Zati afsan (IMTIHAN)

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
IMTEHAN
[FONT=&amp]

Assalam o alaikum [/FONT]


[FONT=&amp]Karachi k airport mein America se ane wali flight ruki, Aslam jo 5 saal baad aaj Pakistan pohoncha tha aaj kafi muddat baad Pakistan pohoncha to bohot khush tha, Pakistan mein us ka janne wala koi nahi tha phir bhi wo Pakistan aya sirf aik dost se milne us ka hal janne k liye jise wo akhri bar 5 saal pehle isi airport pe mila tha.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam ne aik texi wale se kaha k wo use liyari le chale, [/FONT]
[FONT=&amp]Kyun k us ka dost ameen liyari mein rihaish pazeer tha.[/FONT]
[FONT=&amp]Texi mein bethe aslam bahar ka nazara ker raha tha aur phir khud se baatain kerte hue aslam ne khud se kaha! [/FONT][FONT=&amp]Karachi[/FONT][FONT=&amp] wesa hi hei jesa pehle tha kuch nahi badla, wohi serkain wohi dukaanain, aslam abhi [/FONT][FONT=&amp]karachi[/FONT][FONT=&amp] k nazaron mein gum tha k texi wale ne achanak break laga di.[/FONT]
[FONT=&amp]Asalam ne herbara ker poocha! Kya hua?[/FONT]
[FONT=&amp]Texi wale ne jawab diya! Sahab wo aage wazir-e-ala sahab arahe hein isi liye hamein thora intezar kerna pare ga.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam acha theek hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam ne nazer ghuma ker charon taraf dekha, kaheen motor cycle pe baap ne bachon ko bithaya hei school se gher le jane ko aur ab use is tapti dhoop mein intezar kerna per raha hei, kisi ko phone pe phone arahe hein, per yahan khara rehna majboori hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam ne apni boriyat door kerne k liye apna bag khol ker us mein se aik diary nikali jis mein us ne apne dost ameen se bicherne se pehle ka sara waqiya ameen k bare mein likha tha, aslam ne diary ka pehla werk khola aur perhna shuru ker diya. [/FONT]



[FONT=&amp]Ameen :: Aik insaf pasand normal admi.[/FONT]
[FONT=&amp]Amir :: Ameen ka chota bhai.[/FONT]
[FONT=&amp]Rabia :: Ameen ki choti behen.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam :: Ameen ka dost.[/FONT]
[FONT=&amp]kulsoom:: Ameen ki maa.[/FONT]
[FONT=&amp]Zara :: Ameen ki mangetar.[/FONT]
[FONT=&amp]Zoha :: Zara ki maa.[/FONT]
[FONT=&amp]Adil :: Ameen ki factory ka boss(maalik).[/FONT]
[FONT=&amp]Assalam o alaikum [/FONT]

[FONT=&amp]Ameen khushi khusi gher mein dakhil hua aur seedha apni maa ki taraf [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] aur zor se bolne laga k us ki awaz se gher k tamam log us ki taraf agai.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Maa mujhe aaj nokri mil gai hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Kulsoom khushi se! arey beta ye to bohot achi baat hei, nokri to achi hei na? [/FONT]
[FONT=&amp]Amir! Arey maa kya baat kerti ho mere kabil bhai ko achi[/FONT]
[FONT=&amp]Nokri na mile aisa kabhi ho sakta hei kya.[/FONT]
[FONT=&amp]Rabia! Haan mera bhai to best of all hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Amir! Bhai aap ko mahana kitne pese milein ge? 40000 hazar tak to sirf mera mamuli andaza hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen muskurate hue! Nahi amir wo kya hei abhi start hua hei to sirf 8000 rupe milein ge, baad mein ahista ahista taraqqi hogi to pese bhi berh jain ge. Aur [/FONT][FONT=&amp]hama[/FONT][FONT=&amp]ra kam to import & export ka hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Kulsoom! bas bas bohot hui baatain ab mere bete ko thora [/FONT][FONT=&amp]aram[/FONT][FONT=&amp] kerne do, ja beta thora [/FONT][FONT=&amp]aram[/FONT][FONT=&amp] ker le thak [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] hoga.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen apne kamre mein kamre mein [/FONT][FONT=&amp]aram[/FONT][FONT=&amp] ker raha tha k us k phone ki ghanti baji, ameen ne dekha to aik anjaan no. se phone aya tha, ameen ne phone uthaya! Assalam o alaikum kon baat ker raha hei?[/FONT]
