Us ney kaha

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
"Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gey...???
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera Eitbaar hai....!!!
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top