khuda wo waqt na laye ...

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
khuda wo waqt na laye ...
khuda wo waqt na laye k sogawar ho to
sakoon ki neend tujhay b haraam ho jaye
tairi musarratain peham tamaam ho jaye
tairi hayaat tujhay talakh jaam ho jaye
ghumoo se aaina dil gadaaz ho tera
hajoom e yass se baytab ho k reh jaye
waforay dard se simab ho k reh jaye
tara shabab fakat khuwab ho k reh jaye
gharoor husan sarapa niaz ho tera
taweel raaton main to bhi qarar ko tarsay
teri nigah kissi ghum gissar ko tarsay
khizan raseedan tamanna bahar ko tarsay
koi jabeen na teray sangay astaan pay jhukay
k jin se aajzoo akeedat se tujh ko shaad karay
faraib-e-wada-e-farda pay aitmaad karay
khuda woh waqat na laye k tujh ko yaad aaye
woh dil k teray liye beqarar ab bhi hay
woh ankh jisko tera intazar ab bhi hay
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top