KAbhi ruk gaye
kabhi chal diye
kabhi chalty chalty bhatak gaye.!
Yunhi umer saari guzaar di
yunhi zindagi k sitam sahey.!
KAbhi neend men
kabhi hosh men
tu jahan mila,
tujhy dekh kar.!
Na nazar mili na zuban hili
yunhi sar jhuka k guzar gaye.!
KAbhi zulf par
kabhi chashm par
kabhi tery haseen wajood par.!
Jo pasand thy meri kitab men
wo shair saary bikhar gaye.!
Mujhy yad hy kabhi aik thy
magar aaj hum hen juda juda.!
Wo juda huye to sanwar gaye,
hum juda huye to bikhar gaye.!
KAbhi arsh par kabhi farsh par
kabhi un k dar, kabhi darbadar.!
Gham_e_aashiqi tera shukriya
hum kahan, kahan sy guzar gaye.!
kabhi chal diye
kabhi chalty chalty bhatak gaye.!
Yunhi umer saari guzaar di
yunhi zindagi k sitam sahey.!
KAbhi neend men
kabhi hosh men
tu jahan mila,
tujhy dekh kar.!
Na nazar mili na zuban hili
yunhi sar jhuka k guzar gaye.!
KAbhi zulf par
kabhi chashm par
kabhi tery haseen wajood par.!
Jo pasand thy meri kitab men
wo shair saary bikhar gaye.!
Mujhy yad hy kabhi aik thy
magar aaj hum hen juda juda.!
Wo juda huye to sanwar gaye,
hum juda huye to bikhar gaye.!
KAbhi arsh par kabhi farsh par
kabhi un k dar, kabhi darbadar.!
Gham_e_aashiqi tera shukriya
hum kahan, kahan sy guzar gaye.!