Sharmsar

  • Work-from-home

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Assalam-o-Alaikum
Ek aisi tehreer jis mai'n shayed kisi na kisi jagha
hum khud apni aks daikh sakai'n
Sharmsar
Kabhi aisa bhi hota hey k koi baat jo bazahir hamai’n us waqt bari mehsoos nahi’n hoti aisi dil-o-dimagh se chupak si jati hey k lakh us se dimagh ko hatana chahai’n zehen se nikalti hi nahi’n aur ek bari yad ban jati hey, aisi yad k jiska pachhtawa jub us ki yad aati hey tu wo rooh ko ghail or zameer ko sherminda ker daiti hey,apni aisi hi ek talkh yad mai’n mai’n aap ko shreek ker raha hoon main apney gher se khuch zarori kharidari kerney k liye nikla tha us waqt main National Stadium k samney waqiey brey brey stores k samney tha wo ek traf footpath pe khri thi
jub us ney mujhey pukara
“aap mairi baat sunain ge''
main us ki janib mutawajhey huwa
wo kehney lagi mujhey apne bachey k liye dawa kharidni hey kia aap mujhey 200 rupey de saktey hai’n wo bazahir mangne wali mehsoos na hoti thi kaprey bhi saf suthrey pehney hui thi, ek lamhey ko mujhey us sey humderdi mehsoos hui mager phir dosrey hi lamhey main un logoon ki saf main khra ho chukka tha jo apney oper hazaroo’n rupey kharch ker saktey hai’n ek ek waqt k khaney per hazaroo’n rupey kherch ker saktey hai’n jo jub kharidari k liye nikaltey hai’n tu behtreen se kam kisi cheez pe nigha hi nahi’n thairti jinhai’n ye maloom nahi’n hota k unkey wardrop mai’n kitney kaprey hai’n phir bhi her naye ocassion k liye ek naya dress chahiye hota hey mager chaend soo rupey se kisi ki maded nahi ker saktey jinhai’n her maded k liye pukarney wala faqeer aur paishawer bhikari hi nazer aata hey jo mehnga tareen jota pair mai’n pehntey hai’n aur kisi nangey pair phirney waley k pair mai’n chubhney waley kenker ki takhlief mehsoos nahi’n kersaktey, jinhai’n kisi ki bhook se koi serokar nahi’n hota aur jo apni dunyavi kamyabiyoo’n k nashey mai’n choor her ghareeb ko hiqaret ki nigha se daikhtey hai’n jo kisi ki maded bhi kertey hai’n tu kisi photo session k bina nahi’n kertey aur us ki tash’heer ki zaroret mehsoos kertey hai’n
kyoo’n k hum ye samajhtey hain k jo hum ne kamaya us pe sirf hamara haq hey mager ye ek haqiqet hey k aakhiret main buhat se log sirf is sawal pe pakrey jai’n gey k halal kamai kahan kharch ki,tu mai’n bhi tu isi muashrey ka ek his’sa hi hoo’n tu mai’n us aurat ko muaf kro keh k aagey brh gaya main ne ek lamhey k liye bhi ye na socha k wo waqi zaroret mand ho sakti hey aur kia maloom waqi uska bacha bimaar ho aur ager aisa hey tu us ne maded k liye hath phailatey huwey kaisey apni zakhmi rooh ko kuchala hoga kis terha apni ana k ser pey pair rakh ker maded k liye pukara hoga wo nahi’n chahti hogi laikin apney derd se treptey bachey ki khatir us ney apni izzat-e-nafs ko kuchla hoga hath phelaya hoga apne bachey ki muhabbet main k us ney bhi na janey kitney sapney apney bachey k hawaley se apni aankhoo’n mai’n saja rakhey hoo’n gey
mager ye sub bati’n aaj k is nafsa nafsi k dour mai’n be mani hai’n hamari nigha itni kamzor ho chuki hey k apni zaat k hisar se bahir kuch nazer hi nahi’n aata, aur phir thori dair k baad jub main medical store se kuch medicine khreed raha tha main ne usey wahan daikha wo store waley se keh rahi thi k doctor ne jo dawa likhi hey us ki qimet 215 rupey hey or mairey pas sirf 15 rupey hain is main drd ki jo bhi goli aaye wo dey do or store waley ne do tablets us k hath main rakhdin or main apni hi nazroon main gir gaya k main ne ek zaroret mend maa ko faqeerni samjha main ne aagey brh k usey paisey daina chhey mager us ne ye keh ker mana ker diya k wo faqeer nahi’n shayed wo us kamzor lamhey se nikal aai thi jis lamhey mai’n apney bachey ki muhabbet mai’n us ney hath phailaya tha phir wo na jane kis taraf chali gai
mai’n wahi’n ka wahi’n ser jhukaye khara reh gaya k Allah ne mujhey moqa diya mager mai’n na shukra nikla naiki na kama saka k Allah Ghafor-o-Raheem hamai’n bahaney bahaney se naikiyaa’n kamaney ka mouqa daita hey laikin ye hum na shukrey hotey hai’n jo us mouqey ko ganwa daitey hai’n aaj bhi mujhey is waqey ki yad aati hey tu Allah k hazoor jhuk jata hoon k main aaj bhi sharmsar hoo’n k waqt per ek maa ki mamta ki maded na ker saka aur koshish kerta hoo’n k kisi ki maded ka koi mouqa hath se na janey doo’n k na janey kis maa, bap ya bhai ney kis takhlief mai’n pukara ho, laikin aaj bhi jub us waqey ki yad aati hey tu main apni rooh ko zakhmi pata hoon,Allah hum sub per reham fermaye aur apni aman mai’n rakhey,Ameen .
 

