Mumkin nahin

  • Work-from-home

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir
Mumkin naheen ke bhool kay bhi aarameedah hoon
Mein dasht-e-gham mayn aahoo-e- sayyad deedah hoon


Hoon dardmand jabr ho yaa ikhtiar ho
Gaah naala-e-kasheedah, gaah ashk-e-chakeedah hoon


Neiy subbha sey alaaqa nah saagar sey waastah
Mein ma’arz-e-masaal meyn dast-e-bareeda hoon


Hoon khaksaar par nah kissi sey haiy mujh ko laag
Neiy daana-e-fatadh hoon neiy daam-e-cheedah hoon


Jo chaahiye, naheen woh meri qadr-o-manzalt
Mein Yusuf-e-beqeemat-e-awwal khareedah hoon


Har gizz kissi kay dil meyn naheen haiy meri jagah
Hoon mein kalam-e-naghz walay na shuneedah hoon


Hoon garmi-e-nishat-e-tasawwar sey naghmah sanj
Mein andleeb-e-gulshan-e-na aafreedah hoon


Ahl-e-wara’a kay halqay meyn har channd hoon zaleel
Parr aasiyoon kay zumray meyn, mein bargazeedah hoon


Paani sey sagg-gazeedah daray jiss tareh Asad
Darta hoon aeenay sey keh mardam-gazeedah hoon
 
Top