yeh barishein..!!!

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
yeh barasti barishein or muhabbaten b ek c hoti hain,jo anaayaton ki tarha barasti hain or har dukh,aadawat or gard ko dho le jati hain.or kabi kabi to ye sb kuch baha kr apne sath le jati hain..
aj b barasti barish or dhalti sham ek sath thi..ankhon k samne woh sare manzir kisi album ki tarha chalne lge the..
waqat kabi loat kr wapis nhi aata,sirf yaadon k jugno daman me daal kr humesha humesha k lye chala jata hai..yaadon k ye jugno apni rooshni se zindgi me kabi andera nhi hone dete...jb hum khali hath reh jate hn to phir yaadain hi hasil-e-zeesat hoti hain....
barasti barish me sehan se uthne wali mitti ki dil ko cho jate wali khushbo or tumhari yaad aj b is dil me zinda-o-jawaid hai...
kash woh lamhe phir se loat aayen..kashhhh
yahan dhanak k sare rang the..or hathon me hath dale gulabi galon wale bache kikli dalte or kabi khaghaz ki nao(kashti) bna kr barish k jama shuda pani me chor dete..sehan ki 1 tarf lgi motiye ki bail par adh khile phool or unki khushu mahool ki khoobsorti me izafa kr rhe the..rim jimh barasti barish kisi sehar ki manid maloom hoti thi..tesre zene par bethi wo bari bari bhori(brown) aankhon wali masoom c bachi kisi or hi dunya me gum thi..shayed wo is barasti barish me mehv-e-khawab thi..lekin use kisi ne btaya na tha k barish me dekhe gye khawab boht ajeeb hote hain,jin ki tabeer b barish k is pani me beh jati hai..
woh choti c larki jis k kehke or muskarahat dosre bachon se milte zarur the lekin us ki bolti ankhon me basne wale khawab boht mukhtalif the..muhabbaton ki barish me bheeg jane ki khawaish ..ya shayed beh jane ki khawaish..
woh hathon me 1 khila gulab le kr yon hi kitni dair se barish me bheeg rhi thi..k achanak badal ki zor dar garj se woh sir ta pair larz gyi thi..us k hath se gulab ka phool gir gya jis ki pattiyan barish k pani me bikhar gyi the..
aj b woh barish ko yon dariche se dekh rhi thi..zindgi ki guzashta barsaton ne ise ye bawar krwa diya tha..k jis dunya me woh rehti hai yahan haqeeqaten boht talkh hoti hain.. jb kale siyah badalon ki tarha roz dar andaz me garj kr barasti hn..to sare khawab gulab ki un pattiyon ki tarha beh jate hn..or muhabbat sb kuch baha kr le jati hn..
ab phir jb us ne apni muthi khool kr dekha to sirf yaadon k woh jugo zinda the..khawaishon ki sari titliyan mar gyi thi..sb kuch beh gya tha..!!!!

 

lavina

TM Star
Jun 14, 2009
1,580
780
113
USA
Wah Anaaya ji kya baat hai lijiye hum bi kuch lines add karte hai umeed hai pasand aaye aapko


Hamare Baad Chali Rasm-e-Dosti Ki Nahi
Hawa Ki Zad Mein Koi Shama Phir Jali ke Nahi
Bichar ke Jab Bhi Mile Mujhse , Pochta HaiWoh Shaks
Ke Inn Dino Koi Taza Ghazal Hui Ke Nahi

Suna Hai Aam Thi Kal Shab Ko Chaand Ki Bakhshish
Bhuje Gharoon Mein Bi Uthri Hay Chandni ke Nahi
Nikal Ke Jisse Hua Apna Dard Awara
Kisi Ke Dil Mein Woh Mehfil Bi Phir Saji K Nahi

Woh Reh-guzar Jo Andheron Mein Saans Leti Thi
Tumhare Naqsh-e-Qadam Se Chamak Utti Ke Nahi

Diyaar-e-Hijar Se Aaye Ho Kuch Kaho
Ki Shaam-e-Ghum Bi Kisi Morr Par Mili Ke Nahi


 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
G ma ne khud likha hai
shukaria psnd krne k lye
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
waah Annu wah....bahut khhob...
Abb ye barish ka dusra rukh bhi mulaheza ho...


