بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0
Assalam o alaikum
Dosto jaisa k aap jante hain k ye mahina hajj ka muqaddas mahina hai.aur is mahine me chund ek ayyam k roze rakhna hamare liye mustahab kiya gaya hai.jiski fazeelat sahih aahadees se sabit hoti hai.
Yaom e Arfa yaani zul hijja ki 9 taareeq : harat abu qatad raziAllahu anhu se marwi hai k Allah k nabi(pbuh) ne farmaya
صوم يوم عرفة يكفر سنتين ما ضية و المستقبلة. (صحيح مسـلم -1162 (
Arfa k din (yaani 9 zul hajja) ka roza 2 saal yaani 1 guzishta aur 1 aayinda saal k gunah mita deta hai.
is din ki fazeelat is tarha se bhi ziada hoti hai k ek martaba hazrat umar raziAllahu anhu se ek yahoodi ne kaha k agar ye aayath jo tum parhte ho.
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا
aaj maine tmhare liye deen ko kaamil kardia aur tumpar apna inaam bharpoor kardia.aur tumhare liye islam deen hone par rzamund hogaya.(surat al maayeda-03)
aaj maine tmhare liye deen ko kaamil kardia aur tumpar apna inaam bharpoor kardia.aur tumhare liye islam deen hone par rzamund hogaya.(surat al maayeda-03)
agar wo hum yahudiaon par nazil hoti to hum is din ko eid mana lete.hazrat umar raziAllahu anhu ne farmaya wallah mujhe ilm hai k ye aayath kis din aur kis waqt nazil hui.arfa k din juma ki shaam ko nazil hui.aur hum sab is waqt maidan e arfa me thei.
aur isi tarha sunan abi dawood ki hadees k ye alfaz hain k
كان رسول الله يصوم تسع زى الحجة و يوم عاشوراء و ثلاثة أيام من كل شهر
rasool Allah sallallahu alaihi wasallam 9 zul hajja,yaom e aashora,aur har mahine me 3 din k roze rakhte thei.(sahih abu dawood-2129)
aur isi tarha ye roza jo hajj kar rahe hote hain unkeliye rakhna makrooh fail hai.kyunke Allah k nabi(pbuh) ne isse nahi rakha tha.
أن ناسا تماروا عندها يوم عرفة في صوم النبي صلى الله عليه وسلم فقال بعضهم هو صائم وقال بعضهم ليس بصائم فأرسلت اليه بقدح لبن وهو واقف على بعيرة فشربه
inke han kuch log arfaa k din nabi(pbuh) k roze k baare me jhagra kar rahe thei.baaz ne kaha k aap (pbuh) rozedaar hain.aur baaz ne kaha k aap rozedaar nahi hain.ispar hazrat um e fazl raziAllahu anha ne aap(pbuh) ki qidmat me doodh(milk) bheja.aap apne oonth(camel) par sawaar thei.aap(pbuh) ne doodh(milk) pee liya.(sahih bukhari-1988-kitab us saom)
isi liye hame chahiye k hum is din ka ehteraam karte hue roza rakhen.Allah hame in sahih aahadees par amal ki taufeeq ata farmaye aameen.