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
mujh rona agya apki tehreer parh k.........
ak chez share krna chahu gi.... mere abbu ji hamesha kehty han k aksar mangne walo me se ak shakhs esa hota ha jo apne irdgird sb ko dekhta ha or phr apko apni madad krne k lye select krta ha..... apko kehta ha k uski madad kro q k usko ap me koi bat khas lagti ha jiski wajha se usko umeed hoti ha k itne logon me ap hi uski madad kr sakty ho........ or tb ap usko ya to raad kr dety ho ya phr uski madad kr dete ho to ap dekho ge k wo or kisi se nai mangy ga bs tezi se apki nazron se dur ho jae ga jese apne mangne pe pareshan ho............
to wo kehty thy ese logon ko kbhi inkar mat krna ye ALLAHJI tumhain bht bari naiki ka mokka de rahy hoty han....
ALLAHJi humin ahsas krne wala dil dain bs.
 

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
mujh rona agya apki tehreer parh k.........
ak chez share krna chahu gi.... mere abbu ji hamesha kehty han k aksar mangne walo me se ak shakhs esa hota ha jo apne irdgird sb ko dekhta ha or phr apko apni madad krne k lye select krta ha..... apko kehta ha k uski madad kro q k usko ap me koi bat khas lagti ha jiski wajha se usko umeed hoti ha k itne logon me ap hi uski madad kr sakty ho........ or tb ap usko ya to raad kr dety ho ya phr uski madad kr dete ho to ap dekho ge k wo or kisi se nai mangy ga bs tezi se apki nazron se dur ho jae ga jese apne mangne pe pareshan ho............
to wo kehty thy ese logon ko kbhi inkar mat krna ye ALLAHJI tumhain bht bari naiki ka mokka de rahy hoty han....
ALLAHJi humin ahsas krne wala dil dain bs.
Buhat shukria Bela apney walid ki ek aehem nasihyet share kerney key liye mai'n ney bhi ye likha hey keh Allah hamai'n mouqa daita hey mager hum ganwa daitey hai'n laikin aaj kal itney professionals aagaye hai'n keh Allah ki panha aur afsos is baat ka hota hey keh log unhai'n daitey bhi hai'n zaroret mandoo'n ko talash nahi'n kertey jo hath bhi nahi'n phailatey,Allah hamarey hal per reham fermaye aur tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
 

cute bhoot

Sss...sssh €|[--]00T
Super Star
Oct 11, 2010
11,997
3,415
1,313
33
wadi-e-jinnat
bhai ap ke bat bohat dil ko lagi ap ke baten bilkul baja hain par kuch hamary pakistan mai soortehal b aisi ho chuki hy k mangny waloo ma haq dar se zyada peesha war loog hain jin ke waja se aksar insaan confuse ho jata hy k kis ko dain kis ko na par kehty hian k jo tumhee haq dar lagy us ko b do jo na lagy us ko b doo allah tumhee dy ga allah pak ham sab ko dosroon ke madad karny ke toofeq ataa farmay Ameen
 
