Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile,

  • Work-from-home
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile,
Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile.

Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal,
Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile?

Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.

Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim!
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.

Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya,
Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile.

Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen,
Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile.

Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna,
Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile
 
Top