Haan ji but app jo kehna cahty hain woh kahain janab misalain daine ki kiya zarorat haiAssalam-o-ALikum,
ap sy ek sawal poochhna hai ?
Allah Taala apney bandon sy 70 mother sey ziada mohabbat karta hai.
ek mother apney bachey sy kitni mohabbat karti hai ?
mislan ek nafarman beta jab apni mehbooba k kehney main aaker apni mother ka dil nikal ker jany lagta hai to jab thhoker khka ker girta hai to mother ky dil sy awaz aati hai k "beta tujhey chot to nahi lagi"
ye ek mother ki mohabbat hai apny itney nafarman betey sy(jo nafarmani ki inteha per poncha or mother ko mar dala) bhi itni mohabbat karti hai to isko zarab dain 70 sy or jo jawab apko miley phir sochain Allah apney ek nafarman bandey sey bhi kitni mohabbat karta hoga ?
I know but iss ayt ko lai kar app Waseelah ko zarrori nahi manty right ?Quraan Pak mian ye Ayat ka tarjuma parhain :
Haan ji but app jo kehna cahty hain woh kahain janab misalain daine ki kiya zarorat hai![]()
Assalam-o-ALikum,
ap sy ek sawal poochhna hai ?
Allah Taala apney bandon sy 70 mother sey ziada mohabbat karta hai.
ek mother apney bachey sy kitni mohabbat karti hai ?
mislan ek nafarman beta jab apni mehbooba k kehney main aaker apni mother ka dil nikal ker jany lagta hai to jab thhoker khka ker girta hai to mother ky dil sy awaz aati hai k "beta tujhey chot to nahi lagi"
ye ek mother ki mohabbat hai apny itney nafarman betey sy(jo nafarmani ki inteha per poncha or mother ko mar dala) bhi itni mohabbat karti hai to isko zarab dain 70 sy or jo jawab apko miley phir sochain Allah apney ek nafarman bandey sey bhi kitni mohabbat karta hoga ?
Namaz kia hai ?
kia Allah Taala sy kalam nahi ?
kia hum Namaz main bhi jab Allah sy mukhatib hotey hain
to kia hum kisi waseeley sey mukhatib hotey hain ya barah-e-raast ?
kia Quraan Qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?
ager hai to yaqinan jab Quraan Pak nazil hua to Allah Taala na sirif ye 2008 ka dor dekh raha tha balkey qayamat tak k liyain aaney wala aakhiri saal bhi dekh raha tha.
to Qurran Pak mian humarey aaj 2008 k dor k liyain bhi rehnumai hai
kio k Allah Taala janta tha k 2008 k dor main musalmano main ek ye masla aaey ga k dua kesey mangi jaey "barah-e-raast Allah sey ya kissi waseeley sy"?
Asalamo aliekum bhai mujhay khd aap ki 1 baat samjh nahi arahi k aap nay ye kahan k kiya Allah 2008 ka dor dekh raha tha...baat kisi dor ki nahi agr aap ye samjhatay hain k hamain Allah se raabtay k liya kisi bhi waseelay ki zuroorat nahi to kiya aap ka matlab drood-e-paak se related hai jo har dua k shurooh aur akhir main paraha jaata hai...pehlay is ka jawab de dain phir main aap ko jawab doon
app ke kiye gai questions mein say sirf 1 ka answer daiat hon aqal walon k liye ishara hee kafi hai.
kia quraan qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?
