Round-2 (debate Round)!

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
nojawan nassal k paas aur koi option nhi hai pehle wo sab ko azma chuky hai azmaye huay ko azmanay se behtar laga nojwana nasal ko imran khan ko vote dena
yeh baat!! shukriya aayat aap ney hamari baat tasleem ker k {(thx)} sabit kerdiya k 1st impression is da last impression... mey ney logo sey yahi suna k Imran khan kaam zaror kerwaeyga... wo mor tor jawab deyta hey... or us ki baatun mey dam nazar aata hey etc etc...
@Star24 @Aunty_Nasreen @Abidi
 
  • Like
Reactions: Aayat

Pariwisha

TM Star
Apr 19, 2013
4,569
3,987
513
Jab Koi aur Option mojod na hOo tu Dobara bhi ja saktay hain..! aur aisa meray Ird Gird bOhat se log kertay hain aur Next Time un ka ImpressiOn Change bhi Ho jata hay..! Kyun k Ho sakta hay First Impression Jo para us k pechay koi Valid reason hOo.
esaaaaaaa kbi bhe nhe hota
 
  • Like
Reactions: Star24

ChoCo

{ ' . ' } {C__C}
Super Star
Oct 29, 2012
6,169
6,637
363
MaRs
Asalam O Alaikum!
Dear Judges @hoorain Apoo And Team-A

Aj me jis topic k khilaf (against) apnay khayalat ka izhaar kron ga woh hai
"First Impression is the last impression"

Agar me apni baat ki shuruaat iss baat se kroon k First impression is not The last impression tau yh ghalt na hoga! Jo log yh consider krtay hain k kisi b shakhs ka first impression uss ka last bhi ho ga! unn tamaam physcology ki degrees ki toheen krtay hain jis ko hasil krnay k la taadad talbaa kaiyon saal mehnat krtay hain!

Kisi b Shakhs ko just aik mulaqat me ya uss k pehlay impression se pehchaaanana bht he mushkil balkay taqreeban aik na mumkin sa fael hai! Is ki wazahat kuch iss tarah se kron ga k aik Washing machine ka jb new model ata hai! tau uss ko smjhnay me aur jaan-nay me kitna waqt darkaar hota hai! aur insaan tau aik complex tareen makhlook hai iss ko is k first impression ki bunyaad pe us ka rawaya ya us ka character bna lena intehai ghair munasib si baat hai!

Iss Amr ko Kuch misaalon ki roshni me daikhtay hain! :)

1- Me Bazaat e Khud aik Misaal:
Iss Discussion k dooran kuch logon ka istafsaar tha k jb b interview dainay jatay hain tau ap ka first impression bht acha hona chahiyay!
Bht dair pehlay ki baat ni hai! k muje aik jagah interview ki call ayi thi! :)
Yh 13 logon ka panel tha jis me apni fields k mahir log baithay thay!
Mujh se pehla sawaal bht asaan poocha gya per me us ka ghalt jawab dy gya! jis se mera pehla impression bht ghalt para! per uss k baad na sirf me aglay questions me yh impression change krnay me kamyab rha balkay un ki taraf se offer letter haasil krnay me b kamyab rha! Abb agar daikha jae tau iss lihaaz se mera first impression bilkul b acha nahi tha per unhon ne mere first impression ko last ni jana balkay mere se aur sawaal pochay ta k behtar tarekay se judge kia ja skay!

2- Choco Misaal k torr pe:
TM pe new new anay k baad mera first impression bht he bura para tha! Meri larai TM ki aik bht he qadd awar shaksiyat k saath ho gai thi! Iss ghalt aur kharab impression k bawajood TM pe kisi ne yh ni kaha k tumhara first impression tau bht bura tha tumhari personality he aisi hai! balkay jaise jaise log baat krtay gaye Ahista Ahista sb ne acknowledge kia!
@Nelly apoo iss baat ki gawah hain! :)

3- Tooba khan ki misaal:
Tooba Khan k baray me muje kaafi logon ne yh impression dia tha woh bht he gussile hain! Etc etc! Mera un k baray me first impression yehi tha k woh bht khauffnaak hon gein! per unn se baat krnay k baad pta chala k woh bht shaista aur sensible hain! Aur first impression chahay jo b ho insaan ko iss se judge ni kia ja skta and na he koi conclusion nikala ja skta hai!

