Yaha'n Per Sub Hi Aalim Hai'n

  • Work-from-home

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Assalam-o-Alaikum
Yaha'n per sub hi Aalim hai'n
Jub TM join kia tu khwahish ti keh Islam section mai'n ziyadha post kroo'n ga laikin ek do post key baad hi andaza hogaya keh ye jagha mairey liye nahi'n sirf do hi rastey they keh ya tu mai'n bhi behas-o-mubahisey mai'n ulajh jaoo'n ya phir is section ka rukh hi kerna chor doo'n aur mai'n ney dosra rasta ikhtiyar kia
Mai'n aaj tek ye samajhney sey qasir raha hoo'n keh yaha'n khas tor per aisi posts hi kyoo'n lagai jati hai'n jin mai'n kisi na kisi terha behas shoro ho jati hey aur baaz mertaba tu baat talkh kalami tek ja ponhchti hey
Quran aur Hadih ko aisey quote kia jata hey jaisey ye koi masla hi nahi'n mujhey samajh nahi'n aata keh kia hum yaha'n aisi threads nahi'n laga saktey jo behas-o-mubahisey sey pak hoo'n laikin nahi'n hum aisa nahi'n krai'n ge kyoo'n keh hum samajhtey hai'n keh ye tu dunya ka sub sey aasan kaam hey
Jub hum bimar pertey hai'n tu kisi MBBS doctor key pas jatey hai'n kisi phd key pas nahi'n kyoo'n?.......kyoo'n keh woh us field sey munsalik hotey hai'n aur unhoo'n ney medical ki perhai mai'n 5 saal lagaye hotey hai'n tab ek taza doctor taiyar hota hey
Laikin ek Aalim-e-deen 9 saal ki mehnet key baad taiyar hota hey mujhey nahi'n maloom yaha'n TM per kitney Aalim-e-Deen threads lagatey hai'n aur ager woh aalim hai'n tu unhai'n batana chahiye keh woh kin kin madaris sey farighul tehseel hai'n warana itni ferawani sey mozoaat per Quran-o-Hadith ko quote kerna kuch munasib nahi'n lagta haa'n mozouaat ki himayet mai'n Quran-o-Hadith ko quote kerney ki bajaye sirf logoo'n k bataney key liye Quran-o-Hadith ko quote krai'n tu koi muzaiqa nahi'n
Mai'n janta hoo'n keh buhat sey mairey behen bhai mujh sey ikhtilaaf krai'n gey laikin fi zamana ikhtilaf-e-umet ko khatem kerney key liye zarori hey keh hum ikhtilafi masil mai'n ulajhney sey guraiz krai'n aur
Masieel ki bajaye fazaiel per baat krai'n tu acha hoga.
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam
sihail bhai kehtay to ap theek hay...
yaha may apki 1 bat qoute karonge..

Jub hum bimar pertey hai'n tu kisi MBBS doctor key pas jatey hai'n kisi phd key pas nahi'n kyoo'n?.......kyoo'n keh woh us field sey munsalik hotey hai'n
aur unhoo'n ney medical ki perhai mai'n 5 saal lagaye hotey hai'n tab ek taza doctor taiyar hota hey

ye bat apnay jo kahe hay yaha log asa nae sochtay...q k unk nazdeek quran or hadees k kitabay parh k b ab kud sakta allim bun saktay ho..or yaha neem hakeem katare jan wali bat ajate hay..k har koe kud kitabay parh kr kud he tashreeh or tafseer nikal kar apnay matlab k lie istemal kar layta hay..
maray bhai nay jama banoria karateshi say 8 sal ki anthak mehnat k bad,tamam saha e sitta parh kar,arbi,farse urdu ki qadeem or jadeed islamic books parh kar,motanad ustado say parh kar alime deen banay hay..lakin unka ye ilam bekar amja jata hay yaha..q k jub ap gar betay kud parh saktay ho,samaj saktay ho,to khowar honay ki kia zarort hay pir???
quran or hadees k lie kise ostad ki zarorat nae..lakin eng,urdu hisab ko ap bagair ostad k nae parh saktay...ajeeb mantaq hay sohail bhai..
khair i m sorry manay pir yaha ziada bol diya..lakin bhai jub tak saans hay tab tak haq ki bat kehte rahonge inshaAllah:)
 
