nazar daloo us ki nemat hai yahan tak ke ankhain band karoo tab bhi us ki naimatain zahir hoti hain . Allah humen samajhney ki taufeeq de aur humarey dil ko sachey iman se bhar de Aameen
 
  • Like
Reactions: Sara Cilli Milli

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad
انسان کے اطراف پھیلی یہ کائنات ایک واحد رب العالمین کے وجود کی کھلی نشانی ہے
بہت تھوڑے انسان ہیں جو اس حقیقت کو تسلیم کرکے اللہ تعالی کی نعمتوں کا شکر ادا کرتے ہیں
اور بہت زیادہ ہیں جو اس حقیقت کو تسلیم کرلینے کے بعد بھی رب العالمین کو بھول جاتے ہیں
ایک سچے موحد کو ان دلائل کی ضرورت نہیں رہتی
لیکن ناشکرا انسان کے لئے ہزاروں دلائل بھی بے سود ہیں


 
Top