Urdu Muhawray+zarb-ul-misal!

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313

کھسیا نی بلّی کھمبا نوچے

سر منڈاتے ہی اولے پڑے۔
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
HAR CHAMAKTI CHEEZ SONA NAHEE HOTI.

ANDHA KIA CHAHAY - DO ANKHEEN
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Zarb-ul-misal ban jaane wale Ashaar..!!


Roz-marrah ki zindagi mein kai baar apni baat ko jaam'e andaaz se kehne ke liye ham ashaar ya misron ka istmaal karte hain,
Yeh ashaar aur misre zarb-ul-misal ki haistat ikhtiyaar kar gaye hain. Magar in mein se beshtar misre aise hain jin ka doosra misra hamen maalon nahi hota, ya shaa'ir ka naam nahi pata hota.
Aise kuch ashaar Ko apki khidmat main pehe-e-khidmat hain.


Nikalna Khuld se aadam ka sunte aaye the lekin
"bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale"
(Ghalib)


Bahut ji Khush hua Haali se milkar
"abhi kuch log baaqi hain jahaaN mein" (Haali)

Akhir gil apni sarf-e-maikada hui
"pahuNchi vaheen pe Khaak jahaaN ka Khameer tha" (Jahandar Shah)


Sun to sahi jahaaN mein hai tera fasaana kya
"kehati hai tujh ko Khal'q-e-Khuda Ghaa'abaana kya"
(Haidar Ali Aatish)


Agar baKhashe zah-e-qismat,na bakhashe to shikaayat kya
"sar-r-tasleem Kham hai jo mizaaj-e-yaar mein aaye" (Nawab Asghar Ali)

Vas'l ka din aur itna muKh'tasar
"din gine jaate the is din ke liye"
(Akbar Ilaahbadi)


Ab udaas phirte ho sardiyoN ki shaamoN mein
"is tarha to hota hai is tarha ke kaamoN mein"
(Shoaib bin Aziz)


Ham taalib-e-shohrat haiN hameN naNg se kya kaam
"badnaam agar hoNge to kya naam na hoga"
(Shefta)


Dil ke aaine main hai tasveer-e-yaar
"jab zara gardan jhukai dekh li"
(Munshi Maji Raam)


Aqal aaraai-o-tadbeer se kya hota hai
"wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai"
(Irshaad Lucknavi)


"Bahut shor sunte the pehlu mein dil ka"
jo cheera to ek qatra-e-KhuN na nikala
(Aatish)


"Yaad-e-maazi azaab hai yaa rab"
cheen le mujhe se haafiza mera
(Akhtar Ansaari)

Chala jaata hun haNsta khelta mauj-e-havaadis mein
"agar aasaaniyaaN hoN to zindagi dushwaar ho jaaye"
(Asghar Govandi)

"Ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam"
woh qatal bhi karte hain to charcha nahi hota
(Akbar Ilahbadi)

Zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
"badalta hai raNg aasmaaN kaise kaise"
(Aatish)


"Hazarat-e-Daagh jahaaN baiTh gaye baiTh gaye"
aur hoNge teri mehafil se ubharne wale
(Daagh)


Qareeb hai yaaro roz-e-mehshar, chupega kushton ka khooN kyunkar
"jo chup rahegi zaban-e-khanjar, lahu pukaarega aasteeN ka"
(Ameer Meenai)


Shikast-o-Fateh miyaaN ittefaaq hai lekin
"muqaabla to dil-e-naatvaaN ne khoob kiya"
(Mohammed Yarkhan Ameer)


"Umar guzri hai isi dasht ki sayyahi mein"
paanchveeN pusht hai shabbeer ki maddahi mein
(Meer Anees)


Dil ke phaphole jal uThe seene ke daaGh se
"is ghar ko aag lag gaye ghar ke chiraaGh se"
(Pandit Mehtaab Rai TabaN)


BhaaNp hi lenge ishaara sar-e-mehafi jo kiya
"taDne vale qyaamat ki nazar rakhte hain"
(Johar Farukh Aabadi)


Khirad ka naam junuN paD gaya, junuN ka Khirad
"jo chaahe aap ka husn-e-karishma saaz kare"
(Hasrat Mohani)


Phool to do din bahar-e-jaaN fiza dikhla gaye
"hasrat un GhunchoN pe hai jo bin khile murjh gaye"
(Zauq)


Khat unka bahut khoob, ibaarat bahit achchi
"allah kare zor-e-qalam aur zyaada"
(Daagh)


TaNg dasti agar na ho Saalik
"tandrusti hazaar n'aimat hai"
(Mitza Qurban Baig Saalik)



Itni na baDha paaki-e-daamaaN ki hikaayat
"daaman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh"
(Shefta)


Aap hi apni adaaoN pe zara Ghor kareN
"ham agar arz kareNge to shikayat hogi"
(Meer Vazeer Ali Saba)


Ghazal us ne cheDi mujhe saaz dena
"zara umar-e-rafta ko aawaaz dena"
(Safi Lukhnavi)

Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaaj
"shama har raNg mein jalti hai sehar hone tak"
(Ghaalib)


Nairangi-e-siyaasat-e-dauraaN to dekhiye
"manzil unhe mili jo shareek-e-safar na the"
(Mohsin Bhopaali)


Eid ka din hai, gale aaj to mil le zaalim
"rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai dastoor bhi hai" (Qamar Badayuni)


"Qismat ki khoobi dekhiye tooti kahaaN kamand
do chaar haath jab keh lab-e-bam reh gaya"
(Qaayam Chaandpuri)


