Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
wafa ke shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise pathar bana liya main ne
ye soch kar ki na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne
kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne
kamal ye hai ki jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne
‘qateel’ jisaki adavat mein ek pyar bhi tha
us aadmi ko gale se laga liya main ne
 
Top