Yeh Mehfil Jo Aaj Saji Hai........ Mohtram Saviou

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
talluq ....... jaise dosti ka talluq , jaisay koyi khooni rishtay ka talluq hi samjh lijiay k kuch log apni harkaton ya aadaton ki waja se na qabil e bardasht ho jaayen to kiya karna chahiay.
jee to wohi jawab hua jo upar diya hai ham ne
aisa aksar hota hai chahe wo khooni rishte ho ya dosti ka aise halaat ka samna hota hai zindagi me to rishte todhne ki bajaye koi aur rasta dhundna behtar hai koi tarkeeb ya phir yun ke banda ignore kare lekin salam dua rakhe kabhi mil liya kare bas wahin tak
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
jee to wohi jawab hua jo upar diya hai ham ne
aisa aksar hota hai chahe wo khooni rishte ho ya dosti ka aise halaat ka samna hota hai zindagi me to rishte todhne ki bajaye koi aur rasta dhundna behtar hai koi tarkeeb ya phir yun ke banda ignore kare lekin salam dua rakhe kabhi mil liya kare bas wahin tak
javab to mil gaya tha lakin talluq ki wazahat ki thi apni tarf se k main ne kiya soch k aisa sawal kiya tha.
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Galay para dhol bajana hi paRta hai
4 din ki chandni phir andheri raat hai
kiya pidi kiya pidi ka shorba
Gardan phansana
aag laga kar tamasha dekhna
naiki barbaad gunah lazim
niya fitna uThaana
oonch neech
aao dekha na taao
jahaN seeng samaayeN
Sher aur bakri aik ghaaT pani peete haiN
khala jee ka ghar nahi
unees bees ka farq
sheeshay mein utarna
jaan hai to jahan hai
bakray ki maaN kab tak khair manaey gi
aasteen ka saanp
khoon paseena aik karna
bili choohay ka khel
jalebi ki tarah seedha hona
yeh kuch mahavaray diay hain... aap ne aik tehreer ya kahani kuch bhi keh lein... likhni hai aur inn mein se zyada se zyada mahavaray istmaal karnay hain. hasb e zarorat khud se bhi add kar saktay hain, tehreer zara hat k honi chahiay. yoon samjhiay k khoob chatkharay dar.. mazaydaar qisam ki.
jaldi ki zarorat hargiz nahi kyunkay jaldi ka kaam ..... acha nahi hota.
aap ka time shuruu :happyrun

@saviou
ChuTiyaN Khatam Ho Gayeen..... Apna Homework Dikhaiay @saviou Mohtram
 
Top