[FONT=&amp]Hichkichate aur shermili awaz mein! Jawab mila g mein zara baat ker rahi hoon wo abhi choti ka phone aya tha keh rahi theen k aap ko nokri mil gai isi liye mubarak bad k liye phone kya.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! G acha khair mubarak ho.[/FONT]
[FONT=&amp]Zara buland awaz se! Meine aap k liye bohot dua ki thi.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! G shukriya ab mein phone rakhta hoon Allah hafiz.[/FONT]
[FONT=&amp]Ye kehte hi ameen ne phone band ker diya aur apne ser pe chader dal k so [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp].[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen aik bohot hi imandaar aadmi tha, somo salah ka paband aur Khas Allah ki raza k liye her kam kerta tha, ameen chunke mehnati tha isi liye use din ba din shohrat milti gai office mein sab officers us se bohot khush the aur us ka bohot khayal rakhte the, ameen ki qabiliyat ki wajah use office mein management ka ohda naseeb hua, Company ka malik ameen se bohot khush tha, gher mein bhi sab ameen ka bara khayal rakhte the,[/FONT]
[FONT=&amp]Phir kuch hi din mein ameen ki shadi zara k saath ho gai, sab kuch bohot ache se chal raha tha k aik din ameen k imtehan ka din aya.[/FONT]
[FONT=&amp]Us din Ameen office aya aur rozmarah ki terhan salam dua k baad aik manager hone ki hesiyat se sab ka kaam check ker raha tha k office k malik ne use apne kamre mein bulaya.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen thori der baad jab malik k kamre se bahir aya to bohot pareshan nazer araha tha, us ka chehra bujha bujha sa tha [/FONT][FONT=&amp]maine[/FONT][FONT=&amp] jab use is halat mein dekha to us k qareeb ja ker poocha![/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Ameen khairiyat to hei tumhe kya huwa?[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Dheemi awaz mein yar wo boss chahte hein k[/FONT][FONT=&amp]…[/FONT][FONT=&amp]..[/FONT]
[FONT=&amp](kehte kehte ameen khamosh hogaya)[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Yar khul ker bata kya kaha boss ne? chal tu idher kursi pe beth ker bata( ameen ko kursi pe bitha ker poocha).[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Boss ne meri [/FONT][FONT=&amp]tara[/FONT][FONT=&amp]qqi ker di hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! (muskura ker) lo g mein to samajh raha tha k najane kya ho [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] hei, is mein itna pareshan hone ki kya baat hei, wese boss ne tujhe kis ohde pe faiz kya hei?[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Boss yahan se [/FONT][FONT=&amp]america[/FONT][FONT=&amp] shift ho rahe hein wahan per wo apne bhai ki company mein un ki help k liye ja rahe hein aur mujhe yahan ka boss bana diya mager aaj mujhe boss ne is office k aise raaz bataye hein k mein ab is office mein nahi theher sakta.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Kya matlab?[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Yar boss ache insan nahi hein unhon ne aaj tak is office mein jo bhi kiya ghalat hi kiya, aur wo ab chahte hein k mein ye sab kuch karoon.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Yar tu khul k baat ker, akhir kya ghalat hua hum to sirf medicine import or export kerte hein.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Ye to mein bhi sochta tha mager aaj boss ne bataya k wo kon sa maal import and export kerte hein, aaj tum bhi suno, hum jo medicines import & export kerte hein aur dukano mein aur doosre mumalik mein dete hein wo saraser jali hein aur ye medicines expired hein jin ki date change ker di jati hein aur isi wajah se ye saste daamo farokht hoti hein aur in ko sirf wo log hi lete hein jo zyada mehengi medicines efford nahi ker sakte, is ki wajah se bohot se ghareeb shifa yabi se mehroom rehte hein, mujhe aaj boss ne ye sab is liye bataya k wo ab ye gunehgar kam mere supurd ker rahe hein. (Ye keh ker Ameen khamosh hogaya)[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! (ameen ko gale lagate hue) Yar tu kyun dil chota kerta hei gunah to boss ko mile ga, tu sirf apna kam ker aur ab is ko celebrate ker.