Aik Roz Aik Sahib-e-Zulf-e-Daraz Ne

  • Work-from-home
Aik Sawal Hai jo Aksar Hum Shiayon Se Kia Jaata Hai Ke Hum Apni Majlison Main Sirf Haider ki Baat karte Hain Faatima Ki Baat Karte Hain, Rasool e Khuda ka koi Tazkira Nahi karte. ye us ka thora sa jawab hai.


Aik Roz Aik Sahib-e-Zulf-e-Daraz Ne
Hum Se Kaha Ke Kab Yeh Sukhanwar Ki Baat Hai
Aata Nahi Hai Zikar-e-Rasool e Khuda Tumhain
Bus Fatima Ki Baat Hai, Haider Ki Baat Hai.

Main Ne Kaha ke Zikar-e-Rasool e Khuda Karoom
Kehne Lage ke Haan Yahi Johar Ki Baat Hai,

Main Ne Kia Jo Dawat e Awwal Ka Tazkira
Bole Ke Hatao Is Main Tou Haider Ki Baat Hai

Main Ne Kaha Jihad e Paighambar Karoo Bayaan
Khandaq ka Zikar Hai Kahi Khyber Ki Baat Hai
Kehne Lage Ke Aur Koi Tazkira Karo
Is Main Tou Saaf Zarkham e Daawar Ki Baat Hai

Main Ne Sunaya Aayat e Tatheer Ka Nazool
Kehne Lage Ke Rehne Do Yeh Ghar Ki Baat Hai

Main Ne Kia Jo Rasool e Khuda Ki But Shikni ka Jo Zikar
Kehne Lage Ke Dukhti Hui Rag na Cheeriye
Paaye Ali Aur Gosh e Paighambar Ki Baat Hai

Main Ne Sunaya Jab Shab e Hijrat ka Waaqiya
Kehne Lage Ke Yeh Rasool Ke Bistar Ki Baat Hai

Main Ne Kia Jo Rasool e Khuda Ki Aakhri Khitab ka Jo Zikar
Khene Lage Ke Yeh GHADEER Ke Mimbar Ki Baat Hai

Main Ne Kaha Ke Zikar Rasool e Khuda Kis Tarah Karoo
Ahmed Ki Baat Baat Main Haider Ki Baat Hai

Kehne Lage Ke Zikar Auron Ka Aata Nahi Hai Kiyo
Main Ne Kaha ke Yeh Tou Muqadar Ki Baat Hai.
 

payal

TM Star
Apr 12, 2009
1,246
672
113
Main Ne Kaha Ke Zikar Rasool e Khuda Kis Tarah Karoo
Ahmed Ki Baat Baat Main Haider Ki Baat Hai

Kehne Lage Ke Zikar Auron Ka Aata Nahi Hai Kiyo
Main Ne Kaha ke Yeh Tou Muqadar Ki Baat Hai.


ji haan beshak Ali ka zikr Ahmed swww ka hi zikr hai...
bahut khoob.....
 
  • Like
Reactions: Lightman
Top