Warna Her Ek Saans Qiyamat Usey Bhi Thi.

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
==*==Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi==*==
Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi.


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu,

Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi.


Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan,

Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi.


Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs,

Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.

Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil,
Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.

----------**********----------
 
  • Like
Reactions: Hoorain

rekhta

Newbie
Mar 10, 2014
40
14
158
Delhi
Gam kii garmii se dil pighalte rahe
tajrabe aa.nsu.o.n me.n Dhalte rahe

ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko ham masalte rahe

sub.h ke Dar se aa.nkh lag na sakii
raat bhar karvaTe.n badalte rahe

zahr thaa zindagii ke kuuze me.n
jaante the magar nigalte rahe

dil rahaa sarKHushii se begaana
garche armaa.n bahut nikalte rahe

apnaa azm-e-safar na thaa apnaa
hukm miltaa rahaa to chalte rahe

zindagii sarKHushii junuu.n vahshat
maut ke naam kyuu.n badalte rahe

ho ga.e jin pe kaarvaa.n paamaal
sab unhii raasto.n pe chalte rahe

dil hii gar baa.is-e-halaakat thaa
ruKH havaa.o.n ke kyuu.n badalte rahe

ho ga.e KHaamushii se ham ruKHsat
saare ahbaab haath malte rahe

har KHushii 'arsh' vaj.h-e-dard banii
farsh-e-shabnam pe paa.nv jalte rahe
 
  • Like
Reactions: Dark

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
==*==Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi==*==

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi.


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu,

Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi.


Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan,

Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi.


Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs,

Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.


Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil,
Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.

----------**********----------

wah wah har shaer zabardast hay :-bd


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Gam kii garmii se dil pighalte rahe
tajrabe aa.nsu.o.n me.n Dhalte rahe

ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko ham masalte rahe

sub.h ke Dar se aa.nkh lag na sakii
raat bhar karvaTe.n badalte rahe

zahr thaa zindagii ke kuuze me.n
jaante the magar nigalte rahe

dil rahaa sarKHushii se begaana
garche armaa.n bahut nikalte rahe

apnaa azm-e-safar na thaa apnaa
hukm miltaa rahaa to chalte rahe

zindagii sarKHushii junuu.n vahshat
maut ke naam kyuu.n badalte rahe

ho ga.e jin pe kaarvaa.n paamaal
sab unhii raasto.n pe chalte rahe

dil hii gar baa.is-e-halaakat thaa
ruKH havaa.o.n ke kyuu.n badalte rahe

ho ga.e KHaamushii se ham ruKHsat
saare ahbaab haath malte rahe

har KHushii 'arsh' vaj.h-e-dard banii
farsh-e-shabnam pe paa.nv jalte rahe
zabardastttt
 
Top