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! (Sakin khara raha.)[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Oho tu chal bhi, bara aya hamderd.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Mein gher ja raha hoon tu plz abhi kisi ko kuch na batana.[/FONT]
[FONT=&amp](ye keh ker ameen gher chala [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp], aur mein be perwahi se apne kam lag [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp])[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen gher pohoncha to us ki maa kulsoom ne use Derwaze mein aan pakra aur kaha)[/FONT]
[FONT=&amp]Kulsoom!Acha hua tum aagai mein tumhein phone ker ker k thak gai tumhara phone hi nahi mil raha tha Beta mubarak ho wo raees sahab k bete se jin ki zyada jaidad k her jagah chercha hei, wo hamari rabia ka rishta mangne aye the(ameen sakin khara maa ki baat sunta raha aur kulsoom ne apni baat jari rakhte hue) Lerka khoobsoorat bhi hei aur khoobseerat bhi ameen tu to janta hei k un ki ilaqe mein kitni izzat hei koi un k samne sir utha k baat nahi kerta aur to aur hamari laado bhi is rishte se bohot khush are jab se use pata chala hei wo khushi se phoole nahi samati. Aur haan wo hamare haan isi wajah se rishta le ker ayain hein k tu aik [/FONT][FONT=&amp]bari[/FONT][FONT=&amp] company mein aik bare ohde pe faiz hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Abhi meine haan nahi ki sirf ye kaha hei k jab ameen aye ga to us se mashwara ker k batain ge.[/FONT]
[FONT=&amp]Aaj raat raees sahab tujh se bhi milne ayain ge mager tu to aaj jaldi hi aagaya, chal ander chal.[/FONT]
[FONT=&amp](Ameen ki baat dil hi mein reh gai, ameen bechara ik [/FONT][FONT=&amp]bari[/FONT][FONT=&amp] mushkil mein phans [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] tha aik taraf to wo koi aisa najayaz kam nahi kerna chahta tha jis se Allah naraz ho aur doosri taraf us ki behen ki zindagi, ameen ander dakhil hua to sab k chehre pur musarrat the aur khas tor se rabia thi jo aaj bohot khush dikh rahi thi, mano aaj us ka khwab pura ho gaya ho, rabia ko khush dekh ker ameen ko baat yaad aagai jab ameen ne us se mazak mein kaha tha k mein to teri shadi kisi bheek mange se kerwa doon ga phir katora liye gher gher ghoomna [/FONT][FONT=&amp]“[/FONT][FONT=&amp]Allah k naam pe dede baba[/FONT][FONT=&amp]””[/FONT]
[FONT=&amp]Rabia chirra ker! Hmmm soch hei ye aap ki dekh lena meri shadi to aise lerke se hogi jo jis jagha ko pasand ker le us ki qeemat chahe jo bhi ho khareed le ga. [/FONT]
[FONT=&amp]Kulsoom! Beta kya soch rahe ho?[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! (jo abhi gehri soch k samander mein dooba tha achanak bhokla ker) haa maa kuch bhi wo bas soch raha tha kuch kam bhool [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] hoon office mein wo ker k aata hoon.[/FONT]
[FONT=&amp]Kulsoom! Are tujhe abhi bhi kam ki pari hei chor ye phir hon ge bata tujhe manzoor hei?[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen!(chirra ker) oho kaha na office se aaker batata hoon(ye keh ker ameen gher se nikal [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp]).[/FONT]
[FONT=&amp](Office jate hue ameen k zehen mein bohot si baatain ummad rahi theen, [/FONT]
[FONT=&amp]Ager us ne nokri chor di to rabia ka rishta toot sakta hei, ager rabia ka rishta toot [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] to wo us k bare mein kya soche ge yehi kahe ge k; bhai ne meri zindagi berbad ker di meri [/FONT][FONT=&amp]bari[/FONT][FONT=&amp] mein hi bhai ko halal o haram yad aya.[/FONT]
