Yeh Hijr Hua Bhi Dushman Hai Is Naam Ke Sare Rangon Ki

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ab kis se kahein aur kon sune jo haal tumhare baad hua
Is dil ki Jheel si Aankhon mein ik khawab buhat barbaad hua

Yeh hijr hua bhi dushman hai is naam ke sare rangon ki
Woh naam jo mere honton par khushboo ki tarah aabad hua

Is shehar mein kitne chehre the, kuch yaad nahi sab bhool gaye
Ik shakhs kitabon jaisa tha woh shakhs Zubani yaad hua

Woh apne gayon ki galyan theen dil jin mein nachta gata tha
Ab is se farq nahi parta nashad hua ya shad hua

Be naam sataish rehti thi in gehri sanoli Aankhon mein
Aisa to kabhi socha bhi na tha Dil ab jitna be daad hua
 
Top