Aj Shokh ki post parhi dead sea tu poseidon yaad aa gai ... poseidon aik dost theen humari ... naam tu kuch aur tha per un pe ye naam hi jachta tha .... samander sey junoon ki tarha ishq tha ya shaid unhain junoniyat sey hi ishq tha ...
samander dekh k pagal ho jateen.. sudh budh ganwa deteen aur dorti paani main pathak sey ja beth-tee.n ... kai baar logoon sey zaleel bhi hotee.n per majal hai k joo.n rengti ... kehtee.n k chandni raat ko lehroo.n pe chaloon gi ... samander mujhe awaz deta hai ... kai baar samjhaya k bb yoon ishq nahi acha wo bhi samander sey ... mohabbat ka bara harjana leta hai ye ... per aik na maaneen
aik din sepiyoon ki talash main kekrey k bil main ja phanseen ... bari aawazain dee.n minattain keen k palat ao per nahi .... jab junoon utra tu wapsi k safar ka eyada kiya ... dareeda roh k saath humarey samney aan khari hoeen, humain yoon laga jaise sara manzar dhundhla gaya hai ...agey barheen aur humarey saath lag gaeen .... ahista sey nazar uthaai aur dehrey sey boleen ... suno! samander mohabbat ka khiraj ley k azaab kyu deta hai ?