Aur mai sochti hun...
Aur mai sochti hun
ke mai kyu usy bura kahun
wo to khud fanaa ke safar mai thaa
mai lamhaa lamhaa hijar mai thaa
mai sochti hun
hum apny apny dairon mai kis qadar qaid hain
dairon ke qaid se bhala kon azad hai
magar lamho mai yeh dayre tooty kesy
shayed tooty nia phel rahy hain
or is mai ahista ahista smit rahy hain
mai sochti hun wo wasal rutu mai
wo hijar lamhy jo tehar gaye hain
wo kaya huwy,
wo pighlty jazbey,
wo behtay samnadar jo ab jam gaye hain,
wo beety samay jo ab mazi ban chuky hain,
wo khoye kahan,
wo soye kahan,
shayed waqt ki gard mai atay huwy hain.
mai sochti hun
wo sary waday tery khushnamaa freb thay,
k ab jo talak intazar ki ghntiyan bjaa rahay hain,
agr wafa hojaye to kaya
kazaa jaye to kayaa,
mai janti hun,
mai janti hun,
k tu bi fanaa ke safar mai mera humsafr hai,
phir bhlaaa shikwaa kaaya,
mai sochti hun,
ke yeh khumar jisy muhubaat kehty hain,
yeh gubaar jo sanson mai behty hain,
yeh dhuwan jo dilo se uthtaa hai,
phir dhuwaan ani rehtaa,
jab khumar misl e gubar uth jata hai
her koi rastaa mehram nai bantaa,
mai sochti hun ke shayed
yehi faana ka safar hai,
jis mai hum hum nai rahay
samander sahil ab wo kinaray nai rahay,
wo saray khwaab k jo misl e naqshe pe sahil ki geeli rait pe
waqat ki taiz mojon se fanaa huway,
wo kaya huway,
wo kyu huway,
shayed wqt ka samander yuhi behtaa hai
shayed yehi hota hai,
shayed yehi fanaa ka safar hai,
Aur mai sochti hun
mai kyu usy bura kahun
wo to khud fanaa ke safar mai thaa
mera lamhaa lamhaa hijar mai thaa
Aur mai Sochti hun....
Aur mai sochti hun
ke mai kyu usy bura kahun
wo to khud fanaa ke safar mai thaa
mai lamhaa lamhaa hijar mai thaa
mai sochti hun
hum apny apny dairon mai kis qadar qaid hain
dairon ke qaid se bhala kon azad hai
magar lamho mai yeh dayre tooty kesy
shayed tooty nia phel rahy hain
or is mai ahista ahista smit rahy hain
mai sochti hun wo wasal rutu mai
wo hijar lamhy jo tehar gaye hain
wo kaya huwy,
wo pighlty jazbey,
wo behtay samnadar jo ab jam gaye hain,
wo beety samay jo ab mazi ban chuky hain,
wo khoye kahan,
wo soye kahan,
shayed waqt ki gard mai atay huwy hain.
mai sochti hun
wo sary waday tery khushnamaa freb thay,
k ab jo talak intazar ki ghntiyan bjaa rahay hain,
agr wafa hojaye to kaya
kazaa jaye to kayaa,
mai janti hun,
mai janti hun,
k tu bi fanaa ke safar mai mera humsafr hai,
phir bhlaaa shikwaa kaaya,
mai sochti hun,
ke yeh khumar jisy muhubaat kehty hain,
yeh gubaar jo sanson mai behty hain,
yeh dhuwan jo dilo se uthtaa hai,
phir dhuwaan ani rehtaa,
jab khumar misl e gubar uth jata hai
her koi rastaa mehram nai bantaa,
mai sochti hun ke shayed
yehi faana ka safar hai,
jis mai hum hum nai rahay
samander sahil ab wo kinaray nai rahay,
wo saray khwaab k jo misl e naqshe pe sahil ki geeli rait pe
waqat ki taiz mojon se fanaa huway,
wo kaya huway,
wo kyu huway,
shayed wqt ka samander yuhi behtaa hai
shayed yehi hota hai,
shayed yehi fanaa ka safar hai,
Aur mai sochti hun
mai kyu usy bura kahun
wo to khud fanaa ke safar mai thaa
mera lamhaa lamhaa hijar mai thaa
Aur mai Sochti hun....