Bhoot khubwohi to
suniay
arz kiya hai
mere sayyad se keh do
mujhay azaad kar de
kay ab damm ghutnay laga hai
be dar o dewaar se is qafas mein
jahan koyi rozan nahi
k chanda jhaank kar bolay
bana kar meri kirnoN ko seeRhi
qafas se azaad ho jaao
na koyi jugnu hai na taara
k jis ko samjh loN maiN
teri mohabbat ka istaara
kisi time poori nazam share kareN gay siso