Us Ne Mugh Se Kaha..

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
uss nay mujh say kaha
merey saathi;
tum ko mujh say jo hay gilah
kiya hay??
kabhi fursat milay tou yeh socho,
manzilein kiyun hain?faslah kiya hay?
apnay apnay safar peh niklay log
mushtarik raastoon peh chaltay hain
hamrahi kay hisaar main jitnay
din nikaltay,chiragh jaltay hain
apni apni ummid kay dar-o-baam
zindagi kay safar main miltay hain
mustaqil dard,aarzi aaraam

tum meray hamsafar tou ho lekin
hum kahin say bichar bhi saktay hain

dair tak aik taveel rastay per
saath tou ajnabi bhi chaltay hain
 
Top