Noshi gilani......

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
muhabtain jab sumaar karna to saazishain bhi shumaar karna
jo maire hissey may aayain wo azziatain bhi shumaar karna

jalaye rakhungi main subha tak taire rastey may apni anakhain
magar kahi zabt toot jaey to barishain bhi shumaar karna

jo harf loh_e_wafa par likhey huey hain unko bhi daikh laina
jo raygaan ho gai wo saari ibartain bhi shumaar karna

ye sardion ka udaas mousam k dharkanain barf ho gai hain
jab inki yakh bastagi parakhna tamaztain bhi shumaar karna

tum apni majboorion k qissey zaroor likhna wazahton se
jo meri aankhon may jal bujhi hain wo khawahishain bhi shumaar karna
 
Top