~Urdu Adab Competition~

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
ye loo, main aaa gai apne intekhaab k saaath...{(gimmefive)}.. Umaira Ahmed k Novel AMAR BAIL se liya hai:)

Zindagi

zindgi tanhaye k samundar mein ik jazeery ki see haisiiat rakhti hey.iss jazeery ki chataanain umeedon ka roop dhaar leti hein.is k darkht khawab ban jaty hain.is k phool aman o sakoon ka namuuna hein.isski nadiyan sarap e tishnigi hen.zindgi ik aisa jazeera hey jo dousry jazeeron se alag ho gya hey.hamari zindgi ik alag thalg ghr ki manid hey jo dousry logon k gharon se bilcul alaihda hey.yeh woh ghar hey jahan koi hamsaya andar jhank k nahi dekh sakta agar yeh ghar tareeqioun mein ghir gya ho tu tumhary hamsiay ka chiraagh is mein roshni nahi phaila sakta.agar iss ghar mein khany peeny ka saman khatm ho jaye tu tumhara hamsaaya tumhy kuch nahi dey sakta.agar yeh ghar shehra mein waqya hey tu tum isko dousry logon k baag mein nahi le k jaa sakty.agar yeh ghr kisi pahar ki chooti pe abad hey tu tum isy is wadi mein abaad nahi ker sakty jahan aur log b abaad hen.

bohot khoob nelli
bohot hi umdah sharig
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~ and Nelli

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wasif Ali Wasif Kii Kitab "dill Derya Samunder" Se iqtibas

KARAWAN-E-WUJOOD

ye kaainaat her hal mein badaltii hay, bas ek chalti hay k chal rahii hay.pees rahii hay zindagii ko aur janam de rahii hay naee zindagii ko.rang bantay hain aur rang mit,tay hain.ek rang jo hamesha qaaim rhta hay, wo hay Allah ka rang. jab k her shay tabdeel hotay hotay mit,tii chalii jatii hay, lekin Allah ka rang, shaan wala rang naee tabaniyon k saath qaaim rehta hay.kaainat badaltii hay, lekin kaainat ko tabdeeliyaan ata kernay wala qaaim-o-daaim hay. joon ka toon, uss mein na kamii hotii hay or na izafa. wo apnay jalwon mein baqii rehta hay. iss k ilawa her tabdeelii, her taghayyurr, pegham-e-fana hay.her rang aarizii hay, her ikhtiyar be-bas hay, her hasill mehroomii hay, her hona na hona hay.ham say koee umr poochay to ham guzrii huee umr bata detay hain.jo apnay pas nahein hay, usska shumar kertay rhtay hai.jp kherch hogaya ussko gintay rehtay hain.haalaan-k hamarii asl umr to wo hay jo baaqii hay.insan samajhta nahein, tabdeeliyon k aarizay mein mubtala insan aur insan kii zindagii aur(gird-o-pesh)ka kaainat sab say aarizii aur faanii hay.ye qaafila thehr nahein sakta.her zerra tarap raha hay aur mer raha hay. taghayyurr ko zaroor sabat hay, lekin ye sabaat bhi mutaghayyurr hay. asl sabaat uss k liyey hay jo zaat-e-zul-jalal wal akraam hay. baqii sab wehm-o-gumaan kii badaltii huee mehfill hay. baqii sab aaraaish, jamal-e-kaainaat ka husn hay. lekin yehii kaainaat ka raaz hay aur ye raaz yuun aashkaar hota hay k insaan samajh leta hay k "awwal-o-aakhirr fana baatin-o-zahirr fana"
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mashAllah..
Wasif Ali WAsif mere pasndida hain..abi b in ki ek book parh rhi hon..KIRAN KIRAN SURAJ..boht umdah hai..
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Wasif Ali Wasif Kii Kitab "dill Derya Samunder" Se iqtibas

KARAWAN-E-WUJOOD

ye kaainaat her hal mein badaltii hay, bas ek chalti hay k chal rahii hay.pees rahii hay zindagii ko aur janam de rahii hay naee zindagii ko.rang bantay hain aur rang mit,tay hain.ek rang jo hamesha qaaim rhta hay, wo hay Allah ka rang. jab k her shay tabdeel hotay hotay mit,tii chalii jatii hay, lekin Allah ka rang, shaan wala rang naee tabaniyon k saath qaaim rehta hay.kaainat badaltii hay, lekin kaainat ko tabdeeliyaan ata kernay wala qaaim-o-daaim hay. joon ka toon, uss mein na kamii hotii hay or na izafa. wo apnay jalwon mein baqii rehta hay. iss k ilawa her tabdeelii, her taghayyurr, pegham-e-fana hay.her rang aarizii hay, her ikhtiyar be-bas hay, her hasill mehroomii hay, her hona na hona hay.ham say koee umr poochay to ham guzrii huee umr bata detay hain.jo apnay pas nahein hay, usska shumar kertay rhtay hai.jp kherch hogaya ussko gintay rehtay hain.haalaan-k hamarii asl umr to wo hay jo baaqii hay.insan samajhta nahein, tabdeeliyon k aarizay mein mubtala insan aur insan kii zindagii aur(gird-o-pesh)ka kaainat sab say aarizii aur faanii hay.ye qaafila thehr nahein sakta.her zerra tarap raha hay aur mer raha hay. taghayyurr ko zaroor sabat hay, lekin ye sabaat bhi mutaghayyurr hay. asl sabaat uss k liyey hay jo zaat-e-zul-jalal wal akraam hay. baqii sab wehm-o-gumaan kii badaltii huee mehfill hay. baqii sab aaraaish, jamal-e-kaainaat ka husn hay. lekin yehii kaainaat ka raaz hay aur ye raaz yuun aashkaar hota hay k insaan samajh leta hay k "awwal-o-aakhirr fana baatin-o-zahirr fana"

Masha Allah bohat hi aala sharing hai aapki nasir bhai...zabardust... :)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmmmm..

baki sb b jaldi sharing kren 12 last date hai..
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Mei kahan thiiiiiiiii?
Ohh wawwoooooooooooooooooo.....
Annu ka msg aya to dekha yh thread...
Umdaa logo pogo bahut aachi acchi sharing ki hai....
Hato zara abb mei karne lagi hun...
Sab baazu ho,pare hojao kinaray p baith jaao.....
Magar ek baat batao Annuji apne tassuraat pesh nahi karsakte kya..ya srf Iqtesaabat karni hain..?
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E

sab log bazo hat jao
BAJRI KA TRUCK ARAHA HAI {(moc)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
Mei kahan thiiiiiiiii?
Ohh wawwoooooooooooooooooo.....
Annu ka msg aya to dekha yh thread...
Umdaa logo pogo bahut aachi acchi sharing ki hai....
Hato zara abb mei karne lagi hun...
Sab baazu ho,pare hojao kinaray p baith jaao.....
Magar ek baat batao Annuji apne tassuraat pesh nahi karsakte kya..ya srf Iqtesaabat karni hain..?
mujeh thanku kaho u ko is thread per invite kia {(nea)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Status
Not open for further replies.
Top