Preface / Debacha

  • Work-from-home

LKK

TM Star
Oct 24, 2010
1,395
737
1,013
KOB
AoA,

Cell phone choose karnay ka maqsad yeh nahi hy kr chalty phirtay issay istamal kiya jay balky yeh app ki shakhsiyat ko reflect karta hy or aik nahayat mufeed sheh app k liye saabit ho sakti hy. Jab cell phone market mein aya to us ka sirf aik hi maqsad tha ke call ki jay or receive ki jay. Magar aaj kaal ke dour main aik cell phone high speed internet connection, digital camera, multimedia games, music etc., buhat kuch rakhta hy. Darja-ba-darja mobile cell phones mein tabdeeli ati gai or aaj yeh aik full communication device ban giya hy to aik waqt mein kai kaam sar anjaam de sakta hy.

Sb se pehlay phone Kharedny ke liyeh app ko chahiyeh ke aap cell phone ke barain mein tassali kr lein ke is mein woh tamam saholiyat muyasar hain jin ki app ko zaroorat hy? Dekhain ke yeh kitnay hours tk charge rehta hy or iski screen or keypads ziyada barain yah buhat chotain to nahi? puray cell phone ko dekhain ke yeh is ka size app ko pasand hy k nahi?

Yeh sb depends karta hain ke app kiya hain or kiya kartain hain, or inhi 2 sawal ke jawab se app sahi cell phone ka selection kr saktain hain. Agar aap ko sirf call karna or receive karna hy to apny paiso ki bachat kary of aik simple, decent sa cell phone khard lain.

Agar app businessman hain to app high quality, impressive features wala cell phone lein jis mein de gai new application app ke business work ke liyeh useful ho.

Agar app show off type person ya zara fashiony type ho to aap woh cell phone lain jis mein exciting features jaise digital camera, internet, music, playback, mutimedia games, color screens, video, bluetooth, etc. sb hoon.

Bunyadi tor pr cell phone ka kharedna app ke istamaal or zarorat ke mutabik hota hy. Sirf aik baat ka khiyal rakhain ke jo bhi cell phone lain to woh app ke budget of or app ki demand ke mutabik ho.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo and Nelli
Top