Lesson 7: Navigator Palette and Hand Tool

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

[SHADOW=1]
[SUB]Navigator Palette and Hand Tool[/SUB]

[/SHADOW]





Navigator Palette aapke image ko navigate kerta hain, means Image zoom in and Zoom out kerti hain, us mei de gaye Zoom Slider ko right and left scroll ker k, jho k left k taraf scroll kerne se image zoon out hujayegi and right side k taraf scroll kerne se Zoom In,
ager aapke paas already open hain tu theek, baki nahin tu
Window Menu mei jaker "Navigator" ko mark kare,
1.Navigator.png

and then uska panel show hoga and panel mei ek Tumbnail hugi red Outline k saath jess mei aapke open hue image show hugi
2.Navigator.png
and Image zoom in and zoom out resolution bhi.

3.Navigator.png

and haa Navigator mei image dekhne k lie aapke paas already open Image huna chahye photoshop mei, baki koi image show nahin hugi.

and image mei dekhe hue,
red outline aap change bhi kersakte hain Navigator k paas Palette options hain,
4.Navigator.png
us mei click ker k ek box hugi jess mei baki color hain and us mei koi bhi color select kersakte hain. then aapka yeh red outline baki color mei change hujayegi.
5.Navigator.png
Palette Options k Uper ek dusra command hain
"Dock To Palette Well" es pe click kerne se aapka jho Navigator hain voh Option bar k list mei add hugi.
6.Navigator.png

7.Navigator.png

Navigator mei aapka image minimum
0.% se bhi minimize huti hain and maximum Zoom in point 1600% hain means image ko kafi zyada zoom in and zoom out Limits de gaye hain es panel mei and Image ka jho exact pecentage 100% hain voh aapko image open kerte wakt Zoom Slider k center mei dekegi so Hmaisha Yaad rake k ek image ka exact and full display size 100% hain. and aap chahe tu image ko Zoom Slider k zerye increase and decrease bhi kersakte hain,
2nd chahe tu unke paas zoom in and zoom out buttons k zery bhi.



Hand Tool:
Hand Tool.png
yeh ek aur button hain
Tool Box mei jeske wajah se aap baray size k image ko up and down, Left and Right move kersakte hain es pe click kerne se he aap aapne zoom in image ko side bhi side move kersakte hain.
ya tu yeh aap tool Box mei de gaye hue button pe click ker k esay activate kersakte hain ya Pir simply Shortcut Key
Spacebar ko press ker k image ko pan around kersakte hain.so yeh tha Hand tool and Navigator Palette ka work.



[SHADOW=1]Jho bhi Lesson aap study kerte ho,
dont forget k usay photoshop mei
ek baarTry zaroor kare.
Else serf read kerne se aap kabhi bhi
theek se samaj nahin payenge k
what is the Lesson about??
[/SHADOW]
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
very much informative stuff....

well done achhe tareeqe se samajh agayaa hai....

thanks for sharing with us...
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum :)
bahot wazeh andaz me aapne samjhaya k alahamdulillah har baat acche se samajh aagayi.
aur aapka shukriya k aapne har choti se choti baat ko yahan mention kiya.jazakAllah khair.
laikin ek sawal mera ye hai k jab maine dtpw select karne k baad jo options aarahe hain main kis tarha firse first position me aasakta hon?
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Assalam o alaikum :)
bahot wazeh andaz me aapne samjhaya k alahamdulillah har baat acche se samajh aagayi.
aur aapka shukriya k aapne har choti se choti baat ko yahan mention kiya.jazakAllah khair.
laikin ek sawal mera ye hai k jab maine dtpw select karne k baad jo options aarahe hain main kis tarha firse first position me aasakta hon?
Hmmm thats Good
sorry aap apna question pir se likhe kuch samajh nahin aya, dtpw stands for what?
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
"Dock To Palette Well" es pe click kerne se aapka jho Navigator hain voh Option bar k list mei add hugi.

to wapis apni jga pr kaisy aye ga?
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Wapis aane ke lea window option se tick mark hata do aur navigator pe click kero to fir se palettes shape me aa jaye ga....:-bd
 
  • Like
Reactions: *khushi*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Me ne kaha hai oper jo menu bar me window likha hai us pe click kero aur fourth number pe jo option likha hai us ke samne se tick hata do aur navigator ka option jo neeche aa raha hai us pe click kero to navigator plattes ki shape me aa jae ga....

And second way windows=>workspace=>reset plattes location pe click kero to sari palettes wapis aphi jagah pe aa jaen gi....
 
  • Like
Reactions: *khushi*
Top