Ye Kaisa Khyal Hai..

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
yeh kaisa khayl hay taqdeer ki baynaam bazi ka
keh jo haaray, so haaray haiN
magar jo jeet jaatay haiN
unhay bhi ik naee uljhan ki daldal ghayr laiti hay
keh ikk mushkil kay baad ikk aur mushkil ghayr laiti hay
samajhnay kay liyay aaeyn,
chalaiN ham farz kartay haiN
kisi lamhe kisi ik shakhs ko paana hamari zindagi say bhi ziyada besh-qeemat tha
ham uss ki aarzu mai saari dunya bhool baithay thay
bas ussi ka naam laitay thay, ussi ko yaad kartay thay
ussi ki dhun mai jeetay thay ussi kay gham mai martay thay
to phir kuch yuN huwa ikk roz uss ko paa liya ham nay
ussay rangoN ki doli mai bitha kar ghar mai lay aaey
tassavur ki har ik khusbu gul-e-manzar mai lay aaey
kahani aagay chalti hay
to hota iss tarah hay - zindagi kay kaar-khanay mai
dinoN kay aanay jaanay mai
jahaN kay an-ginat kaamoN ka chakkar chalnay lagta hay
badan thakta hay
aankhain dayr tak baydaar rehnay say sulagti haiN
zubaan ik taajiraana aur musalsal jhoot
ki takraar say uktaanay lagti hay
magar majbur hoti hay
keh dunya ka dabao uss ko ruknay hi nahi daita
koi bay-kaar sa qissa woh phir dohraanay lagti hay
thakan aur neend ki milti haddoN mai, sard bistar par
sehar say raat tak ki bay-nateeja guftugu
yaad aanay lagti hay
to uss lamhe
woh umroN ki ryaazat ka samar, woh gohar-e-yakta
ussi shiknoN bharay bistar kay ik hissay mai hota hay
magar mehsoos hota hay
keh jaisay woh hazaroN meel ki dori pe rehta hay
issi doori kay sehra mai kaee raataiN bikharti haiN
kaee din faut hotay hain
to phir ik din
kisi baynaam say ehsaas ki aahaT
hamaray hast ki khaali gali mai goonjti hay
aur hamay baydaar karti hay, bataati hay
keh ham jis ghar mai rehtay haiN
wahan kuch khoobsurat khuwaab bhi abaad hotay thay
chalaiN ham farz kartay haiN
yeh sab kuch ik kahani hay,
magar kitni purani hay
 
  • Like
Reactions: ShahXu
Top