jab paas aa hi gai ho itnay
to dil pe bhi haath rakh dena tha
qaabu kar lena tha jazbaton ko
aur armanon ko samajh lena tha
jab thehri nahi raat kisi ki aaghosh mein
to tumhen bhi baahen phaila ke khamooshi ko samait lena tha
badalne dena tha mausam ki nazakat ko
aur waqt ki raftaar ko rok lena tha
qaabu kar lena tha jazbaton ko
aur armanon ko samajh lena tha