Bhali Si Us Ki Doosti

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Bhale dinu ki baat he
Bhali si aik shakl thi
Na ye ki husn-e-taam ho
Na dekhne mein ‘Aam si




Na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage
Magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage


Koi bhi rut ho us ki chchab
Fiza ka rang-o-roop thi
Woh garmiyoN ki chchaaoN thi
Woh sardiyoN ki dhoop thi


Na muddatoN judaa rahe
Na saath subh-o-shaam ho
Na rishta-e-wafa pe zid
Na ye ki izn-e-’Aam ho


Na aisi Khush libasiyaaN
Ki saadgi gila kare
Na itni be takallufi
Ki aaina haya kare


Na iKhtilaat mein woh ram
Ki bad-mazah hoN KhwahisheN
Na is qadar supurdigi
Ni zach kareN nawazisheN


Na aashiqi junoon ki
Ki zindagi ‘azaab ho
Na is qadar kaThor pan
Ki dosti Kharaab ho


Kabhi to baat bhi Khafi
Kabhi sukoot bhi suKhan
Kabhi to kasht-e-z’AfraaN
Kabhi udaasiyoN ka ban


Suna hai aik ‘Umr hai
Mu’Amilaat-e-dil ki bhi
Visaal-e-jaaNfiza to kya
Firaaq-e-jaaNgusal ki bhi


So aik roz kya hua
Wafa pe bahas chchiD gayi
MaiN ishq ko amar kahooN
Woh meri zid se chiDh gayi


MaiN ishq ka aseer tha
Woh ishq ko qafas kahe
Ki umr bhar ke saath ko
Woh bad-taraz-hawas kahe


“Shajar hijr nahin ki ham
Hamesh pa ba gul raheN
Na Dhor haiN ki rassiyaaN
Gale main mustaqil rahaiN


MohabbatoN ki vus’AtaiN
Hamare dst-o-pa meiN haiN
Bas aik dar se nisbateiN
Sagaan-e-bawafa meiN haiN


MaiN koi painting nahiN
Ki aik frame meiN rahooN
Wahi jo man ka meet ho
Usi ke praim meiN rahooN


Tumhari soch jo bhi ho
MaiN is mizaaj ki nahiN
Mujhe wafa se bair hai
Ye baat aaj ki nahiN”


Na us ko mujh pe maan tha
Na mujh ko us pe za’Am hi
Jo ‘ahad hi koi na hoi
To kya gham-e-shakistagi


So apna apna raasta
Hansi Khushi badal diya
Woh apni raah chal paDi
Main apni raah chal diya


Bhali si aik shakl thi
Bhali si us ki doosti
Ab us ki yaad raat din
Nahin, magar “kabhi kabhi”
 
Top