Tum ney bilkul sahi comments diye hai'n Tooba, hamara almiya hi yehi hey keh jub islam ki baat aati hey tu hum khudh is maidan key ustad ban jatey hai'n,tumharey bhai Alim-e-deen hai'n jan ker buhat khushi hui keh ulama-e-ikram ki mahafil mai'n baithna maira pasandidha mashghala raha hey,alam-e-islam key taqreeban wo tamam brey ulama aur akabreen jin sey log sirf hath milaney key liye bhi lamnbi lambi lines lagatey hai'n Allah ney mujhey un key sath baithney ka moqa ata fermaya,Allah tumhai'n sabit qadam aur hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
Tum ney bilkul sahi comments diye hai'n Tooba, hamara almiya hi yehi hey keh jub islam ki baat aati hey tu hum khudh is maidan key ustad ban jatey hai'n,tumharey bhai Alim-e-deen hai'n jan ker buhat khushi hui keh ulama-e-ikram ki mahafil mai'n baithna maira pasandidha mashghala raha hey,alam-e-islam key taqreeban wo tamam brey ulama aur akabreen jin sey log sirf hath milaney key liye bhi lamnbi lambi lines lagatey hai'n Allah ney mujhey un key sath baithney ka moqa ata fermaya,Allah tumhai'n sabit qadam aur hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
jazakAllah bhai...
yaha mosalmano ki paste ka zawal aj kal yahe to hay k na alemay deen ki qadar hay,na universty professors ki...1 ko saray aam goli maar de jate hay,dosray ko saray bazar joto say mara jata hay...jis qoum nay apnay asteza ikram ki qadar nae ki..unka wesa he haal hota hay jo ajkal hamara hay...
jazakAllah khair again k apk dil may to kum az kum ake alim ki ehmiyat or aqedat zinda hay..warna yaha to log mojada alemay deen ko choraye hamaray charo ayema ikram tak ko yaha zaleel o khowar karnay may lagay howay hay...Allah asay fitna sazo say deen ko bachaye ameen summa ameen
 
lovelyalltime

I LOVE ALLAH
TM Star
Feb 4, 2012
1,656
1,533
913
Assalam-o-Alaikum
Yaha'n per sub hi Aalim hai'n
Jub TM join kia tu khwahish ti keh Islam section mai'n ziyadha post kroo'n ga laikin ek do post key baad hi andaza hogaya keh ye jagha mairey liye nahi'n sirf do hi rastey they keh ya tu mai'n bhi behas-o-mubahisey mai'n ulajh jaoo'n ya phir is section ka rukh hi kerna chor doo'n aur mai'n ney dosra rasta ikhtiyar kia
Mai'n aaj tek ye samajhney sey qasir raha hoo'n keh yaha'n khas tor per aisi posts hi kyoo'n lagai jati hai'n jin mai'n kisi na kisi terha behas shoro ho jati hey aur baaz mertaba tu baat talkh kalami tek ja ponhchti hey
Quran aur Hadih ko aisey quote kia jata hey jaisey ye koi masla hi nahi'n mujhey samajh nahi'n aata keh kia hum yaha'n aisi threads nahi'n laga saktey jo behas-o-mubahisey sey pak hoo'n laikin nahi'n hum aisa nahi'n krai'n ge kyoo'n keh hum samajhtey hai'n keh ye tu dunya ka sub sey aasan kaam hey
Jub hum bimar pertey hai'n tu kisi MBBS doctor key pas jatey hai'n kisi phd key pas nahi'n kyoo'n?.......kyoo'n keh woh us field sey munsalik hotey hai'n aur unhoo'n ney medical ki perhai mai'n 5 saal lagaye hotey hai'n tab ek taza doctor taiyar hota hey
Laikin ek Aalim-e-deen 9 saal ki mehnet key baad taiyar hota hey mujhey nahi'n maloom yaha'n TM per kitney Aalim-e-Deen threads lagatey hai'n aur ager woh aalim hai'n tu unhai'n batana chahiye keh woh kin kin madaris sey farighul tehseel hai'n warana itni ferawani sey mozoaat per Quran-o-Hadith ko quote kerna kuch munasib nahi'n lagta haa'n mozouaat ki himayet mai'n Quran-o-Hadith ko quote kerney ki bajaye sirf logoo'n k bataney key liye Quran-o-Hadith ko quote krai'n tu koi muzaiqa nahi'n
Mai'n janta hoo'n keh buhat sey mairey behen bhai mujh sey ikhtilaaf krai'n gey laikin fi zamana ikhtilaf-e-umet ko khatem kerney key liye zarori hey keh hum ikhtilafi masil mai'n ulajhney sey guraiz krai'n aur
Masieel ki bajaye fazaiel per baat krai'n tu acha hoga.

