,,waaldain ke saath salook,,

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
hazrat abu hurairah (r.a.a.) se riwaayat hai k huzoor aqdas (s.a.w.) ne irshaad farmaya... Woh zaleel ho. Woh zaleel ho. Woh zaleel ho. Logon ne puchha: Ae allah ke rasool (s.a.w.) ! Kaon zaleel ho? Aap (s.a.w.) ne irshaad farmaya: Jis ne apne maan baap donon ko ya un mein se aik ko budhape ki haalat mein paya. Phir bhi jannat mein dakhil na huwa.

piyare nabi (s.a.w.) ki is baat mein aik khaof aur aik khush khabri bhi hai. Khaof is baat ka hai k jin ke waaldain zindah hon budhe hon aur woh unki khidmat baja na laye aur unhein khush na rakhe aaram na pohnchaaye to aise logon ke liye yon samajh li jiye k huzoor e akram (s.a.w.) ne bad dua di hai k apne budhe waaldain ki khidmat na karne waala zaleel ho.
[font=arial black, geneva, arial, sans-serif]
zahir hai k jis ke baare mein allah ke piyare nabi (s.a.w.) yeh irshaad farmayein woh kaise izzat pa sakta hai? Woh to zaroor zaleel ho kar rahe ga.

Doosri baat is mein khush khabri yeh hai k jo apne budhe waaldain ki khidmat kare ga unhein aaram pohnchaaye ga unhein khush rakhe ga woh aakhirat mein jannat paye ga.

Woh bahot hi khush naseeb hai jo apne waaldain ki khidmat kar ke jannat ka haqdaar hai. Waaldain ki khidmat ka matlab yeh hai k unko jin baaton aur kamon ki zaroorat ho unhein pura kiya jaye.
[/font]

[font=arial black, geneva, arial, sans-serif]budhape mein dimaagh kamzor mizaj chir chira ho jata hai to us chir chire pan ko saha jaye.[/font]
[font=arial black, geneva, arial, sans-serif] [/font]
[font=arial black, geneva, arial, sans-serif]quraan paak mein allah taala irshaad farmata hai: " maan baap ko uf bhi na kaho " is ka matlab hai k agar budhe maan baap ki zubaan se kisi waqat sakht alfaaz nikal jayein to use khush dili ke saath bardaasht kiya jaye.[/font]
[font=arial black, geneva, arial, sans-serif] [/font]
[font=arial black, geneva, arial, sans-serif]aur zara bhi gussah na kiya jaye. Unki aawaz se apne aawaz ko buland na kiya jaye. Unse tazeem se baat ki jaye. Aur kaho k ae mere parwar digaar! Mere waaldain par raham farma jaisa k unhon ne mujhe bachpan mein pala tha.[/font]

[font=arial black, geneva, arial, sans-serif]moqaam e ghaur hai k allah taala ne apni ebadat ke baad maan baap ki itaat wa farmaan bardari aur unke saath husn e salook aur ehsaan kar ne ki takeed farmai hai.[/font]
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top