Jis ka Hukm Hey ( جس کا حکم ہے )

  • Work-from-home

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
اسّلام و علیکم
کوئی مانے یا نہ مانے لیکن اس حقیقیت سے انکار ممکن نہیں کے یہ
ایک تلخ سچائی ہے کے ہم با حثیت قوم ایسے ہی ہیں کے بجایے اس
کے کہ ہم الله کے حضور اپنی خطاؤں کی توبھ کریں ہم اس کی
دلیل دیتے ہیں اور اسی کو کہتے ہیں کے عذر گناہ بدتر از گناہ ہوتا ہے
جس کا حکم ہے
احمق مسافر،اندھا طالب علم
آج کا دن کچھ عجیب سا ہے یا پھر یوں کہیں تو زیادھ مناسب ہوگا کے موڈ کچھ عجیب سا ہے ,ایک افسردگی سی طاری ہے ,ایسا نہیں ہے کے میں آج یہاں پہلی بار آیا ہوں میں یہاں کئی بار آچکا ہوں کبھی کسی اپنے کو کندھا دیتے ہوے تو کبھی کسی جاننے والے کے لئے کلمہ شہادت پڑھتے ہوے مگر یہ ایک حقیقیت ہے کہ آج سے پہلے کبھی میں نے یہ نہیں سوچا تھا کے خود مجھے بھی تو ایک دن یہاں آنا ہے ایسے ہی لوگوں نے میرے جسد خاکی کو اٹھایا ہوا ہوگا پھر مجھے قبر میں اتار دیا جائے گا اور پھر اوپر سے وزنی سلیبس رکھہ دیے جائیں ,میں وہاں اکیلا رہ جاؤں گا اور پھر …………..پھر کیا ہوگا ? پھر وہ ہوگا جس کےبارے میں میں جانتا تو ہوں , جس کا میں زبان سے اقرار بھی کرتا ہوں جس کے بارے میں بات کرتے ہوے میں فصاحت اور بلاغت کے دریا بہا دیتا ہوں مگر ………….مگر دل سے ایمان نہیں لاتا , میں نے شاید آج پہلی بار پوری ایمانداری سے اپنی ذات کا تجزیہ کیا ہےاور ….. اور مجھے خود سے گھن آرہی ہے میں تو دنیا کی غلاظت میں لتھڑا ہوا ایک غلیظ ترین انسان ہوں جو ہر غلط کام کی کوئی نہ کوئی دلیل ڈھونڈ لیتا ہے نہ جانے آج تک میں کسےدھوکہ دیتا آیا ہوں آج یہ احساس ہو رہا ہے کے میں تو اس احمق مسافر کی طرح ہوں جس کا سفر اس کے سر پر ہے مگر وہ زادہ راه کی تیاری کی بجایے طویل آرام کرنے کی سوچ رہا ہے ,آج یہ احساس ہوا کے میری حیثیت تو اس اندھے طالب علم کی سی ہے جسے یہ بھی بتا دیا جائے کے پیپر میں کیا کیا سوال پوچھے جائیں گے اور ان کے جوابات بھی بتا دیے جائیں مگر وہ ان کی تیاری کرنے کی بجایے کسی اور ہی تیاری میں مشغول رہے اور آج خیال آیا ہے تو شاید کافی وقت بیت چکا ہے میں کیا کروں ?.............یہ سوال مستقل میرے دماغ میں گردش کر رہا ہے وقت کا بھی پتا نہیں کون جانے کب وسل ہو اور گاڑیروانہ ہو جائے کب ممتحن پیپر کے اختتام کا اعلان کردے میرا دل درد سے پھٹا جا رہا ہے اپنی غفلت اور گناہوں کا احساس میری رگ رگ میں سرایت کررہا ہے میری آنکھوں سے آنسو بہنے لگے ہیں ان میں کوئی ریا کاری نہیں شاید یہ اس امید پہ اس رب کائنات کے حضور بہہرہے ہیں کے شاید ابھی مجھ عاصی کے لئے توبہ کا دروازہ بند نہ ہوا ہو اور میں اس یقین کے ساتھ اس مالک کے حضور سجدہ ریز ہونے کی سوچ رہا ہوں کے وہ تو ایک ماں کے مقابلے میں اپنے بندے سے ٧٠ درجے زیادھ محبت کرتا ہے مجھے کیوں معاف نہ کرے گا مگر اس وعدے کے ساتھہ کہ آئندہ ہمیشہ وہی کرنے کی پوری کوشش کروں گا کہ جس کا حکم ہے .
Assalam-o-Alaikum
Koi maney ya na maney laikin is haqiqet se inkar mumkin nahi k yeek talkh sachai hey k hum min hasul qaum aisey hi hai'n k bajaye isk keh hum Allah k hazoor apni khataoo'n ki tobha krai'n hum us kidalil daitey hai'n aur kehtey hai'n k uzr-e-gunha bedter as gunha hota hey
Jis ka Hukm Hey
Aehmaq Musafir, Andha Talib-e-Ilm