Adaa-e-Khaas se Ghalib hua hai nukta sara
"Salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta daan ke liye"
(Ghalib)


"Hain kavaakib kuch nazar aate hain kuch"
dete hain dhoka yeh baazigar khula
(Ghalib)

Achchi surat bhi kya buri shai hai
jis ne Daali buri nazar Daali
(Kaif)


Main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye aur kaarvaaN banta gaya
(Majrooh)


Uljha hain paaoN yaar ka zulf-e-daraaz mein
"lo aap apne daam mein sayaad aa gaya"
(Momin)


"Vujud-e-zan se hai tasveer-e-kaayenaat mein rang"
usi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-daruN
(Allama Iqbal)

Phirte hain Meer Khuwaar koi poochta nahi
"Is aashiqui mein izzat-e-saadat bhi gaye"
(Meer)

Laye us but ko ilteja karke
"kuf'r toota Khuda Khuda karke"
(Pandit Dayashankar Naseem)


RaNj se Khu-gar hua insaaN to miT jaata hai raNj
"mushkileN mujh per paDeen itni keh aasaaN ho gayeeN" (Ghalib)



Yeh ajeeb maajra hai keh b'roz-e-eid-equrbaaN
"vohi zib'ha bhi kare vohi le sawaab ulTa"
(Mushafi)


Baja kahe jise aalam use baja samho
"zabaan-e-Khalq ko naqqaara-e-Khuda samjho
(Zauq)


Vaaye naadaani keh waqt-e-marg yeh saabit hua
"khvaab tha jo kuch keh dekha jo suna afsaana tha"
(Meer Dard)


BaiTh jaata huN jahaaN chaaoN ghani hoti hai
"haaye kya cheez Ghareeb-ul-vatani hoti hai"
(Hafeez Jaunpuri)

Laga raha hun mazaameeN-e-nau ke phir aNbaar
"khabar karo m're Khurma ke Khosha cheenoN ko"
(Meer Anees)

Khyaal-e-khaatir-e-ehbaab chaahiye har dam
"Anees THes na lag jaaye aab-geenoN ko"
(Meer Anees)

Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazeed hai
"Islam zinda hota hai har karbala ke baad"
(Maulana Johar)

Zamaana baDe shauq se sun raha tha
"hameeN so gaye daastaaN kehte kehte"
(Saaqib Lukhnavi)

Girte hain sheh-sawaar hi maidaan-e-jaNg mein
"woh tifl kya gire ga jo ghuTnoN ke bal chale"
(Azeem Dehlavi)

Aie Khaal-e- rukh-e-yaar tujhe Theek banaata
"jaa choD diya haafiz-e-quraaN samajh kar"
(Shah Naseeruddin Naseer)


Suni hikaayat-e-hasti to darmiyaan se suni
"Na ibteda ki khabar hai na inteha maaloom"
(Shaad)

Gaye dono jahaan ke kaam se ham,
na idhar ke rahe na udhar ke rahe
"na Khuda hi mila na visaal-e-sanam,
na idhar ke rahe na udhar ke rahe
(Mirza Saadiq Sharar)

HazaaroN khuwaahishen aisi keh har khuwaahish pe dam nikale
bahut nikale m're armaan lekin phir bhi kam nikale
(Ghalib)


Daavar-e-hshar m'ra naama-e-a'amal na dekh
"is mein kuch parda nasheenoN ke bhi naam aate hain" (Taseer)


Aie Zauq duKhatar-r-raz ko na muNh laga
"chuTti nahi hai muNh se yeh kaafir lagi hui"
(Zauq)

BaaGhbaan ne aag di jab ashiyaane ko mere
"jin pe tha takiya vohi patte hawa dene lage"
(Saaqib Luckhnavi)


"hue naamvar be-nishaaN kaise kaise
zameeN khaa gaye aasmaaN kaise kaise"
(Ameer Meenai)

Lao to qatl-naama m'ra main bhi dekh lun
kis kis mohar hai sar-e-mehzar lagi hui
(Meer Mehboob Asif)


Lao to qatl-naama m'ra main bhi dekh lun
kis kis mohar hai sar-e-mehzar lagi hui
(Meer Mehboob Asif)


Apna zamaana aap banate hain ahal-e-dil
"ham woh nahi haiN jin ko zamaana bana gaya"
(Jigar)

Ham rone pe aa jaayeN to darya hi baha deN
"shabnam ki tarha se hameN rona nahi aata"
(Zauq)

"Aa andaleeb mil ke kareN aaH-w-zaariyaaN"
tu haaye gul pukaar main chillaauN haaye dil
(Sayeed Mohd Khan)

Nigah barq nahi chehra aaftaab nahi
"woh aadmi hai magar dekhne ki taab nahi"
(Jaleen Manikpuri)

Na cheD aie nikhat-e-baad-e-bahaari, raaH lag apni
tujhe aThkheliyaaN sujhi haiN ham bezaar baiThe hain
(Inshaa)

Raah pe unko laga laaye to hain baatoN mein
aur khul jaayeNge do chaar mulaaqaatoN mein
(Daagh

Kehte haiN aaj Zauq jahaaN se guzar gaya
'kya khoob aadami tha khuda maghfirat kare"
(Zauq)

Zindagi zinda-dili ka naam hai
murda dil kya Khaak jiya karte haiN
(Meer Dard)


Jaan di, di hui usi ki thi
haqu to yeh hain keh haqu ada na hua
(Ghalib)
 
Top