Chashm e tar mein reh jaye to taara
Chashm e tar mein reh jaye to taara
jo beh jaye to bojh e ghum koi utaara
jag jag sheher sheher hai rootha rootha
ke kyun sanam ko un se rakha pyaara
padha to bohot logon ne hai
per koun samajh paaya hai siparah
ab kuch nayi baat bhi karna seekh lo
ke ishq ne kab hai kisi ko sanwaara
afsaana nahin likhoonga jaan pe aati hai
yaad rakho samajhna hai to samjho ishaara
auron ko dil bhar ke sunaye apne qissay
humain keh kar taala ke nahin kehte dobaara
zindagi raas ne aaiy kuch aur bante
shab bhar jagte hi hain kyun na bane sitaara
***Saifali_Chiragh***
Chashm e tar mein reh jaye to taara
jo beh jaye to bojh e ghum koi utaara
jag jag sheher sheher hai rootha rootha
ke kyun sanam ko un se rakha pyaara
padha to bohot logon ne hai
per koun samajh paaya hai siparah
ab kuch nayi baat bhi karna seekh lo
ke ishq ne kab hai kisi ko sanwaara
afsaana nahin likhoonga jaan pe aati hai
yaad rakho samajhna hai to samjho ishaara
auron ko dil bhar ke sunaye apne qissay
humain keh kar taala ke nahin kehte dobaara
zindagi raas ne aaiy kuch aur bante
shab bhar jagte hi hain kyun na bane sitaara
***Saifali_Chiragh***