Khuwab Ye khawb kesa?

  • Work-from-home

ilmyar

Newbie
Mar 20, 2009
2
3
0
Wesy mujhe khawb zyada tar bhool jaty hein.
lekin ye khawb nahi bhoola:


Mein ek rasty mein khara hoo. ek buzurg jin ki darhi safeyd, roshan chehra, sar par black imama, or black chaddar thi ya black suite pehna hua tha, bohat hi dil ko bhany wali surat. shaklo surat se arab ya jese pathan old fashioned people hoty hein. boht decent look thi. rasty ko cross karty huy anho ne mujhe dekha mene b dekha, mene dobara dekha wo rasta cross kar chuke the bas thori der ke lye mere taraf gardan mor kar dekha tha. pass koi shakhs khara tha i don' know wo kon tha kesa tha us se mene poocha ke ye buzurg kon the to us ne jawab dia ke ya Nabi (SAW) thay. me abhi ussi jaga ko dekh raha tha to phir us shakhs ne btaya ke wo to ek lamha pehle chaly gaye yaha se.

koi iski tabeer bta de.
wesy me neik or parsa logo mein nahi ata. to phir ye khawb kesa tha
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
bhai zuroori nahi k ap SAWW naik aur parsa longo ko nazar ayen ksi ko bhi nazar aa saktay hain lakin ye kismat ki bat hai jin ko nazar atay hain us k liya boht acha hota hai ksi bat ka ishara denay bhi asaktay hain well apko is bat ka ishara dea jaraha hai k ap nmaz ki pabandi to karain hi lakin kasrat se drus-e-pak bhi parha karain...ap k liya khair hi khair hogi InshAllah{(friendz)}
 

intelactual

Regular Member
Sep 20, 2008
58
34
1,118
Aslam-o-Alaikum
Mubarik Ho.
bht Qismat walay ho. me tabeer to nai janta. bt u r very lucky. becouse its not little.
Plz maray liay b DUA krna bht ziada k me b DEEDAR-E-MUSTAFA (PBUH) kr sakoon.
thank in advance.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

ilmyar

Newbie
Mar 20, 2009
2
3
0
shukrya ap sab ka
ALLAH Kary apko bhi Jalwa-e-Pak Dekhna naseeb ho.

---------- Post added at 09:23 AM ---------- Previous post was at 09:22 AM ----------

hmmmm
Namaz ki pabndi
good suggestion
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

jama1

Newbie
Jan 20, 2010
106
10
0
44
الحمد اللہ رب العلمین والصلوٰة والسلام علیٰ سید المرسلین

اما بعد فاعوذ باللہ من الشیطنٰ الرجیم بسم اللہ الرحمن الرحیم

جزاک اللہ خیر
 
Top