  • Like
Reactions: Syed Sohail Akhter

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
bhai ap ke bat bohat dil ko lagi ap ke baten bilkul baja hain par kuch hamary pakistan mai soortehal b aisi ho chuki hy k mangny waloo ma haq dar se zyada peesha war loog hain jin ke waja se aksar insaan confuse ho jata hy k kis ko dain kis ko na par kehty hian k jo tumhee haq dar lagy us ko b do jo na lagy us ko b doo allah tumhee dy ga allah pak ham sab ko dosroon ke madad karny ke toofeq ataa farmay Ameen
Buhat shukria CB mairi tehreer ko perhney, serhaney aur mairi hosla afzai kerney key liye
mai'n manta hoo'n keh aaj kal buhat se paishawer log mangney waloo'n mai'n shamil hogaye hai'n laikin is haqiqet se bhi inkar nahi'n kia ja sakta keh jo zaroretmend hotey hai'n wo amomen sawal nahi'n kertey koi kamzor lamha hi hota hey jub wo majboren aisa kerjai'n apney kisi pyarey ki khatir aoh signals per nahi'n miltey aur unhai'n dhondna perta hey woh serkoo'n per nahi'n miltey wo mehnet mazdori kertey hai'n laikin hum buhat zalim log hai'n mehnat ka mawza bhi tu pura nahi'n daitey kisi ney shayed hi kabhi ye janney ki koshish ki ho keh aaj key is mehngau key dour mai'n kitney sufaid posh silany key yaha'n se khana khaney per majbour hai'n abhi 12 rozey ko jub mairi wife ney ek khatoon ko khajoor ka ek box dia tu us ney bataya keh aaj wo aur uskey gher waley roza khajoor se kholai'n ge woh ek namazi aurat jo gher gher ja ker logoo'n key gher ki safai kerti hey mai'n tafseel mai'n nahi'n jana chahta taklief hoti hey na janey kitney derd hamarey itraf mai'n philey huwey hai'n, Ramzan ki rehmatai'n aur berkatai'n sirf hath utha ker dua mangney sey nahi'n aai'n gi hum mai'n se her ek ko apni istetaat key mutabiq Allah key bandoo'n ka ikram kerna hoga tub aai'n gi rematai'n aur berkatai'n,sada khush aur salamet raho,Ameen
 
  • Like
Reactions: cute bhoot

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
bhai aapki baatain bht bht achi lagi at the same time muje bht dukh bhi hua
jis tarah se aapne bayan kiya tha muje samaj hi nhi aarahi k kya likhun :)
 
  • Like
Reactions: Syed Sohail Akhter

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
buhat khoob abhiya buhat acha..
thx for shring:)
Buhat shukria Littleprincess
sada khush raho
Ameen[DOUBLEPOST=1344105167][/DOUBLEPOST]
bhai aapki baatain bht bht achi lagi at the same time muje bht dukh bhi hua
jis tarah se aapne bayan kiya tha muje samaj hi nhi aarahi k kya likhun :)
Buhat shukria mairi behen
laikin mairi samajh nahi'n aaya keh kia mairi
tehreer mai'n koi baat tumhari samajh mai'n nahi'n aai
hamaisha khush aur salamet raho,Ameen
 

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
Buhat shukria Littleprincess
sada khush raho
Ameen[DOUBLEPOST=1344105167][/DOUBLEPOST]

Buhat shukria mairi behen
laikin mairi samajh nahi'n aaya keh kia mairi
tehreer mai'n koi baat tumhari samajh mai'n nahi'n aai
hamaisha khush aur salamet raho,Ameen
nhi bhai tehreer mai sab kuch samaj aagayi thi
aur muje bhi bht pasand aayi i was out of words that's why i said that :)
 
  • Like
Reactions: Syed Sohail Akhter

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Hmmmm waqeiii me hum kya itne behiss aur ghair zimmedar hogaye hain k zarra barabar hume apni kotaahi ka ehsaas hota hai aur na humko koi pachtawa!!
bari hi dilsoz aur sabakamoz tahreer hai bhayi apki..haan humko ab to hosh me ajana chahiye k humara bhi hisaab honewala hai..aur jahan tak haqdaar,mustaheq aur peshawar hazraat ki bat hai to mei kahungi k jo haath humare taraf phailen hain ya hum jinko thaam sakte hain zarur kar guzarna chahiye bakhi ye faisla to Allah par chordo k kon haqdaar aur kon nahi...niyyaton ka jannewala Allah Hai..
 
  • Like
Reactions: -Sohail-

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Hmmmm waqeiii me hum kya itne behiss aur ghair zimmedar hogaye hain k zarra barabar hume apni kotaahi ka ehsaas hota hai aur na humko koi pachtawa!!
bari hi dilsoz aur sabakamoz tahreer hai bhayi apki..haan humko ab to hosh me ajana chahiye k humara bhi hisaab honewala hai..aur jahan tak haqdaar,mustaheq aur peshawar hazraat ki bat hai to mei kahungi k jo haath humare taraf phailen hain ya hum jinko thaam sakte hain zarur kar guzarna chahiye bakhi ye faisla to Allah par chordo k kon haqdaar aur kon nahi...niyyaton ka jannewala Allah Hai..
Buhat shukria Bahar mairi is tehreer ko pasand kerney aur serhaney key liye
aur mai'n tumharey comments key ek ek lafz sey muttafiq hoo'n
Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey
Ameen[DOUBLEPOST=1344259043][/DOUBLEPOST]
Ma kiya khao , bus itna he kaho ga Allah hamy is qabil bana day k kisi xaroort mand ki xaroort ku poora ker sakay aur kisi managnay wali ku khali na bhaijay
100 percent correct HM, yaqinen ye shuker ka muqam hey
keh us ney hamai'n is qabil banaya
sada khush aur salamet raho
Ameen
 
Top