samajh to pehle hi ayi bt jo mai ne samjha kia ap ne b wo samjha aur ghalib ne kia samajh kar ye likha ye maloom karna tha"na tha kuch to khuda tha",
"kuchh" means zameen o aasman ya kul qainaat jab ye sab nahin tha tb bhi KHUDA tha
"kuchh na hota to khuda hota"
means ye QAINAT na hoti to bhi KHUDA HOTA'
"duboya mujh ko hony ne ,na hota main to kia hota"
means jb insan main MAIN ajati hai to usy lagta hai k wo sari duniya ko ghulam bana sakta hai aur ye he us ki MIAN usy khuda se takrany se bhi nahi rokti jesa k roos k aik badshah ZAR ne khudai ka dawa kia aur akhir nist o nabood ho ker rah giya ..,
is liy kaha k duboya mujh ko hony ne na hota main to kia hota,,
kuch samajh i k pehly wala bhi geya
g ab ghalib ne kia socha to ye KHUDA behter janta hai ,,samajh to pehle hi ayi bt jo mai ne samjha kia ap ne b wo samjha aur ghalib ne kia samajh kar ye likha ye maloom karna tha
to dusre misre me shirk chupa hy ?
ghalib b khudai ka dawa bata raha hy is misre me ye hi na ?
duboya mujh ko hone ne matlab ke uska insan hona usko dubo gaya
na hota mai tu kia hota matlab na hota tu khuda hi hota auzubillah
kia mai sahi hu ap tashee karo mene galat smjha hy tu
g ab ghalib ne kia socha to ye KHUDA behter janta hai ,,
agar bat ko ghuma phira k shirk nikalen to nikal ta hai,,,
wese sidha sa padhen to i don't think so k aesa kuch hai is line main.
mujhy pata chal geya tha k ap ne Q? q kia hai
g mai hamesha ese bat se dur hi rehta hu jidar shk dikhe
islie ap se pucha shukriya