[FONT=&amp]Meri maa bhai sab mujh se umeedain bandhe hue hein, meine ager nokri chor di to gher ka kherch kese chale ga[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen office pohoncha to aslam se ko sab kuch batay)[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Yar meine to tujhe pehle hi kaha tah na k ye insaf ki baatain kerna aasan hein amal kerna koi aasan kam nahi meri maan to chup chaap apna kam ker ghalat kam tu nahi tera boss ker raha hei.[/FONT]
[FONT=&amp]Ameen! Haan yar tu sach kehta hei ab mere pas is k siwa aur koi chara nahi(ameen ne mayoosi se jawab diya) mein boss se kuch nahi kehta, ye nokri ab nahi chor sakta.[/FONT]
[FONT=&amp](abhi hum dono baatain ker rahe the k achanak mujhe abbu ka phone aya, mera [/FONT][FONT=&amp]america[/FONT][FONT=&amp] ka visa lag [/FONT][FONT=&amp]gaya[/FONT][FONT=&amp] tha aur ye sunte hi meine ameen ko bataya, ameen bhi bohot khush hua aur mein wahan se dor k gher ko rawana hua, mein itna exited tha k jaane se pehle apne dost ameen se bhi na mila, wo hamari aakhri mulaqat thi.[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam texi mein betha poori kahani perh chuka tha ab us ne apni diary band ker li aur sochne laga)[/FONT]
[FONT=&amp]Aslam! Meine apne dost se jane se pehle mulaqat bhi nahi ki najane ab wo kesa hoga, us faisle se wo khush to na tha mager majboori k baas use ye qerwah ghoont peena para.[/FONT]
[FONT=&amp]Ye sab perhne k baad aslam ne diary band ker li traffic bhi rawan thi kuch der baad [/FONT][FONT=&amp]tex[/FONT][FONT=&amp]i driver ne aslam ko liyari k pas pohoncha diya aur kaha! Lo sahab agaya aap ka liyari.[/FONT]
Aslam ne texi wale ka bil ada kerte hi ameen k gher ki taraf jane laga, chunke bohot se gher tor ker dobara banai gai the isi liye aslam ko ameen ka gher pehchanne mein bohot dushwari ho rahi thi to us ne mohalle k aik gher pe dastak di, aik boorha zaeef aadmi bahir aya aur aslam ki taraf mutawajja hua.
Aslam! Assalam u alaikum baba.
Baba! walaikum assalam; g beta aap ki kya khidmat ker sakta hoon?
Aslam! baba yahan per ameen naam ka aik shakhs rehta hei mera dost, us ka gher mujh se kho
gaya, aap mujhe bata dein.
Baba! kon ameen yahan to koi ameen nam ka aadmi nahi rehta.
Aslam!baba wo jo import export ka kam kerta tha,
baribari darhi thi, bhoore baal.
Baba! oohh acha tum wo wala ameen keh rahe ho, beta wo to aaj se 5 saal pehle hi yahan se chale gai the aur apna gher aik keryane wale ko bech gai the.
Aslam! kya; us ki behen ki shadi ka kya huwa.
Baba! Arey ameen ne nokri chor di to us ki behen k susral walon ne rishte se inkar ker diya, kyun k dahej mein wo jo kuch maang rahe the ameen wo sab nokri k bagher nahi de sakta tha.
Aslam! mager ameen ne nokri kyun chori?
Baba! Allah jane humein to aur kuch nahi maloom k phir kya huwa?

Aslam pareshani ki halat mein wapis mura aur pagalon kiterhan kabhi aik gher aur kabhi dukan mein poochta raha k koi us ko amen ka pata bata de.
Phir akhir aik purana dukandar jise aslam bhi pehchanta tha, aslam ki mulakat hui salam aur hal o ahwal k baad aslam ne dukandar jis ka naam Asgher tha poocha;
Aslam! Yar asgher mein yahan ameen ka pata lagane aya tha mager us k bare me to mein kuch aur hi sun raha hoon.
Asgher! Kya ameen; haan yar ameen bechare k saath bohot buri hui mager ye baat sachi hei k ameen hosle wala hei us ne najayaz kam na kiya, jab k wo janta tha k is mein us ka bara nuqsaan hei.
Aslam! Mujhe us ka pata batao ab wo kahan hei?
Asgher ne aslam ko ameen ka pata diya wo liyari k ilaqe se kafi bahir tha,
Aslam ameen k gher ki taraf pohoncha to dekha k aik adher umer aadmi jis k haath mein aik kitab, chashme pehne hue, aur ser jhukai aslam k samne guzra, aslam ne foran khushi se mur ker use awaz di! Ameen, ameen, wo ameen hi tha us ne jo palat ker dekha to jhapat ker aslam k gale lag gaya, wo lamha in dono k liye sach mein pur musarrat tha.
