Kabhi aansu kabhi hansi bechi,hum ghareebon ne bekasi bechi
Har saans khareedne k liye roz thori si zindagi bechi
Aik survey k mutabiq Pakistan may is waqt 10 million se ziada bachey Child labour par majbur hain.
Government policies aur NGOs ki bharti hui tadad k bawajud bhi din badin child labour may izafa ho rha hay!
Awareness aur NGos ki chamak jaise jaise bhar rhi hay ghareeb bachon k chehron se masumiyat utni hi kam kio ho rhi hay?
Iski bohat si wajuhaat hain ,sab par hum baat nhi kartey,,kio k
Baat jab nikleygi to bohat door tak jayegi!
Aaiye nazdeek ki baat krte hain,,kio na is survey ka apne gharon se aaghaz kiya jaaye?
Aaj kitne hi ghar hain jahan rozmara ki mulazmat k liye chotey bache rakhey jaate hain jo ussi ghar k malkeen k bachon k hum umar hote hain..
Wo dekhiye chaar chote chote bache Gaari ki taraf bhar rhe hain 3 bache gaari may baith gaye magar aik bacha 3 school bags gaari may rakh kar wapis palat gya aankhon may hasrat,mayusi aur kuch nafrat liye!
Zara dekhiye to baahir ki janib kon aa rha hay,,arre ye to is ghar ki malikan hain Mrs. Hamdani aap inhe nhi jaantey? ye wohi social worker hain jo aik NGO ki bohat sargram Rukan(active member) hain,jis NGO ka slogan hay
"BOyCott Child Labour"
din bhar mukhtalif press conferences may masum bachon k haq may bohat shaystagi aur muhabbat se aawaz buland karti Mrs' hamdani khud in bachon se kis andazz may mukhtaib hain mulahiza farmaiye!
arre chote larkey yahan kharrey kia akr rhe ho chalo ghaas ki ktayi karo phir andar ja kar sahab k shoes polish karo muft khorey jama huye hain sab k sab!
aur to aur ye so called muhazab khawateen apni frustration aur depression b inhi bachon par nikalti hain aur in masoom sehmey huye bachon ko zehni k saath jismani aziyat daine se b guraiz nhi karti....
Aisey may in bachon ki nafsiyat aur shakhsiyat kis qadar aziyat se do chaar hote hain kia hum andaza lga saktey hain?
Is there anything worse than child labour?
zra is se aagey bharte hain,schools k bahir,traffic signals par gaarion k sheeshey saaf karte aur haath phaila kar bheek maangte huye in bachon ko jab logon ki dhutkaar, apni hi umar k dusre bachon ki haqarat bharri nazrain aur galiyan sunne ko milti hain to inki har lamha bigari hui nafsiyaat, murda hotey jazbaat burayi ki taraf bharta pehla qadam aur phir buraiyon ki daldal may dhansta hua wajud kis qadar takleef may mubtla karta hoga,,kia hum soch sakte hain?
Is there really anything worse than child labour?
kia hmari zimedaari in ghareeb bachon ki janib 5 Rupey ka aik sikka uchaal akr khtam ho jaati hay?
Barri khushi ka ehsas hota hay na jab aise kisi bache ko 5 rupey ka sikka diya jaaye aur us k ghurbat zada murjhaye huye chehrey par khushi aur aankhon may chamak aati hay to?
kia ye waqe hi khush hone ki baat hay?
ye lamhaat hmare jism-o-jaan ko jhinjhor daine wala bohat barra saneha hain na k khush hone ka moqa!
5 rupey de kar hum ne uski madad nhi ki balkey usse apna aur apne jaise dusre logon ka mohtaaj kiya hay
wo bacha mustaqbil may aik doctor,engineer ya muashrey ka muhazab shehri banne ka nhi soch rha balkey aik professional bhikari banne k khawab daikh rha hay jo saari umar logon k aagey haath phailaye ga aur ye silsila nasal dar nasal chalta rahega!
in bachon ko aik muhazzab aur zimedaar aur taleem yafta shehri bnanae k naam par jo itne funds jama kiye jaate hain wo kis khazaney may jama ho rhe hain?
inki madad k liye jo hmari haqeeqi zimdari hay wo kahan dafan ho rhi hay?
ye wo lamhata-e-fikrya hain jinhe hum musalsal nazar andaz karte jaate hain,kio k hamain to apne bachon k behtar mustaqbil aur unki enjoyment kliye mansooba bandi karni hay,hum aaj k insan hain issi muashrey ka hissa hain,,ye sab zimedariyan to hakumat aur NGOs ki hain jab wo kuch nhi kar paa rahey to hum bhla kia kar sakte hain?
ye hain hum aur hmari murda sochain! Zara apna jayza lijye!
Thank God Subha k akhbar k liye article mukammal hua uff bohat thakkan ho gai bachey b kaafi dino se bore ho rhe hain,,chalo bachon aaj outing k liye chalte hain!
arre chotey larkey tum kharrey moun kai daikh rahey ho jaldi se saman utha kar gaari may rakho!..
Gaari k peeche likha hay "Boycott Child Labour"
"Is there anything Worse than WE"?
Last edited: