"aazadi kay chiragh" say iqtibas

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Meray baap nay apnay betay ki laash kay tamam tukray khhod ikhatay kiye thay , barasti aankhon kay sath...kisi cheekh-o-pukar kay beghair.....es nay meray bhai ka poora jisam ikhata kiya , wo har chakar kay baad jisam kay tukray dobara ginta phir jo tukray kam hotay un kay naam duhrata..."daein tang....naak....baya n kaan...bayan hath...pair ka anghootha...daein hath ki char ungalyan....."
mera baap jo sari umer hindustan aur congress kay gun gata raha...sardar patail aur gandhi ki batein soun soun kar jhoomta raha , wo marnay say pehlay meray liye Pakistan ki matti chor gaya tha...shayed apnay betay kay jisam kay tukray ikhtay kartay howe osay pehli bar ehsaas howa ho ga kay mazhab ki bunyaad par janam lenay wala do qoumi nazriya deewanay ki bar nahin , haqeeqat hay...shayed meri maan ki kati hoi gardan zameen par otartay howe osay ehsaas howa ho ga kay aazadi kiya hoti hay...shayed shakeela baji ki laash dhanptay howe esay pata chala ho kay hindu ka paaltoo kutta ban janay ka matlab kiya hay aur shayed meri dono behnon ko ghar main jalatay howe osay pata chala ho ga kay aazadi qurbani mangti hay ....hasil karnay kay liye bhi aur qaim rakhnay kay liye bhi...

Mashkoor hussain yaad ki kitab "aazadi kay chiragh" say chund iktibas

 
Top