zoonia

TM Star
Jul 1, 2012
1,216
1,073
163
hamray sath yehi problam hai sohail bhai hum bat ko samjhnay ki bjay apni ana ko lay atay hain or behas shuru kr detay hain hala k islam main hai jub zid ki fiza ban jay to wehan say hut jana chahiya mger yehna to galion tk bat ja pohnchti hai afsos to yai hai hum bat islam ki kr rehay hotay hain mgr khood galion pr utr atay hain sad asfsos:(
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalam-o-Alaikum
Yaha'n per sub hi Aalim hai'n
Jub TM join kia tu khwahish ti keh Islam section mai'n ziyadha post kroo'n ga laikin ek do post key baad hi andaza hogaya keh ye jagha mairey liye nahi'n sirf do hi rastey they keh ya tu mai'n bhi behas-o-mubahisey mai'n ulajh jaoo'n ya phir is section ka rukh hi kerna chor doo'n aur mai'n ney dosra rasta ikhtiyar kia
Mai'n aaj tek ye samajhney sey qasir raha hoo'n keh yaha'n khas tor per aisi posts hi kyoo'n lagai jati hai'n jin mai'n kisi na kisi terha behas shoro ho jati hey aur baaz mertaba tu baat talkh kalami tek ja ponhchti hey
Quran aur Hadih ko aisey quote kia jata hey jaisey ye koi masla hi nahi'n mujhey samajh nahi'n aata keh kia hum yaha'n aisi threads nahi'n laga saktey jo behas-o-mubahisey sey pak hoo'n laikin nahi'n hum aisa nahi'n krai'n ge kyoo'n keh hum samajhtey hai'n keh ye tu dunya ka sub sey aasan kaam hey
Jub hum bimar pertey hai'n tu kisi MBBS doctor key pas jatey hai'n kisi phd key pas nahi'n kyoo'n?.......kyoo'n keh woh us field sey munsalik hotey hai'n aur unhoo'n ney medical ki perhai mai'n 5 saal lagaye hotey hai'n tab ek taza doctor taiyar hota hey
Laikin ek Aalim-e-deen 9 saal ki mehnet key baad taiyar hota hey mujhey nahi'n maloom yaha'n TM per kitney Aalim-e-Deen threads lagatey hai'n aur ager woh aalim hai'n tu unhai'n batana chahiye keh woh kin kin madaris sey farighul tehseel hai'n warana itni ferawani sey mozoaat per Quran-o-Hadith ko quote kerna kuch munasib nahi'n lagta haa'n mozouaat ki himayet mai'n Quran-o-Hadith ko quote kerney ki bajaye sirf logoo'n k bataney key liye Quran-o-Hadith ko quote krai'n tu koi muzaiqa nahi'n
Mai'n janta hoo'n keh buhat sey mairey behen bhai mujh sey ikhtilaaf krai'n gey laikin fi zamana ikhtilaf-e-umet ko khatem kerney key liye zarori hey keh hum ikhtilafi masil mai'n ulajhney sey guraiz krai'n aur
Masieel ki bajaye fazaiel per baat krai'n tu acha hoga.

Wa'alaikumussalaam Sohail bhai jan aapki tarah hum bhi ukta gaye is qism ke
behes o takraar se jiske sabab QURANI ayaat se is mutaliq thread bhi lagaya ke
jo loug ISLAM laane ke baad bila wajeh HAQ per hi behes o takraar karte hain
unki ye behes o takraar RAB ta'ala ke aage hi baatil hai aur aise lougon ke liye
sakht azaab hai

dar asal TM per do aqsaam ke threads me behes o mubahisa shuru huwa karta hai
pehli qism.......Thread ka bazaahir kisi firqe ke khilaaf hona yaani thread lagne ka hi
ye maqsad hona ke wo lougon ki islah nahin karna chahta balke woh banda eik
makhsoos firqe ko neecha dikhane ki koshish kar raha hai ab us firqe waale loug
us thread me bol bol kar hadh hi kar dete hain ;)) aur bina kisi firqe ke hote huwe
mein bhi is baat ke khilaf hi hoon ke kisi firqe ko target karne ke liye koi thread lage

lekin doosre pehlu ko bhi hum nahin chupa sakte kyunke HAQ baat karna humen
humaare LA ILAHA ILLALLAH ke wirse se mila hai HAQ ko chorh dengen to
IMAAN hi se chale jaayengen ab phir chaahe HAQ ko thaame rakhne per
koi meri behen hone se inqaar kar de koi bhai hone se koi saath chorh de koi kuch kar le
koi kaafir bolne lage I DONT CARE lekin sach ko sach kehna hi hai so is hi hawaale se

doosra pehlu thread ka yeh hai ke.......thread mein QURAN o HADEETH ki durust baat
bayaan hona aur firqe waalon ki bad bakhti se HAQ baat ka firqe ke khilaaf hona ab wo
firqe waala bila wajeh sahi baat ko jhutlaane ke liye ghalat taur se jhagarta hai

ye surat e haal aapko mere mukhtalif threads me bhi dikhi hogi hatta ke QURAN asaan hai
thread per mujhe kaafir kaha gaya lekin ALHAMDULILLAH baad me hum ne
apni baat sahi saabit kar di thi aur wo loug wahaan se ghayab ho gaye the khair
lekin ye sub is liye huwa humen kaafir is liye kaha gaya ke hum ne QURAN
ki wo ayaten peish ki theen jo unke firqon ke khilaf the

khair mere in dono misaalon ke peish karne ki wajah yeh hai ke TM per jahaan koi
eik makhsoos firqe ko target kar raha hai mein uske khilaf to hoon hi lekin wahin agar
wahi member ya koi aur member kisi aise aqeede ke khilaf jo kufriya hai sirf QURAN O AHADEETH se
baat karta hai to saari dunya uske khilaf ho jaaye INSHA'ALLAH hum uske saath hongen

hum HAQ waale ki housla afzaaiy ke liye dua karte hain aur unke saath hote hain
aur firqe waalon ko bhi HAQ samajhne ki daawat dete hain aur unke liye bhi dua goh rehte hain .
 