Aslam! Kesa hei yar tu?
Ameen! Jesa tu pehle chor ker gaya tha.
Aslam! (muskura ker) sach tu bilkul nahi badla, phir achanak (afsurdgi se) mager bohot kuch badal gaya, akhir kyun ameen.
Ameen! Mujhe andaza tha k tu sab kuch jan gaya hoga.
Aslam! Mujhe tafseel se bata kya hua tha?
Ameen pehle tug her chal yaheen khara rahe ga kya.
Ameen aslam ko apne gher le gaya, aik chota sa gher,
Jis ki deewaren kachi, bijli ka kuch khas intezam nahi
Gher k aik kamre mein aik tooti char pai aur us pe aik tulai jis pe pewand lage hue the.
Ameen! Aaj meri beewi, bache aur maa susral gai hein isi liye yahan mojood nahi, aur acha moqa hei hum khoob baatain karain ge.
Aslam! (ameen ki baat ko kat te hue) tu mujhe sirf itna bata k tu ne nokri kyun chor di?
Ameen! Yar us din jab mein ye faisla ker chuka tha k ab mein boss se nokri chorne ka tazkira nahi karoon ga, aur yehi soch ker mein office se gher aaraha tha, rastey mein hallagulla mach gai, meine dekha k aik aadmi apne bache ko kandhe pe uthai hue hei bohot se log us k saath hein, aur wo hospital ki taraf dore ja rahe hein meine qareeb aik shaks se poocha k bhai ye kya mamla hei?
Us ne bataya! Bhai jan is bache ko raat mein mamooli bukhar tha aur ser mein derd tha to is k gher walon ne kareebi aduyat ki dukan se aik ser derd ki goli le ker khila di subha bache ki tabeeat kharab ho gayi, doctor gher aya tha to keh raha tha k goliyan expired theen.
Ameen! Bas usi waqt mein office gaya aur boss se keh diya k main is nokri se resign ker raha hoon, boss ko mujh pe bohot ghussa aya aur unho ne mujhe akhri ye alfaz kahe ja to tum rahe ho mager yaad rakhna bohot pachtawo ge.
Meine kuch bhi na kaha aur khamoshi se wahan se wapas ho gaya.
Aslam! (bari becheni se) phir kese guzri tumhari zindagi?
Ameen! (muskura ker) kya yaar behen ki shadi toot gai, gher bechna para, humare halat un dino bohot kharab rahe, yahan tak k gher walon ne mujh se baat kerna chor diya sab mujhi ko kasoor war mante the, chote ki perhai meine rukne nahi di khud mehnat mazdoori ker k gher lata tha, kafi takleef rahi, gher mein bijli aur gas nahi thi, phir ahista ahista halat badle aur mujhe choti si nokri mil gayi, behen ki shadi ker di jis ka shoher ameer na sahi per dil ka bohot acha hei, meri behen aaj mujh se kehti hei k bhai aap ka faisla sahi tha,
You know Allah ki taraf se imtehan tha mujh jis mein mujhe kamyabi hasil hui Allah ka laakh laakh shuker hei. Allah tala hum sab ko neki ki hidat de.Ameen.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Wssalam u alaikum
mashaAllah..ap me likhne ki achi salahiyat hai..
kahani ko boht ache andaz me aage bharaya.
likhne k liye mozu(topic) ka intikhab b umdah tha...ese hi islahi pehlu hone chaheye tehreer me,
ye haqiqat hai k Insan ki zindgi me ese boht se lamhe aate hain jo us k liye pul'siraat ki tarha hote hain..jahan sahi fesla lena boht mushkil hota hai..lekin beshak Allah hi insan ko bhalai ka rasta dekhane wala hai.
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Wssalam u alaikum
mashaAllah..ap me likhne ki achi salahiyat hai..
kahani ko boht ache andaz me aage bharaya.
likhne k liye mozu(topic) ka intikhab b umdah tha...ese hi islahi pehlu hone chaheye tehreer me,
ye haqiqat hai k Insan ki zindgi me ese boht se lamhe aate hain jo us k liye pul'siraat ki tarha hote hain..jahan sahi fesla lena boht mushkil hota hai..lekin beshak Allah hi insan ko bhalai ka rasta dekhane wala hai.
Aap ka bohot bohot shukriya..............
 
Top