Aaj ka din kuch ajeeb sa hey, ya phir yoo’n kahai’n tu zyadha munasib hoga k mood kuch ajeeb sa hey,ek afsurdagi si tari hey,aisa nahi hey k main aaj yaha’n pehli bar aaya hoo’n main yaha’n kai bar aa chukka hoo’n kabhi kisi apney ko kandha daitey huwey tu kabhi kisi janey waley k liye kalma-e-shahadet perhtey huwey mager ye ek haqiqet hey k aaj sey pehley kabhi main ney ye nahi socha tha k khud mujhey bhi tu ek din yaha’n aana hey aisey hi logoo’n ney mairey jasd-e-khaki ko uthya huwa hoga phir mujhey qaber main utar diya jaye ga aur phir upper sey wazni slabs rakh diya jai’nge,main waha’n akaila reh jaoo’n ga aur phir…………..phir kia hoga? Phir wo hoga jis k barey main main janta tu hoo’n, jis ka main zuba’n sey iqrar bhi kerta hoo’n jis k barey main baat kertey huwey main fasahet aur balaghet k derya baha daita hoo’n mager………….mager dil sey iman nahi lata, main ney shayed aaj pehli bar puri imandari sey apni zat ka tajziya kia hey aur….. aur mujhey khud sey ghin aarahi hey main tu dunya ki ghilazet main lithra huwa ek ghaliz tareen insane hoo’n jo her ghalet kaam ki koi na koi dalil dhond laita hey na janey aaj tek main kisey dhoka daita aaya hoo’n aaj ye aehsas ho raha hey k main tu us aehmaq musafir ki terha hoo’n jis ka safer us k sir pe hey mager wo zad-e-rah ki taiyari ki bajaye taveel aaram kerney ki soch raha hey,aaj ye aehsas huwa k mairi haisiyet tu us andhey talib-e-ilm ki si hey jisey ye bhi bata diya jaye k paper main kia kia sawal pochey jai’n ge aur un k jawabat bhi bata diye jai’n mager wo un ki taiyari kerney ki bajaye kisi aur hi taiyari main mashghol rahey aur aaj khayal aaya hey tu shyed kafi waqt beet chukka hey main kia karoo’n?.............ye sawal mustaqil mairey dimagh main gardish ker raha hey waqt ka bhi pata nahi kon janey kab whistle ho aur gari rawana ho jaye kab mumtahin paper k ikhtitam ka elan kerdey maira dil dard se phata ja raha hey apni ghaflet aur gunahoo’n ka ahsas mairi reg reg main saraiyet ker raha hey mairi aankhoon sey aansoo behney lagey hain in main koi ria kari nahi shayed ye is umeed pe us Rab-e-kainat k hazoor beh rahey hain k shayed abhi mujh aasi k liye tuba ka derwaza band na huwa ho aur main is yaqee’n k sath us malik k hazoor sajdha raiz honey ki soch raha hoo’n k wo tu ek Maa k muqabley main apney bandey se 70 derjey zyadha muhabbet kerta hey mujhey kyoo’n maaf na kerey ga mager is wadey k sath k aaindh hamisha wohi kerney ki puri koshish karoo’n ga k jis ka hukm hey.
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
mashaAllah.... bohat acha likha hai...

asal baat hai samajh ki... jante bhee aur mante hum sub kuch haen....., laikin dil se tasleem naheen karte,
zaroorat issi baat ki hai keh hum nah sirf uss ko tasleem karen balkeh dil-o-jan se amal bhee karen

do pray Allah amal karne ki taufeeq ataa farmaye, amen

well done sohail for sharing such a nice and inspirational article...

keep sharing
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Masha'ALLAH bohot khoob Sohail bhai, mujhe ye article parhte parhte aankh se paani aagaya.

Beshak hum is faani zindagi ki haqeeqat ko pehchaante hai lekin bhi hum hamare aqirat ke liye kuch nahi karte, har baat hamare saamne saaf saaf hai phir bhi hum isse mukar jaate hai aur kal ke liye socha karte hai..

ALLAH RAB Ul IZZAT se ye dua hai ke tamaam momin bhai behnon ko deen ki sahi samaj ataa farmae aur haum sab ke andar Imaan ki pkhtagi ataa farmae Ameen

ALLAH TAALA Jazae Khair de aapko Ameen.
 
  • Like
Reactions: Syed Sohail Akhter

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
mashaAllah.... bohat acha likha hai...

asal baat hai samajh ki... jante bhee aur mante hum sub kuch haen....., laikin dil se tasleem naheen karte,
zaroorat issi baat ki hai keh hum nah sirf uss ko tasleem karen balkeh dil-o-jan se amal bhee karen

do pray Allah amal karne ki taufeeq ataa farmaye, amen

well done sohail for sharing such a nice and inspirational article...

keep sharing
Sach, ek ek lafz sach per mabni hey yourks tumharey comments ka
tumhari duaoo'n key liye Ameen
hamaisha khush raho
Ameen
 

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Masha'ALLAH bohot khoob Sohail bhai, mujhe ye article parhte parhte aankh se paani aagaya.

Beshak hum is faani zindagi ki haqeeqat ko pehchaante hai lekin bhi hum hamare aqirat ke liye kuch nahi karte, har baat hamare saamne saaf saaf hai phir bhi hum isse mukar jaate hai aur kal ke liye socha karte hai..

ALLAH RAB Ul IZZAT se ye dua hai ke tamaam momin bhai behnon ko deen ki sahi samaj ataa farmae aur haum sab ke andar Imaan ki pkhtagi ataa farmae Ameen

ALLAH TAALA Jazae Khair de aapko Ameen.
Mairi tehreer ko serhaney key liye buhat shukria Wasif
buhat khushi hui tumharey comments perh ker
tumhari duaoo'n aur naik tamanaoo'n
key liye buhat shukria
hamaisha khush raho
Ameen
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
MASHAALLAH ,,hamesha ki tara bohat khoobsurat tehreer ,,khoobsurat tajzya khoobsurat alfaz,zabardast topic,apni laparwahi ki taraf tawajja dilawane waali soch!
Keep it up:-bd
 
Top