Walaikum Assalam

Chiragh mairey bhai mai'n ney puri tawajhu sey tumhara reply perha hey, laikin bura na man'na mai'n abhi bhi mutmain nahi'n huwa aap khud ghour kerlo aap buhat kam islamic threads mai'n mujhey daikho ge aur us ki wajha ye behas-o-mubahisa hey tum ager mairi thread ko ghour sey pero tu tumhai'n andaza hoga keh mai'n ney kia kehney ki koshish ki hey, mai'n ney kaha keh aap fazail ki baat kijiye masaieel per nahi'n, yaha'n log jisnabi Hazret Muhammed (saww) ki kahi gai batoo'n ki baat kertey hai'n unhoo'n ney tu kuffar-e-makah ko bhi tanqeed ka nishana nahi'n banaya tha jo burhya aap (saww) per kora phinkti thi Hazoor (saaww) ney ya un key sahaba ney usey bura bhala nahi'n kaha tha belkeh jub woh bimar pari tu us ki ayadet ki ye hai'n ikhlaq aur wo aamaal jo hamai'n seekhaye gaye hai'n keh musalman ko aisa hona chahiye yaha'n jitney log Hazoor pak (saww) ki muhabbet ka dam bhertey hai'n kia un mai'n sey kisi ney bhi un ki sunnet per amal kertey huwet Islam ki tabligh-o-ashaat key liye koi amli qadem uthaya hey AC lagey kamrey mai'n baith ker Net per kaam kerna buhat asan hey kia koi mijhey bataye ga keh is Islami Jamhoria Pakistan mai'n kitney musalman bina namaz-e-janaza perhaye dafen kerdiye jatey hai'n yaha'n kitni aisi masajid feryad kina'n hai'n jin key minar Azan ki Awaz ko tares rahey hai'n laikin koi waha'n nahi'n aata ye sari baat mai'n aisey hi nahi'n kerraha ye sub mai'n ney daikha hey mai'n ney woh ilaqey daikhey hai'n jaha'n purey gaoo'n mai'n koi namaz-e-janaza perhaney wala nahi'n hota tu usey aisey hi dafen kerdia jata hey aur us ki qabr per ek sufaid jhanda laga dia jata hey keh jub kabhi koi aisa shakhs waha'n aaye jo namaz-e-janaza perhana janta ho tu wo woh sub ki ikhati perhadey apney gher bar ko chor ker deen ko seekhney aur samajhney ki koshish ki hey kia ek dehati insan jo sirf is liye musalman hey keh us ney jub sey hosh sambhala ye hi suna keh hum musalman hai'n tu woh apney aap ko musalman samajhta hey usey na tu firqoo'n ka pata hey aur na hi quran-o-hadith ka usey sahi rastey per laney ki zimmey dari kis ki hey, khair mai'n is mozou per ager likhna chahoo'n aur ager sirf apney mushahidaat hi share kerna chahoo'n tu sfhoo'n key safhey bher sakta hoo'n laikin behs-o-mubahisey mai'n ulajhna hamari terbiyet nahi'n,

aur mairey bhai TM sirf ek wahid forum nahi'n yaha'n buhat sey forum hai'n jaha'n Islam sections bhi hai'n mai'n khud taqreeben 10 sites per jata hoo'n aur sharing kerta hoo'n laikin waha'n kabhi mai'n ney ye cheez nahi'n daikhi iski wajha ye nahi'n keh waha'n musalman nahi'n sharing kertey belkeh waha'n ye log nahi'n aatey jo yaha'n kisi na kisi terha dosroo'n ki threads ko nishana banatey hai'n,

Sub seu muazret key sath keh maira maqsed kisi po nishana banana nahi'n aur na hi kisi ki dil azari kerna hey,is qisim key forums apney aqaid key perchar key liye nahi'n hotey,ager kisi ko Islam ki tabligh kerney ka shoq hey tu usey maidan-e-amal mai'n ana chahiye usey kirdar ka ghazi ban'na chahiye guftar ka nahi'n, mai'n abhi bhi apni baat per qaim hoo'n keh masaeel bayan kerna aur quran-o-haditdh ki tasreeh kerna ek alim-e-deen ko hi zaib daita hey warna atayoo'n ki kami nahin' [DOUBLEPOST=1349932069][/DOUBLEPOST]Ek sawal zehen mai'n aaya tu socha wo bhi poch loo'n keh mai'n na tu Aalim-e-deen hoo'n aur na hi Quran-o-Hadith per destres rakhta hoo'n,

