bazahir aam lehjay main

  • Work-from-home

sosweet33

Newbie
Apr 17, 2008
14
6
0
bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
"badal lo raasta apna
juda rahain yaheen karlo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke raahi hai
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manta hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzray ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga"
meray is aam se lehjay pe wo
ik pal ko chonki tha
meri aankhon main aankhain daal kar
hairat se poocha tha
"ye sab jo keh rahe ho khud ko ye samjha bhi pao ge?"
bohat hi jee karda kar ke
main us dam muskuraya tha
bohat khud pe jabar kar ke
main us se keh ye paya tha
"meri tum fikr rehnay do
sambhal jaoon ga main khud hi
sabhi zakhmon ko sii loon ga
bhula kar sari batoon ko
akale bhi jeelonga main.
buhat hi be yaqeen aakhoon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gayi or phir nahi aayi
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top