Ye barishen,ye khunk hawa ye pal pal badalta mausam,kayenaat k haseen rang jab dil me jazb hote hain to sari duniya itni dilkash itni dilfareb lagti hai,dil yunhi dharkne lagta hai,honton se apne ap meethe sur nikalne lagte hain..lagta hai sari duniya mohabaton ki barish me naha gayi hai..andaz bahkne lagte hain..Aisa mahsus hota hai k weerano me bhi bahaar ka basera hai,phoolon ki khilkhilahat hai,har cheez nayi nayi,dhuli dhuli,ujli saaf o shafaaf suraj ki kirne aur barish k sangam me sari duniya khaus e qaza ka sama pesh karti hai,,dil me bhi dhanak rang utarte hain....
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mashaAllah bahot khoob anaaya.padhte waqt main khud in khayalaon me chala gaya tha.aur yahi aapki kamiyabi hai k aapne is andaz se likha k padhne wala tasawwuraat me chala jaaye.aur haan aap jab bhi koi mazmoon likhti hain usey apni diary me note karlen taake aapke chuninda mazameen ki ek tarteeb dene me aapko saholat ho.nice sharing.

america me ek school k taaluq se maine padha tha k bachpan me bacche ko us school me admission k waqt koi ek khilona dia jaata tha misal k taor par thermometer,enginering feets,ya isi tarha koi aur .aur dekha jaata tha k baccha kis cheez me interest leta hai.aur baccha jis cheez me interest lega wahi raaste par useuy daal diya jaata hai.kyunke us bacche ko is cheez me interest hai lehaza wo ye taaleem hasil karne meapni dilchaspi dikhaayega.

aapka interest agar urdu adab me hai to aap isi me apna career bana sakti hain aur yahi aapkeliye munasib bhi rahega.
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Barish ka ek aur rang...

AANKHON KI RIM JHIM KA

suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wah........
mashallah ..
bhot khoob..
bahar ne b qalm toor diya aj..:)

ma abi isi k jawab me or likhti hon
waah Annu wah....bahut khhob...
Abb ye barish ka dusra rukh bhi mulaheza ho...


Ye barishen,ye khunk hawa ye pal pal badalta mausam,kayenaat k haseen rang jab dil me jazb hote hain to sari duniya itni dilkash itni dilfareb lagti hai,dil yunhi dharkne lagta hai,honton se apne ap meethe sur nikalne lagte hain..lagta hai sari duniya mohabaton ki barish me naha gayi hai..andaz bahkne lagte hain..Aisa mahsus hota hai k weerano me bhi bahaar ka basera hai,phoolon ki khilkhilahat hai,har cheez nayi nayi,dhuli dhuli,ujli saaf o shafaaf suraj ki kirne aur barish k sangam me sari duniya khaus e qaza ka sama pesh karti hai,,dil me bhi dhanak rang utarte hain....
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
shukaria..
han ma bs ese hi kahen b kuch b likh deti hon..bakaida diary nhi likhti..is lye jb b hum notes books alg krte hn hain to meri note books me kuch na kuch likha milta hai jo ma ne mukhtalif situations me likha hota hai,use parhna boht dilchasp lgta hai,lekin ap ne thek kaha diary par likh kr mehfooz kr lena chaheye warna is tarha to gum ho jati hn..
wow..boht acha tarika hai ye to..muje b mere kayi frnds or teachers ne b urdu adab ka mashwara diya tha..lekin bat ye hai k is tarha to mera interest art me b hai..or science b muje boht pasnd hain..to jb ma me subjects ka intikhab krna tha to sb ne alg alg mashware diye,jo log muje jis hawale se zeyada jante the..to phir ma ne sciences chose krlia..ta-k ma is k sath apna career bna sakon..art or literature ko to ma apni hobbies k sath b chala sakti hon:)
mashaAllah bahot khoob anaaya.padhte waqt main khud in khayalaon me chala gaya tha.aur yahi aapki kamiyabi hai k aapne is andaz se likha k padhne wala tasawwuraat me chala jaaye.aur haan aap jab bhi koi mazmoon likhti hain usey apni diary me note karlen taake aapke chuninda mazameen ki ek tarteeb dene me aapko saholat ho.nice sharing.

america me ek school k taaluq se maine padha tha k bachpan me bacche ko us school me admission k waqt koi ek khilona dia jaata tha misal k taor par thermometer,enginering feets,ya isi tarha koi aur .aur dekha jaata tha k baccha kis cheez me interest leta hai.aur baccha jis cheez me interest lega wahi raaste par useuy daal diya jaata hai.kyunke us bacche ko is cheez me interest hai lehaza wo ye taaleem hasil karne meapni dilchaspi dikhaayega.

aapka interest agar urdu adab me hai to aap isi me apna career bana sakti hain aur yahi aapkeliye munasib bhi rahega.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
aala..
thnx bahar g..
ye muje boht pasnd hai siso:)
Barish ka ek aur rang...

AANKHON KI RIM JHIM KA

suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
its ok..
best of luck 4 ur exams
ALLAH apko zindgi k har imtihan me kamyaab kre
ameen
jumrat ko parh ke bataoga...abhi nai parh sakta itna sab kuch..sorry...warna exam mei yeh likh kar araha hoga.. :s
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Top