Question:

Jub hum hajj key liye jatey hai'n tu Aiyam-e-hajj keu doran jo ratai'n Mina ki hadood mai'n guzarna hoti hai'n ager ek bhi raat us hadood se bahir guzer jaye tu dam wajib hojata hey hey,

Zara Quran-o-Hadith ki roshni mai'n batiye keh ager ek haji ka khama hi Mina ki hadood sey bhir Muzdalfah ki hadood mai'n ho tu woh kia krey?

jawab ka intizar rahey ga. [DOUBLEPOST=1349932261][/DOUBLEPOST]@Detective
@Tooba Khan
@masoom_se_chahat
@Sabah
@Rubi
@Fa!th
@Jiya.
@Khwahish
@bahaar
@Pari
@Nelli[DOUBLEPOST=1349932287][/DOUBLEPOST]@~Unknown~
@*Muslim*
@farri
@*Muskaan*
@rahath
@Wasif Safi
@Ally
@cute bhoot
@sweeet-girl
@neevrap[DOUBLEPOST=1349932326][/DOUBLEPOST]@whiteros
@Abidi
@Humrahi

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
meray bhi kuch Views hain as Human as Muslim..! sO i want to share them, Insha'Allah bad main keron ge abhe zyda typing nahi ker sakti..!
 
  • Like
Reactions: lovelyalltime

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Ji bhai sahi farmaaya aap ne DEEN ki tableegh ka kaam
ulma ka hi hai lekin RASOOL E KAREEM saww ka farman
jab ek MUSALMAAN tak kisi aalim se hi pohnche to usko
chaahiye ko apne jaanne waalon tak use pohnchaaye

fazaaiyl per bhi baat honi chahiye masaaiyl per bhi honi chahiye
lekin theek tarah se aur is tareeqe ke mutaliq eik shakhs ne
khoob kaha hai ke

matter is not what u say
matter is how u say

agar hum ISLAMIC sect me threads pur khuloos ba adab tareeqe
se aur jese ke aap ne waaqea peish karke apna nazariya peish kiya
ke bina kisi per tanqeed kiye lagaaen to bhi ye behes o takraar
khatam ho sakte hain aur hum jis tarah is forum per DEENI threads
laga rahe hain us hi tarah yahaan per jis centre me parhne jaate hain
wahaan bhi ISLAMIC class 10-15 mins munaqid karwate hain
jabke ye 15 mins un do ghanton me se hain jinme sir humen pabandi
ke saath english hi parhane per ghour dete hain lekin ALLAH ke fazal
se ye deeni kaam QURAN O HADEETH ki baaten hum apne un doston
tak bhi pohncha rahe hain

aur INSHA'ALLAH jese umer o ilm me izaafa hota jaayega wese hi
hum apni HAQ ki baaten auron tak pohnchaate rahengen

aur jo sawaal aap ne poocha hai maazrat ke saath uska jawaab
humaare ilm me nahin agar huwa to INSHA'ALLAH bol dengen aapko .
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Mujhey is ka jawab maloom hey laikin
laikin sawal un logoo'n sey hey jo baat baat per quran-o-hadith ki baat kertey hai'n
woh jawab kyoo'n nahi'n daitey?[DOUBLEPOST=1350059495][/DOUBLEPOST]Nahi'n deen ki tabligh ka kaam sirf ulma ka nahi'n
ye puri ummat ko kerna hey kyoo'n keh ab koi nabi nahi'n aayr ga
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walaiekum Salaam..
Waise to abb Islamic Section ka rukh karne aur yahan ki threads parhkar sharmindagi,dukh afsos ki si kaifiyat roonuma hoti hai..Koi ek aisa thread nazar nahi ayga k jo sahi Islam ka namuna pesh kare ya k jisay parhkar ghair bhi ash ash karen k waah yehi sahi deen hai yehi sahi mazhab hai,yehi saccha zabtay e hayat hai..lekin afsos k yahan srf dusron ki qabiliyat ko neecha dikhana apne aapko sahi deen ka pairokaar samjhna..baat yahan tak hi nahi balkay hadd se tajawuz kar gayi k apne jaise musalman ko hi Kafir qarar dena,kisi bhi firqay p ba-asani ungli uthana Ye TM ka mamool ban gaya hai..Nabi Kareem Saw k ummati kehlane p bara fakhr aur Taleem e Mohammadi Saw aur Ikhlaq E Rasool Saw ka paas kisi ko nahi..
Sohail bhayi apne bht accha kiya jo wahan se apna rukh mor liya.
Itni battareen halath kardi hain in firqaparasti ki chand threads ne Hanste khelte purkhulus dilon me aag lagadi aur apni shaitani chaal me kamyab hogaye dilon me bughz O nafrat ki dewaaren khari kardin aur aisi threads aisi fizaa ki taayeed karnewalon ne to jalti p tel ka kaam kiya..Inke nazdeek srf inki kahi hui quote ki hui inki pasandeeda kutub ki ahadees hi srf motebar bakhi inke liye na musalman na hi inki bayan kardah ahadees ki koi value..waah ajab mantaq hai,in naam nehaad mullaon aur aalimon ki jo srf apneapko aqalmand aur dusron ko bewaquf samjhte hain..
Allah aise logon ko aise threads ko aise zaraye ko salamat rakhe k barhe zor e qalam zor e zaban aur zyadaa..jahan jaayen aisi hi fizaa ko humwaar karen takay Islam ka naam khoob se khoobtar roshan ho..
Allah O Akbar!!!!
 