4- Imran Khan Misaal k Torr pe:
1987 me Pakistan World cup haar gya tha! Uss k baad imran khan ne retirement le li thi! jb 1992 me Retirement wapis li tau tamaan logon ka first impression yehi tha k Imran khan perform ni kr skay ga! Magar Imran Khan ne na sirf perform kia balkay world cup b jheeta aur saabit kr dia k first impression is not the last!

Siyasi careeer ki baat ki jae tau 17 saal pehlay jb Imran Khan ne Apni Political party bnai thi tau first impression yehi tha k Imran khan k bass ki baat ni politics magar aj 17 saal baad Issi first impression ko ghalt sabit krtay huay and yh proof krtay huay k first impression is not the last! aj woh main stream me hain!

5- Amitabh bachan ki example:
Amitabh bachan ka first impression un ki first film me bht flopp tha saat hindustani un ki first film thi jis k baad directors ne unhain fail karaar dy dia tha! Aj wohi Amitabh bachan hain jinhain bollywood ka icon star kaha jata hai! Once again he proved all the people wrong k first impression is not the last impression.

6- Billgates and Thomas Edison ki misaalein:
Billgates and edison jinhain un k teacher first impression me nalaik tareen students karaar daitay thay and unhain school se nikaal dia tha aj poori dunia me un ka bol baala hai! Un ki life history daikho tau saabit hota hai k first impression is not the last impression.

7- namrah Ahmed k novel Iblees ki Misaal:
Namrah Ahmed ka aik bht mashoor novel hai Iblees. Jinhon ne woh parha hai woh yh jantay hon gy k uss novel me bazahir first impression se naik aur parsaaa nazar anay wala professor asal me kitna shitaan aur bhiyanak tabiyat ka maalik hota hai! Again prooving k First impression is not the last!

Your honour! @hoorain apoo Aik bnday ko mehz uss k thoray se time me judge krna aur yh andaza lga lena k iss ki tabiyat ya personality yhi hai bht he ghalt amal hai! Kia pta kon kisi majboori k teht kis mood me ho! So First impression Is never the last impression!


Aisi beshumaar misaalein hamaray paas mojood hain!
Time ki kami k bais me apni debate ko ider he khatam kroon ga!

Akhir me aik baat kahon ga!
"Hum me se hr koi aik second chance deserve krta hai! First impression me bura nazar anay wala insaan asal me acha aur naik seerat b ho skta hai and first impression me naik parsaa nazar anay wala insaan aik iblees b ho skta hai! hamein hr qadam phoonk k rakhna hai and logon k baray me soch smjh kr observe kr k phir raaye qaim krni hai!"

JAZAKALLAH! :)
Thanks ;)

@mahen @kool~nomi @HuriYa @Nelly @Star24

Point to be noted @hoorain apoo :p
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
aur Mujhay bhi aap ki aqal pe hyrat hay..! ager Fist Impression hi Last hay In every Case, In every situation tu phir Insano k dermian itnay Conflicts kyun hain? Kyun her koi aak doseray k rawiyon ko rota phir raha hay? aap shairy Utha k dekh lain us main bhi mehbob k badal janay ko hi Centarl Point banaya jata hay..!

aur aaj aap Jitnay bhi Lovers dekhtay hain un ka dukhra bhi yahe hOta hay k main tu usay aisa samjha tha/samjhi the aur wOh aisa nikala..? means First Impression Change ho gya yahan bhi

Jab Love Marriege hote hay tu Umeed yahe hOte hay k dono aak doseray k sath Chalen gay..! First Impression acha hay mager Motsly result Divorce ki surat main nikalta hay Last Impression Change kyun hua phir?

yah Human Nature hay Jo waqt, Halat aur zurrorat ki tehat badalti hay aur In se linked Impressions bhi badaltay hain Jabhe Insan badlta hay warna us ki zindagi main hamesha tasalsul hi rahay Jo k Mumkin nahi aur yah sirf is liye hay K First Impression is the Last Impression Insani Fitrat k khilaaf hay..!
ye pyar andha hota hai (213)aur iaisi umeriya mai aisi batain hoti rehti hai
 

