Zindagi Dhoop Tum Ghanaa Sayaa

  • Work-from-home

Haania

Regular Member
Jan 21, 2016
72
112
33
تم کو دیکھا تو یہ خیال آیا
زندگی دھوپ تم گھنا سایہ

آج پھر دل نے اک تمنا کی
آج پھر دل کو ہم نے سمجھایا

تم چلے جاؤ گے تو سوچیں گے
ہم نے کیا کھویا ہم نے کیا پایا

ہم جسے گنگنا نہیں سکتے
وقت نے ایسا گیت کیوں گایا

جاوید اختر
 
sonofaziz

TM Star
Dec 28, 2015
1,044
679
1,213
Karachi
تم کو دیکھا تو یہ خیال آیا
زندگی دھوپ تم گھنا سایہ

آج پھر دل نے اک تمنا کی
آج پھر دل کو ہم نے سمجھایا

تم چلے جاؤ گے تو سوچیں گے
ہم نے کیا کھویا ہم نے کیا پایا

ہم جسے گنگنا نہیں سکتے
وقت نے ایسا گیت کیوں گایا

جاوید اختر

Bht Khoob
چھوڑ یہ وفاؤں کے قصے یہ عمروں کا رونا ہے
پہلے کون تھا تیرا۔۔۔۔۔؟؟ جو اب کسی نے ہونا ہے۔۔۔۔؟؟؟​
 
  • Like
Reactions: Haania

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
umda janab :)

یہ ہجر کیا ہے یہ وصال کیا ہے
یہ گردشِ ماہ و سال کیا ہے
یہ جملہ رسمی سہی مگر تم
کبھی تو پوچھو کہ حال کیا ہے
 
  • Like
Reactions: Haania

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
jee bhai............ woh to hum samjh gay.
lakin hum yeh soch rahay hain k kiya dil ki maan kar insan dukh hi paata hai?
ji sister ji ............ Baat yeh hai keh aap jis par bharosa karte jis par etemaad karte ho agar aap ka wo intikhaab drust hai to pher to Zindagi jannat ban jati hai mgr aap ka ghalat intikhaab aap ko anso'on ke siwa kuch bhi nahi de sakta :)
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313

ghalat intkhaab / drust intkhab ka kaise pata chalta hai................ jab kisi ka intkhab karo to us time to nahi pata hota na k hum theek kar rahay hain ya ghalat... phir qabal az waqat is dar se peeche hi rehna k janay naseeb mein kiya likha hai.... kiya ghalat nahi?

mazrat chahtay haiN bhai lakin pata nahi kyun ajeeb se sawaal uth rahay haiN zehn o dil mein to socha k thora discuss kiya jaaey.
 
  • Like
Reactions: muttalib

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
ghalat intkhaab / drust intkhab ka kaise pata chalta hai................ jab kisi ka intkhab karo to us time to nahi pata hota na k hum theek kar rahay hain ya ghalat... phir qabal az waqat is dar se peeche hi rehna k janay naseeb mein kiya likha hai.... kiya ghalat nahi?

mazrat chahtay haiN bhai lakin pata nahi kyun ajeeb se sawaal uth rahay haiN zehn o dil mein to socha k thora discuss kiya jaaey.
Sister Ji ......... Hum Rang Nasal aur Status ke hisaar main is qadar ghiry hue hain keh hamary intikhaab ki soi in cheezo'n se aagy nikal hi nahi sakti bas atki hoti hai... aur koi bhi Faisla karne se pehly hamain Kam az Kam Allah se mashwara lena to chahiye keh jo main apni life keliye muntakhab kar raha hoon kia wo mere liye drust intikhaab hai?
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Sister Ji ......... Hum Rang Nasal aur Status ke hisaar main is qadar ghiry hue hain keh hamary intikhaab ki soi in cheezo'n se aagy nikal hi nahi sakti bas atki hoti hai... aur koi bhi Faisla karne se pehly hamain Kam az Kam Allah se mashwara lena to chahiye keh jo main apni life keliye muntakhab kar raha hoon kia wo mere liye drust intikhaab hai?
iss se to hum aap se mutafiq hain bhai.

rang, nasal aur status............... agar in sab ko nazar andaaz kar k dil ki maan kar chaleiN to?
 
Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
iss se to hum aap se mutafiq hain bhai.

rang, nasal aur status............... agar in sab ko nazar andaaz kar k dil ki maan kar chaleiN to?
pehli baat ke liye to Istikhara zaroori hai agar shukook o shbhaat janam le rahe hoon zehen main :)

Dosri baat Hum rang nasal aur status ko agar dekhte hain is ka matlab hum Dil se nai Dimagh se faisla kar rahe hain Kisi ki zahiri khobsorati se muta'asar hokar reshta jorhna Dil wala pyar nahi balkeh dimagh wala hai Kisi ke khandan aur Status se muta'asar ho kar reshta jorhna bhi dimagh ki perwi hoti hai
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
pehli baat ke liye to Istikhara zaroori hai agar shukook o shbhaat janam le rahe hoon zehen main :)

Dosri baat Hum rang nasal aur status ko agar dekhte hain is ka matlab hum Dil se nai Dimagh se faisla kar rahe hain Kisi ki zahiri khobsorati se muta'asar hokar reshta jorhna Dil wala pyar nahi balkeh dimagh wala hai Kisi ke khandan aur Status se muta'asar ho kar reshta jorhna bhi dimagh ki perwi hoti hai
matlab yeh k dimagh ki nahi dil ki maan k chalna hai.... Allah ki razamandi se.

aur dankay ki choT pe kehna hai

ab sar phootay ya maatha ........................main ne to haaN kar di =))
 
Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
matlab yeh k dimagh ki nahi dil ki maan k chalna hai.... Allah ki razamandi se.

aur dankay ki choT pe kehna hai

ab sar phootay ya maatha ........................main ne to haaN kar di =))
Wesy aik baat zehen main rakhni chahiye ......... keh apne Dil ke kiye gaye ghalat faisly ko drust karna bhi aap ke apne hi hath main hota hai .... bas us keliye apne dimagh ka istimal karna parhta hai kyun keh apne akhlaaqi aqdaar or rawayye se hum bht kuch sudhaar sakte hain aur Sabar bhi aik nimat hai jo Allah nawazta hai logo ko :)
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Wesy aik baat zehen main rakhni chahiye ......... keh apne Dil ke kiye gaye ghalat faisly ko drust karna bhi aap ke apne hi hath main hota hai .... bas us keliye apne dimagh ka istimal karna parhta hai kyun keh apne akhlaaqi aqdaar or rawayye se hum bht kuch sudhaar sakte hain aur Sabar bhi aik nimat hai jo Allah nawazta hai logo ko :)
bilkul yehi baat.

to saabit ho gaya na k dil k faislay agar kisi moR par nuqsan deh hoN b to unhen Dimagh aur aqal se behtari ki tarf laya ja sakta hai lakin is dar se k dil ka faisla ghalat hota hai..... yeh sochtay huvay dil ko maaray rakhna acha nahi. bas Allah ka karm hona chahiay.
 
Top