Mai'n ney jin buzurgoo'n key aagey zano-e-adab tey kia hey, unhoo'n ney hamaisha hi behas-o-mubahisey mai'n ulajhney sey mana fermaya hey, Mai'n sirf itna janta hoo'n keh mai'n jis Nabi (saww) ka pairo kar aur un sey muhabbet ka dawey dar hoo'n unhoo'n ney kahi kisi ko na tu apney amal aur na hi zuba'n se dukh ponhchaya woh tu intihai aala ikhlaq ka maiyar they..........mairey khayal sey is sey ziyadha mai'n kuch keh nahi'n sakoo'n ga, Sada khush aur salamet raho
Ameen
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Mujhey is ka jawab maloom hey laikin
laikin sawal un logoo'n sey hey jo baat baat per quran-o-hadith ki baat kertey hai'n
woh jawab kyoo'n nahi'n daitey?[DOUBLEPOST=1350059495][/DOUBLEPOST]Nahi'n deen ki tabligh ka kaam sirf ulma ka nahi'n
ye puri ummat ko kerna hey kyoo'n keh ab koi nabi nahi'n aayr ga
Achha bhai phir dekhte hain koi jawab deta hai ke nahin
ji wahi lekin bohot se loug iske aarhe aate hain
aur is dar se ke unke ISLAM ke naam per chalte business ko
thokar na lag jaaye humen rokte hain ISLAM aur HAQ ki
baat karne se .
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Will comments later In Shaa Allah
Mai'n ney ye thread is nazerye key tehet lagai hey keh hum yaha'n is baat kko achi terha samajh lai'n keh yaha'n is family forum per hamai'n dosrey key khilaf fatwey dainey aur tanqidi guftugo sey perhaiz kerna chahiye hum yaha'n aatey hai'n kisi ko bhai kehtey hai'n tu kisi ko behen tu ye baat sirf zuba'n ki hed tek nahi'n honi chahiye isey dil sey wohi muqam daina chahiye jo hum kehtey hai'n yaha'n masaeel sey mutaliq koi thread allow nahi'n honi chahiye,logo'n ko chahiye yaha'n hajj sey mutaliq, rozoo'n aur namaz sey mutaliqaur dosrey arkan-e-islam sey mutaliq qurani aayaat aur aahadees share krai'n laikin quran-o-hadees ki roshni mai'n yaha'n apney ko sahi aur dosrey ko ghalat sabit kerney ki koshish na krai'n keh is sey ikhtilaf paida hota hey kia ghalat hey aur kia sahi ye baya'n kerna ulamah ka kaam hey hamara nahi'n her insan ko Allah ney aql-o-shaowr sey nawaza hey woh khud ko perkhey keh woh sahi hey ya ghalat kisi dosrey ko ghalat na kahey baqi Allah behter janta hey mairi dua hey keh wo hamarey hal per rehem fermaye aur hamai'n hidayet ki roshni sey nawazey,Ameen
 
