Jub Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
jub tera dard mere saath wafa karta hai..
ek samandar meri ankhon se baha karta hai..
us ki batain mujhe khushbo ki tarha lagti hain..
phool jese koi sehra main khila lagta hai....
mere dost ki pehchan yehi kafi hai..
wo hr ek shakhs ko danesta khafa karta hai...
aur to koi sabab uski mohabbat ka nahi..
baat itni hai k wo mujh say jafa karta hai...
jab khizaan aaein to lot aey ga FARAZ..
wo baharon main zara kum hi mila karta hai...

__________________
 
  • Like
Reactions: whiteros
Top