AAINA

  • Work-from-home

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
alryt here's my sharing...{(popcorn)}
umeed krti hun theek hogi :s
first tym likhi ae..kch ghlti waghaira hui toh​
.​
.​
.​
.​
.​
.​
mjhy mat batana bas ignore maar dena :p
smjh gye na??? :-?
wyse is kahani ki kahani SWINE FLU pe mubni hy {(popcorn)}
cuz ksii zamane mein isne bahut wehshat phelayi thi​
aur kafi deaths bhi hui thi is ki wajah se :mad:
" AAINA "
Bheegi hui shaam ki dehleez pe bethy
dil k sulagny ka sabab soch rhy hyn
Aaj bhi Rubab apne ma'amul k mutabiq ghr k kaam kaaj khatam kr k dehleez pe aa kar bth gyi thi.
yeh woh dehleez thi jisko rubab ne kbhi hanste muskurate Umar k saath paar kiya tha.
magar aaj woh ankhon mein "umadne ko tayyar" dirya liye aur hathon mein apni "kismat si siyah" qalam liye
apni pagal nazron ko markaz pe lane ki nakaam koshish mein mashgool thi ke achanak andar aahat hui...aur rubab chonk si gayi woh bhaagti hui kamre ki taraf gyi aur roti hui Amna ko apne gale se lga kr zor zor ki rone lagi.
jane kiya darr tha jo usy andar hi andar khaya jata tha...!
aur rubab ka khof koi chota mota khof nahin tha. usy khof tha k uske marne k baad uski masoom - loh beti ka kiya hoga?
jab uske andar gardish krti hui uski rooh parwaz kar jayegi..?!
uski beti bhi agar usi ki tarha tanhayi ka shikaar hogyi toh?
Rubab apne maa baap ki ekloti aulad aur ladli aulad thi...woh ek honahar , khush - mizaaj aur jld dil-monh lene wali magar ziddi larki thi...
magar yeh sari khasusiyat us mein shaadi se pehle theen ..shaadi k baad woh us khamosh dirya ki manind hogyi jo apne andar hazaron raaz dubaye aur lakhon toofan liye kinaron se takrata rehta hy.. magar akhir mein naraz hi wapis laut jata hy.
Rubab ne do saal pehle pasand ki shaadi ki thi .. magar maa baba k khilaf ja kr nahin balke unse zid kr k , unhen mana k..
shaadi k baad rubab englistan (ENGLAND:-ss) shift hogyi...magr do saal baad us pe qehar tb toota jab usy pta chala k woh SWINE FLU (ab iski urdu mjhy nhin aati srry :-ss) jyse khatarnak jaan-lewa marz mein mubtila hy.
Yeh baat jab umar ko maloom hui toh usne Rubab se duri baratna shuru krdi..woh uske sath aise paesh ata tha jyse ..
khair..yeh wohi umar tha jisne chand jhooty lafzon k sahare bholi rubab ka dil jeeta tha.. aaj jab use kisi k saath aur khuloos ki sachi zrurt thi tab hi uski zindagi ka sab se bada sahara uske haath se nikal gaya.
umar kuch din baad ghr chor kr chala gaya...wohi umar jissne kbhi rubab ka har haal mein saath dene ka ehad liya tha...aur kbhi rubab ki muskaam ka raaz tha aaj wohh hi uske aitbaar ka qatil bhi tha. ek aisa qatil jisne qatal kiya toh tha magar qatil kehlaya nhin ja skta tha .
rubab k waldeen ki maut kch arsa pehle hogyi thi aur shaadi k baad us k khandan walon ne bhi us se qata-e-ta'aluqi kr li thi. lehaza woh bilkul akeli hogyi thi...woh watan jana bhi chahti thi magr jaa bhi nhin skti thi...
aaj bhi woh usi dehleez pe bethy umar ka intezaar hi toh kr rhi thi... aur saath saath burburate hue yeh tehreer kr rhi thi
kiya tum bhi?
shaam ki dehleez pe
aas ka deep chalaty ho??
aur
kisi awara patte ki ahat pr
darwaze ki taraf bhaagy jaty ho??
kiya tum bhi?
dard chupane ki koshish krty krty
aksar thak se jaty ho?
aur bila wajah muskurate ho?
kiya tum bhi????
neend se pehle palkon pr
dhaeron khwab sajaty ho?
ya phir bister pr laet kr
roty roty so jaty ho?
kiya tum bhi.....????!!!
khair ba-wqt harkat krne se rubab ki beemari mein wqt k saath saath sudhar hota chala gya...
aaj aamna ki aathween (8th) salgirah thi...aur usi silsile mein khareedari k waste rubab bazaar gyi thi jahan usy umar dikha...uska umar...jispe woh kbhi apna haq jatati thi...apni man-mani chalati thi . aaj woh kisi aur k saath tha... rubab smjh gyi k usne dusri shadi kr li hy..us din uske samne mtlbi duniya k garz aur fitrat AAINA hogyi.
woh sb smjh gyi....use apna kal ab drawna khwab sa lagne laga.... jo uske dil-o-dimagh mein ghr kr chuka tha..
magr woh ab usy bhoolna chahti thi...woh jhoothi umeedon ki zanjeer todna chahti thi...magar..!
samait kr mjhy apni dehleez ka pthar krde
ya khaak bna kr dar-badar kr de
usse bichar kr bade qurb mein hun main
usy kaho meri azmayish ko mukhtasir krde
us din k baad uski ragon mein khoon k saath nafrat bhi ghulne lgi.. usy is matlabi duniya se chir si hogyi...
aur phir ek din uski bardasht krne ki quwwat dam tod gyi aur wwoh apni azeez-ul-jaan amna ko usi duniya k hawale kr k chod gyi jis pe use ratti bhar bbhi aetbaar na tha...! uski rooh bhi usi khamoshi se parwaz kr gyi kitni khamoshi se subah ka sooraj shaam ko doob jata hy...!
--- Double Post Merged, Today at 4:37 PM ---
--- Double Post Merged, Today at 4:38 PM ---
@Aayat
--- Double Post Merged, Today at 4:42 PM ---
@Asma24
[DOUBLEPOST=1341933647][/DOUBLEPOST]~Unknown~
Ghooost
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Ma Shaa Allah,

Bohat he khoobsurat sharing aur bohat he achy tareeky say lafzo ku ada kiya gaya hy aur her lafz ma raaz chupa hy aur apni he aik kahani batata hy

May Allah Bless You and increase your power of writing (Ameen)
 
  • Like
Reactions: Rubi and *Muskaan*

Zonish

Active Member
Mar 24, 2012
380
197
43
khooooob Acha andaz he par kar maza aya .......kuch batein suspense me hi reh gaien,,,,,,,
likhti rahye share karti rahye,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
 
  • Like
Reactions: Rubi

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalamo alaikum Siso mein insha'ALLAH raat mein yeh parh loonga

woh kya hai ke abhi coaching centre mein jaane ka time hai naa sorry

lekin raat ke auqaat insha'ALLAH zaroor parh loonga : )
 
  • Like
Reactions: Rubi
Top