~Urdu Adab Competition~

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
zindagi


tumse wo pahli mulaqat ek tez raftar train ki maanind.aisa mahsoos hota hai k wo meri zindagi ka ek haseen qawab tha.wo dheemi baarish ki pursakoon shub na koi aas paas bus main aur tum aur wo tanhaayi.mere hataon me tumhara haath ek gulab ki maanind.zinadagi ki saari pareshaniaon ko bhool kar is farebi dunya se dur jab main tumhari goad me sur rakhta to ek ajeeb sa sakoon mahsoos karta.kahan gaye wo waade aur wo qasmein.jabse tum gayi ho ye zindagi ki raanayian khatam hogayi hain.aur aaj firse main hon aur meri tanhaayi aur wo shub hai jisne teri yaad ki shama jalayi hai.jab kabhi main in guzre lamhaat ko yaad karta hon be ikhtiyaar meri aankhaon se aanso rawan hojate hain.laikin firse main khud ko sanbhaalta hon aur ye tahiyya karta hon k zindagi to jeene k liye hai.aur yahan wahi kamiyaab hota hai jo maazi ko bhula kar mustaqbil par nazar rakhe.

ibn e insha
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
[SHADOW=5]

Ek Chota sa magar khubsurat iqtebas ZINDAGI par...hazir e kidmat hai...
Meri pasandeeda tahreer..Umeed k ap sabko bhi pasand aygi..


Kitaab: Zindagi
Musanif: Wasif Ali Wasif

Zindagi .....
Ye Samandar Ki Terha Hai - Wasee aur Be-payaan .... Jis Ka Sirf Aik hi Kinara Hai ... Aik Sahil....
Jahan ..
Ronqain Hain ...
Mailay Hain ....
Cheragaan Hain Hajoom Hai ....
Tenhaiyaan aur Udasiyaan Bi Hain...
Dosray kinaray ki Kisi Ko Khabar Nahi ... Jo Log Dosray Kinaray Ki Khabar Lenay Gaey Hain Abi Tak Lotay Nahi ...Is Tarf Rang Hi Rang Hain ... Nairang Hai aur Dosri Tarf Be-rang aur Sirf Aik Hi Rang....Kon Janay Azal Say Abad Tak....Kon Janay ... Azal Say Abd Tak Ya Azal Say Pehlay Aur Abd kay Baad Bi Zindagi Hi Hai....Takhleeq Honay Say Pehlay Ye Khaliq Kay Iraday Main Zinda Thi aur Takmeel Kay Baad Ye KHALIQ kay Ro Ba Ro Hazir Kr Di Jaey Gi .....
ZINDAGI BAHERHAL ZINDAGI HI RAHY GI ....

______________


[/SHADOW]
 

Khwahish

Super Star
Jul 9, 2010
10,367
2,827
1,313
28
Peshawar
khatraat ki ba ojod zindagi waqt se pehle
nahe khatam ho sakti or ehtiyaat ki ba ojod zindagi
waqt ki baad qaem nahe reh sakti~~~!!!

kitab :Zindagi

by : wasif ali wasif
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
khatraat ki ba ojod zindagi waqt se pehle
nahe khatam ho sakti or ehtiyaat ki ba ojod zindagi
waqt ki baad qaem nahe reh sakti~~~!!!

kitab :Zindagi

by : wasif ali wasif
uzma dear ap ne rules parhe?
ap sirf ek hi sharing kr sakti hain..:)
 
  • Like
Reactions: yoursks

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


koi baat naheen Anaaya, jaaney do... hosakta hai baad wali achhi lagi ho, iss liye share kar dee...
1st wali hi competition me li jaye gi..

ap bataen zara k kb sharing krni hai..thread close hone k baad.{(thinkg)}/:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
thora kya boht lamba ho gya hai..
iqtibas nhi mazmoon lg rha hai..
khairnext time plz khayal rakhiye ga
 
Status
Not open for further replies.
Top