  • Like
Reactions: Detective

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
hmmmmmmmmmmmmmm topic to boht zabardast hai chalo jab sab ne hi kuch na kuch likha hai to thora boht main b likh deta hon
ilm ek arbic word hai jiske lughvi mayne janna hote hain
isi tarha janne wale shaks ko aalim yani janne wala kehte hain
lekin ilm b 2 tarha ke hote hain
ek ilm woh jis per hamara ikhtiyaar hota hai jo hum hasil bhi kar lete hain jisse duniyavi ilm kaha jata hai
jabke dusra ilm asmani hota hai jis per hamara ikhtiyaar nahi hota or woh ilm hum kisi surat hi hasil nhi kar sakte kyunke woh sirf wahhi ke zariye hi hum tak pohonchta hai
ab agar duniyavi ilm ki baat ki jai to duniyavi ilm mustaqil mizaji nhi payi jati or is main changing ati rehti hain for example ap scientist hain to aap apni koshishon se apni tehqeeqat or tajurbaat se pehle se muqarrar kardah kisi bhi scientist ke kisi b law kisi b qanon or kisi b hudod ko change kar sakte hain or aisa tamaam fields or tamaam hi shoubon main hamen nazar araha hota hai
lekin yeh jo asmaani ilm hota hai is per insaniyat ka koi amal dhakal nahi hota koi ikhtiyar or taqat nahi hoti ke usse woh apni marzi se ratti bhar b change kar sake kyunke is ilm main jo qavaneen or jo hudud muqarrr ki gayi hoti hain woh insani nhi hoti balke alhaami hoti hain yani Allah muqarrar karta hai islye Allah kisi insaan ko yeh ikhtiyar nhi deta ke woh Allah ke banaye hoye qavaneen main changing kar sake kyunke koi b insaan Allah se behtar nhi soch sakta
or ek deen e islaam ka aalim jab ilm seekhta hai to woh Quran pak ka tarjuma seekhta hai har ayat nazil hone ka waqt jagha or reason seekhta hai or ussi ilm ko saamne rakh ker woh qurani ayaton ki tafseer o tashreeh kar rha hota hai iske ilava usse Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke tamaam masayil per jaari kiye gaye farmanaat o irshadaat sikhaye jaate hain woh tamaam kitaaben parhayi jaati hain ke jis main nabi e kareem ki ahadeesen mojod hon and thats y jab hamen koi shar'yi masla darpesh ajata hai or hum kisi aalim se rujo karte hain to woh hamen foren hi us masle ki soluotion bata deta hai or woh sirf islye us masle per pehle hi hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ahadeesen mojod hoti hain yani tamaam aalimon per bhi Allah ka yeh qanon nafiz hai ke woh b apni marzi se Allah ki muqarrar kardah hudud or nafiz kardah qavaneen main apni marzi se mamoli sa b radd o badal nhi kar sakte balke woh bhi kisi b masle ki soloution ke lye wohi kuch batane per paband hain jo Allah rabbul izzat Quran main or Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apni ahadeeson main bayan farma chuke hain
kyunke puri kainaat main koi shakhs chahen woh Allah ka wali ho peer ho aalim ho imaam ho ya koi aam o khaas insaan ho kisi b insaan per Allah ki wahi nazil nhi hoti yeh sharf sirf Rasoolon ko hi hasil hai kyunke Allah sirf Rasoolon se hi ham kalaam hoa hai islye Allah ki koi baat kisi Rasool ki zubani ap tak pohonchti hai to woh baat tamaam waliyon peeron imaamon molviyon or aalimon ki apne apne ilm ko saamne rakh ker bhi sochi hoi tamaam baton per foqiyat rakhti hai
lekin hamara aalimon ka sab se bara almyah hi yehi hai ke aaj koi shaks islaami talemaat hasil kar b leta hai to woh khud ko tamaam musalmanon se afzal samjh leta hai or kisi b masle per koi b faisla karte hoye bilkol b nhi darta ke Allah or uska rasool us masle per pehle hi koi faisla kar chuke hain ya koi qanon bana chuke hain balke woh khud ko aalim samjhte hoye or baqi logon ko jahil samjhte hoye aise amal ko b naik keh dete hain jise Allah or uska rasool ne naik nahi kaha hota aise amal ko b ghalt keh dete hain jisko Allah or uske rasool ne ghalt nahi kaha hota balke yeh hamari kam aqli or hamari andhi taqleed hi hai ke hum us alim se yeh tak pochne ki himmat nahi kar pate ke woh jis masle per jo baat bata raha hai Allah or uske Rasool ne b wohi baat batayi hai ya Allah or uske Rasool ki baat us aalim ki batayi hoi bat se thori boht b change hai or yeh baat na pochne ki wajah hamare pas sirf yehi hoti hai ke hum yeh soch rahe hote hain ke usne itna ilm hasil kya hai quran o hadees ke baare main itna kuch janta hai to hamen to uske muqable main kuch b nhi pata to woh hamen kisi masle per koi ghalat baat to nhi bata sakta na
jabke haqiqat iske khilaf hai us aalim ki kisi masle per jaari kya gaya farman ghalat ho hi nhi sakta agar us farmaan ke saath Allah or uske Rasool ka farmaan bhi mojod hai
lekin ussi aalim ka ussi masle per jaari kya gaya woh farmaan kisi surat sahi nhi ho sakta agar ussi masle per Allah or uske Rasool ka farman us aalim ke farman se mukhtalif hai ya us alim ke farman pe mojod nahi hai