Aayat

TM Star
Dec 9, 2011
1,020
737
613
yeh baat!! shukriya aayat aap ney hamari baat tasleem ker k {(thx)} sabit kerdiya k 1st impression is da last impression... mey ney logo sey yahi suna k Imran khan kaam zaror kerwaeyga... wo mor tor jawab deyta hey... or us ki baatun mey dam nazar aata hey etc etc...
@Star24 @Aunty_Nasreen @Abidi
achaeweee lolzzzz iss mai apk quote ki mene kahan tasdeeq kr di

n idnt knw k ap ne yeh example kio di jiska sirray se koi link hi nai banta is quotation se n uska first impression as a chrikter hi tha na hamaray pe ab aap ussay politics mai acha keh rahay hai yeh khulla tazaad nahi :p

aur aap ne first impression ko hi last rakhna tha na change kio kr diya apna impression

so i can proudly say that we are right

FIrst impression is not the last impression :p

@Maheen_Hassan @ChoCo @faari @Sarlaa_TM
 

ChoCo

{ ' . ' } {C__C}
Super Star
Oct 29, 2012
6,169
6,637
363
MaRs
achaeweee lolzzzz iss mai apk quote ki mene kahan tasdeeq kr di

n idnt knw k ap ne yeh example kio di jiska sirray se koi link hi nai banta is quotation se n uska first impression as a chrikter hi tha na hamaray pe ab aap ussay politics mai acha keh rahay hai yeh khulla tazaad nahi :p

aur aap ne first impression ko hi last rakhna tha na change kio kr diya apna impression

so i can proudly say that we are right

FIrst impression is not the last impression :p

@Maheen_Hassan @ChoCo @faari @Sarlaa_TM
Well @Aayat MASHALLAH! :)
Just give your reasons and dalaail :)
Don't worry about what others have to say ;) :p
 

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
aur Mujhay bhi aap ki aqal pe hyrat hay..! ager Fist Impression hi Last hay In every Case, In every situation tu phir Insano k dermian itnay Conflicts kyun hain? Kyun her koi aak doseray k rawiyon ko rota phir raha hay? aap shairy Utha k dekh lain us main bhi mehbob k badal janay ko hi Centarl Point banaya jata hay..!

aur aaj aap Jitnay bhi Lovers dekhtay hain un ka dukhra bhi yahe hOta hay k main tu usay aisa samjha tha/samjhi the aur wOh aisa nikala..? means First Impression Change ho gya yahan bhi

Jab Love Marriege hote hay tu Umeed yahe hOte hay k dono aak doseray k sath Chalen gay..! First Impression acha hay mager Motsly result Divorce ki surat main nikalta hay Last Impression Change kyun hua phir?

yah Human Nature hay Jo waqt, Halat aur zurrorat ki tehat badalti hay aur In se linked Impressions bhi badaltay hain Jabhe Insan badlta hay warna us ki zindagi main hamesha tasalsul hi rahay Jo k Mumkin nahi aur yah sirf is liye hay K First Impression is the Last Impression Insani Fitrat k khilaaf hay..!
lo sawal b khud or jjawab b khud hi dey rahi.... aap kehrahi k jitney b piar kertey tu piar mey ye hojata wo hojata... tu aap ney khud saabit kerdiya k log still importance hi first impression ko deytey hein.... q k insaan ki fitri nature hoti hey k first impression ka asar ley ker hi agla step lia jata hey... dats y first impression is da last impression :D
or ghussa na hoon mene tu mazak mey kaha tha aqlon wala jumla. sorry
@Abidi @Aunty_Nasreen @Star24
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
maan gai na k impression kharab dala tha (213)
Jab aap ko kise Emergency main dresses silwanay Hon aur aap k pass Koi Option mojod na HO ager Family main shadi hay yah phir Eid ka moqa hay tu aap k ilm main yah baat ho ge k Kitna rush hota hay tailors k pass..! toh Jis banday k pass Koi aur Option hi nahi tu definately wOh us banday k pass hi jaye ga Jis ne Kabhe us pe acha Impression nahi dala Laken is Umeed k sath k ab woh aisa nahi keray ga..! aur woh acha kaam ker deta hay tu Definately us k Customer ka Impression Change ho jaye ga..!
 
Status
Not open for further replies.
Top