Haqeeqat ka safar

  • Work-from-home

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
35
Khuwab-o-khayal ka haqeeqat ki taraf jata raasta
bara he taveel-o-qathan hota he,
phir sub khuwabon ki tabeer
kub kissie ne paai he,
magar yeh bhi sach he k
khuwab
jinki haqeeqat paana
mushqil yan
na mumkin ho phir woh khuwab
kuch bhi ho
sony nahi deitey
kissie aur khayal mein
khony nahi deitey
Ghum-e-zindagi aur halat-e-douran par bhi
dil khol kar rony nahi deitey
faqat bhatqaye phirty hen
darbadar be-aas
kabhi yun bhi hota he k
khuwab hasrat ban kar
dil par ek aabla sa ban jaaty hein
aur aissie hasrat jo dil par nishan ban jaye
sukh se marny bhi nahi deiti
aur aankhon ko
kuch aur dikhai bhi nahi deita
rooh ko aur kuch aur
sujhai nahi deta
manzil nahi milti
raasta nahi theharta
aas khatam nahi hoti
khuwahish ka dia
dil-e-nadaan bughny nahi deita
na kahen aur lagta hai
na he behalta hai
bas qatra qatra
rista hai,
aur aisey k ek qayamat
bapa kardeita hai
hashar ka lag jata he maida'an
aur karballa khari kardeita hai
na aankhon se fura'at theharti hai
na armaa'an ka matam khatam
hota hai
aur khuwahishon ka juloos
phir siyaah libassi mein
sehra sehra bhattakta hai
aur sehra jo bohat
garam aur tapta huwa hota hai
phir hasrat ki aahon se
khoob dehak uthta hai . . . . . . . . .

haqeeqat ka safar to aisa he hota hai . . . . . . . .

by junaid nawaz
different_person
Copyright
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
boht khoob..
khas'kar is ka anwan boht hi acha tha....
boht ache alfaz lekin kahen kahen muje lga fikron me wazn barqarar nhi rha ..
boht hi umdah kawish or jo kuch b ap ne likha sach hai..
 
  • Like
Reactions: <different_person>
Top