kyunke deen e islaam ka ilm duniyavi ilm se bilkol mukhtalif hai duniyavi ilm hasil karne ke lye insaan ko ache khase waqt ki zarorat parti hai ache khase zehen ki zarorat parti hai ache khase paison ki zarorat parti hai or ek makhsos umer ki zarorat parti hai
jabke deene islaam ki taleemat seekhne ke lye aisi koi requerments nhi chahiye hoti kyunke mere khandaan main totel 13 bachen Quran hafiz hain or siyah sattah ki tamaam kitaaben parhi hoi hain or log is baat per yaqin nhi rakhte lekin yeh haqiqat hai ke mera ek cousin jo sirf 14 saal ka hai usne pura quran 10 sal ki umer main hi hifz karlya tha or abi woh sirf 14 saal ka hai lekin us ke saamne koi shaks quran ki surat ki koi b ayat parhta hai to woh zubani bata deta hai ke yeh ayat kis surat ki konse number ki ayat hai makkah hai ya madni surat hai or saath hi us ayat ka tarjuma b parh ke suna deta hai kehne ka maqsad sirf yeh hai ke deen e islaam kisi makhsos insaano ke lye to nhi laya gaya na?na sirf zaheen or dimagh rakhne walon ke lye lagaya?yeh to puri kainaat main basne waale har insaan ke lye laya gaya haina? to is kainaat main har insaan aqalmand samjhdar or zaheen to nahi hote na ke is wajah se islaami taleemat ko mushkil bana dya jata
balke kainaat main har type ke insaan hote hain koi alim hota hai koi jahil hota hai koi kam aqal hota hai koi aqalmand hota hai koi ek baat boht dair se samjhta hai to koi ek baat ko baat ke khatam hone se pehle hi samjh leta hai gharz dunya main har type ke insaan hote hain or yeh baat khuda humse behtar janta hai kyunke ussi ne hi insaano ko banaya hota hai to phir aap zara sochiye ke woh apne nazil kardah Quran ko itna mushkilk kaise bana sakta hai ke us Quran ko sirf wohi log samjh saken jo aalim ho qabil hon aqalmand hon?
khalid bin waleed kafir tha kafiron ko jang e ahad jitwane main sirf ussi ka haath tha lekin phir Allah ne usko hidayat di or usne islaam qubol karlya or phir jald hi usne qabailiyon ko islaam ki tableegh karna bhi shuro kardi
kya usne islami talemaat hasil karne ke lye 8 y 10 sal kisi madarse main guzare the? bilkol b nhi balke usko jitna pata hota tha woh bas utna hi bata dya karta tha or aise kafi naam apko aisi misaalon ke tor per nazr aayenge jin main hazrat bilal habshi umer e faroq rz abu baker saddiq or b kafi sahaba karaam jo mukammal aalim nhi the lekin phir b islaam ki tableegh kya karte the or islaam apko isi baat ka hi daras deta hai ke Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki koi ek baat b apne suni ho usko agay pohoncha do
lekin hamari is se bari bad kismati or kya hogi ke hamen Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki koi baat pata chalti hai to ham Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki baat ki izzat karne ke bajai yeh soch ker hi us baat ko radd kar dete hain ke yeh baat batane wala koi aalim thori hai jo hum uski baat per yaqin karen array khuda ke bando Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki baat batane wala kabi yeh nhi kehta ke aap uski izzat karo ya uski baat ki izzat karo woh to sirf yeh kehta hai ke khudaya ap Allah or uske Rasool SAW ki baat ki to izzat karlo phir us baat ke sunane wale per chahen jitne blame thonk dena ke woh khud ko bara alim samjhta hai khud ko boht naik samjhta hai ya khud kya sahi raste per hai etc etc lekin in sab baaton ko balaye taaq rakh ker Quran sunane wala sirf Quran hi suna raha hota hai or Hadees sunane wala Hadees hi suna raha hota hai kyunke usko is baat ki koi fikar nhi hoti ke log usko aalim samjhen jahil samjhen ya kuch b samjhen usko to sirf is baat ki fikar hoti hai ke kal ko Allah mujhe sirf isi bina per hi jahannum raseed na karde ke tere saamne Allah ke farmaanon ke khilaaf amal horhe the or tere pas ussi amal se related Allah ki nazil kardah ayat b mojod thi Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman e mubarak b mojod tha lekin phir b tu khamosh raha tu ne haq baat sirf islye nhi batayi ke log tujh pe nuqta cheeni karenge yeh khayal nhi aya ke tera Rab b tujhse sawal kare ga or tu ne insano ki nuqta cheeni ko Allah ke khof per Allah ke azaab per tarjeeh di thi to jaa aj bula le unhi insaano ko woh tujhko is azaab se bacha saken to bacha len
to mujhe aalimon per nuqta cheeni karne walon se sirf yeh pochna hai ke kal qayamat ke roz jab Allah us shaks ko azaab de ga jo apki nuqta cheeni karne ki wajah se logon ko quran o hadees sunane se ruk gaya tha to ap log kal us gunah ki zimmedari apne oper le ker or khud us azaab main mubtila ho ker us shaks ko Allah ke us azaab se bacha lo gay?
 
Top