mere zeist main wo raha nahen

  • Work-from-home

tanhaae

Newbie
May 27, 2010
4
4
0
salam dostoon k sy hain aap sub..??
kuch likhny ke jasarat ke the soocha aap sub k saath share karoo..
aap ke qemti ara ka intezaar rahy ga ..
khush rahy ga..

mere zeist main wo raha nahen
main bhe zindagi sy khafa nahen

main ny dil ko apny mana liya
magar tujh sy kuch bhe kaha nahen

jo likha tha dil py khulos sy
tera naam mujh sy mita nahen

tujhy dil main jub sy basa liya
koi phir nazar main basa nahen

tere zindagi main kahen hoon main
mujhy mil k tujh sy laga nahen

kiyoun bujhi bujhi c nigah main
tere yaad ka koi de;ya nahen

usy ab bhula k mily ga kiya
tere zaat sy jo juda nahen

main yeh samjhe k ,by wafa tha woh
par by wafa to wo tha nahen

tu tha zindagi sy azeez tar
magar ismain teree khata nahen

usy GOHAR ab tu bhula he dy
jo kabhe bhe tujh sy mila nahen
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
WSSALAM
mashALLAH..
AALA
BOHT KHOOB ..
BOHT UMDAH LIKHA AP NE..
 
Top