mera khayal hai yehan behas karnay k bajye is baat ko zahan main rakha jye k ye baat 100% theek hai k Allah apnay har banday ki baat , dua kisi bhi waseelay k baghair sun sakta hai...Assalam-o-Alikum,
Bhai ap ek Ayat ki baat farmatey hain wo bhi wazeh hukum nahi hai k is Ayat main humain hukum dia gaya hai k "Allah ki taraf waseela dhhoondna Buzrugan-e-Deen hi murad hai"
Allah ka Hukum is Ayat main Waseela dhoondney ka hai
or Quraan pak main bohat sari jaga jaha Allah Taala wazeh tor pr jaga jaga Irshad farmata hai k
Allah hi madad farmata hai
Allah ney Guzwa-e-Bada main madad farmai(Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Hayat mubaraka main)
Allah k siwa koi madadgar nahi
Allah k siwa koi karsaz nahi
Allah ka koi madadgar nahi
Allah Muslamano k liyain kafi hai
Allah k siwa koi Mushkil kusha nahi
Allah k siwa koi himayati nahi
Allah ki madad sab sy behter hai
or sab sey wazeh hukum dua k mutaliq apko pesh kia tha jo shayad ap ney nahi parha dobara perhlain
ager ap ye chahtey hain k Ap ki khuahish k mutabiq Quraan Pak k ehkamat apko dikhey jaey to ye na mumkin hai
kio k Allah Taala ney apney ehkamat pohcha diey hain or ye bhi farmadia hai
'Hum ney Ayatian khol khol k bayana ki hai aqal rakhney walon k liyain"
"hum badal badal kr misal sy samjhtay hain"
ji bhai aap nay theek kaha k Allah apnay banday se 70 mother se bhi ziada piyaar karata hai
lakin jahan sawaal hai saaza ka jo k kisi jurm ya nafarmaani pay de jaati hai is ki examples bhi main aap ko de doon
mother apnay bachay se piyaar to karti hi hai lakin us ko saza bhi deti hai ye kis nay kaha k wo saza hi nahi deti
aisi kitni misaalain mojood hain jin main kisi maa nay jurm sabit honay par apnay iklotay laadlay betay par goli chalai
lakin feel karain wo kitni takleef de baat hogi jab wo had se guzar chuka hoga....to is se sabit hua k 1 dunyawi maa ki muhabbat us k saza ya ghussay par bhari hai....
ab ayen Allah ki muhabbat par agar wo hum se piyaar na karta to hum sub jo aaj kal kuch ziada hi nafarmanio main giriftaar hain saaray hi zameen ki teh main dabay hotay...
lakin Allah paak quran-e-paak main farmatay hain k main shadeed azaab bhi denay wala hu lakin ye baat 1 ya 2 jaga hi likhi hai jab k jaga jaga us k raham ka tazkeera hai..
yani muhabbat k saath saza bhi hai us ka khof us ka dar bhi zahan main rakhay...
jis tarha bachay k zahan main bhi aksar khof ho hi jaata hai k agar main ye karu ga to maar to laazmi paray gi...
to conclusion kiya hua?
1 maa ziada piyaaar+kam saza=mother
70 maon se ziada piyaar+shadeed azaab bhi+rahmo karam+ghafoorur raheem=Allah
aap nay mother ki muhabbat ki jo example di thi aur us main waseelay ka poocha to wo aap nay usi se related hi kaha tha na Allah kisi waseelay ka muhtaaj nahi to isi liya us ka detail main jawab upar diya to hai wo parhain pehlay...Assalam-o-Alikum,
ap ney ye jawab jo likha hai is main humara ek asan sey sawal ka jawab nahi dia ?
"Kia Mother ki mohabbat kissi waseeley ki mohtaj hoti hai?"
Nasir Noman
mera khayal hai yehan behas karnay k bajye is baat ko zahan main rakha jye k ye baat 100% theek hai k Allah apnay har banday ki baat , dua kisi bhi waseelay k baghair sun sakta hai...
kyn k allah farmatay hai baaqi rehjanay wali zaat Allah ki hai
aur Allah chahay to 1 bhi kafir na rahay etc...yani Allah ki marzi k baghair patta bhi nahi hil sakta...har cheez par Allah ko ikhtiyaar haiwo chahay to waseelay ya baghair waseelay k accept karay...yehan ye baat khatam hui...
doosri taraf waseelay ko bilkul na manna ghalat hai...dua k first n last main drood-e-paak k baghair dua qubool nahi hoti balk beech main hi reh jaati hai..ye waseela hi hai
kisi Allah walay se apnay liya dua ki request karna ye bhi waseela hai lakin Allah chahay to accept karay ya na karay us ki marzi kyn k maslihato ka jannay wala wo hi hai..
waseela ka ghalat matlab nikaalna ye hai k bilkul us par hi depend kar lia jye kyn k Allah har cheez par qadir hai ...lakin auliye karaam ko bilkul hi na manna ya koi agr un ka naam lay kar Allah se mangay to ye gunha nahi ..
sirf quran-e-paak parh kar us k ander ayaat parh kar bhi insaan apni duaon main asar peda kar sakta hai
so plz frnds bhaiyon apnay mind ko broad karain in baaton par ghoro fikar karain...kisi baat par itna na jam jyen specially deen main k us ki asal rooh tak hi aap ki pohanch na ho...is liya behas se koi faida nahi hai![]()