( 20 sadi k humen sellers)
Introduction:
by the name of Almighty Allah...
Aaj mai yaha pe ek kahani post kerni ja rahi hu I hope k aap sub ko passand ayegi..
aap sabnay apnay zindagi may buhut say kahani sunay hungay aur buhut say love stories perhay hungay ju apkay dil ko buhut passand aye hugi
stories may kuch tu dastan hutay hain aur kuch serf ek khayali kahani ju ek writer apnay sooch k mutabik ek kahani bayan kerta hain pher ju dastaan main aaj apko bayan kerni wali hu voh tu na meri khayali kahani hain aur na kissi aur ki yeh ek true story hain ju kabhi kissi waqt yeh story kissi k zindagi k ek lamha tha yeh story ka harf ba harf mujhay yaad tu nahin pher ha ju sooch may meri baki hain voh main apko bayan kerna chahti hu tha k yeh story jis k saat haqiqat may hua tha voh aap b jaan sako jess insaan nay apna her lamha dard main guzara aur us dard may b apni halat hum tak ponchanay k liay apni khud k kahani.. tha k uski yeh kahani hum tak phonchay aur hamari zindagi uski zindagi k tarha barbad na hujayeh.
Yeh story ko bayan kernay may meri maksad apko dukhana belkul nahin ager yeh story parh kr kuch logo ko bura lagta hain ya dukhi hutay hain tu main pahlay se Mazraat chahti hu meri maksaad serf apko agah kernay k liay hain..
2 saal pahlay yeh kitab perhi thi ju buhut old book tha aur yeh persian language may published hoe thi ju shayed yeh book ab kissi library main na hu kio k 3 saal pahlay b buhut mushkel say mujhay pernay ko meli
main nay buhut say libraries may talash ki es book ki ta k aur b story ko achi tarha samajh sako pher nahin meli pher 2 baar es book ko perhi ju aaj tak main es kahani ko bhool nahin saki shayed es liay k yeh ek sachi kahani hain haa yeh true story hain ju es book may he byan hua tha aur ager es book k title ko hum urdu may translate keri tu es ka naam yeh atha hain ( 20 sadi k humen sellers)
jesku kholasa taur per mai yaha per post ker rahi hu
kuch time lagay ga pura story ko post kerne k lie
......................................................................................................
part one:
jinho ne is story ko hum tak pohanchaya hai,mujhay uska naam yaad nahin toh uske naam k jaga yeh code use ker rahi hu( ****)kahani ko yahan se shroo kerte hain................................................
***-:
"her din jab bhi main yahan say guzarta hun hamesha ek ronay ki awaaz sunta hun, pata nahin k yeh awaz kis ki hai jo mujhay sunai deti hai yeh kaun hai jis ki awaz main itna dard hai.
door door tak dekha main nay per koi bhi nahin tha laikin phir bhi uski awaz arahi thi,
bina kuch dekhay her din k terha mai yahan say guzarta hun.
per aaj to main zaroor isko dekhonga k akhir kon hai yeh jo her roz itni shiddat say roya kerti hai.
her taraf dekha main nay per koi bhi na tha tabhi meri nazar ek weran jhonpree per pari......
to main us jhonpree k nazdeek gaya, awaz aur bhi zyada sunai dene lagi, tabhi main nay socha k kia main under jaa ker dekhon k kon hai aur kis takleef main hai per phir main nay yeh bhi socha k agr kisi ne pocha k tum yahan kiya ker rahay ho toh main kia kahunga, bus yehi soch mujhay pareshan ker rahi thi laikin main janna bhi chahta tha k akhir yahan kiya masla hai?
***-: bus akhir main ne sochna bund kia aur faisla kia k main zaroor under jaon ga takeh mujhe pata chale k under kon hai aur kis takleef main hai aur aisi kia majboori hai jo aisi jhonpri main rehti hai.
tabhi main jhonpree k under gaya,dekha to ek lerki thi jo bohat takleef main thi aur halat itni kharab thi k... bus
main uskay nazdeek gaya aur pocha k aap kon hain aur aap ki aisi halat kyun hai, tabhi bohat mushkil say usnay yeh jawab diya".
Badria:-
"main woh budnaseeb hoon jis ne zindagi main hamesha intezar hi kia aur aj main apni akhri sansen gin rahi hoon aur aj bhi intezar kr rahi hoon per mujhe aj tak kuch bhi hasil nahin hua"
***-:
" tabhi usnay apne pass say kuch purane kaghzaat aur khat nikaley aur kaha."
Badria:-
is may main nay apni zindagi ki dastaan likhi hai, woh sab jo mere saath hua hai.
isay parhna aur meri dastaan sab ko batana takeh jo mere saath hua hai kisi aur k sath na ho aur is main kuch khat hain jo main nay apne maa,baap aur apne mangetar ko likhay hain pata nahin k yeh khat mere mangetar ko milen gay ya nahin per ap inko apnay pas rakhna.
aaj tak yehi sochti thi k kash koi to aye jisay main apni yeh dastan sunaon takeh dosron ko meri halat ka pata chalay aur ho sakta hai k mere kisi apnay ko mere baray main pata chalay, mujhay yeh b maloom nahin k mera koi apna aaj zinda b hai ya nahin lekin phir b chahti hon k dosron ko bhi pata chalay takeh woh apni zindagi main aisay halaat ka shikaar na hon.
isi umeed pe aaj tak zinda hon, bus meri yeh akhri khwahish hai ap hi isay pora ker saktay hain kia aap meri madad karen gay?
***-:
tab main nay kaha han zaroor aap bataiye.
Badria:-
aap ko main apni dastaan de rahi hon jis se apko mere baray main sab kuch maloom ho jaye ga, bus aap isay parhen aur dosron ko sunaen."
***-:
bus woh dastaan jo khat aur kaghazat main likhi thi usay lekar main apne ghar pohancha aur main jaldie se parhna chahta tha k is main akhir kia likha hai, main ne parhna shroo kia to us main ye likha tha."
To be Continued...