History Allah ki Rehmat

  • Work-from-home

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Hazrat Moosa(A.S) koh-e-Toor pe jaa k Allah Ta'ala se baten kiya krty thay.Aik dafa aap ne Allah Ta'ala se poocha:
"Meri umat mein sb se Gunnah gaar shakhs kon ha?"
Allah Ta'ala ne farmaya:
"Falan jaga 1 jangal ha' is k raasty mein khary ho jao' subh k waqt jo phla shakhs guzry ga wo teri umat ka intehaee Gunnah gaar shakhs ha' jis ne bohat ziyada gunnah kiye hein."
Aap(A.S) subh k waqt us raasty pr jaa kr khary ho gae' kuch der bad aik shakhs aik bachay ko uthaye jangal ki taraf jaa raha tha.Aap ne isy dekha or wapis aa gae' phir Allah Ta'ala se kaha:
"Ab mujhe meri umat ka intehaee nek tareen shakhs dikha den."
Allah Ta'ala ne farmaya:
"Isi raasty pr khary ho jao' jo shakhs jangal ki taraf se aaye wo teri umat ka intehaee nek shakhs ho ga."
Hazrat Moosa(A.S) dobara isi raasty pr khary ho gae or ye dekh kr heraan reh gae k ye to wohi shakhs ha' phir intehaee Gunnah gaar shakhs itna nek kese ho gaya.Allah Ta'ala se ye maajara bayan kiya to' Allah Ta'ala ne farmaya:
"Ay Moosa(A.S)! jb ye shakhs jangal ki taraf jaa raha tha to is ne bacha utha rakha tha' is bachay ne sawal kiya:Baba jangal se bari kya cheez ha?"
Is shakhs ne kaha:
"Is se bary pahar hein."
Bachay ne sawal kiya:"Pahar se bari kya cheez ha?"
Is shakhs ne kaha:"Aasmaan pahar se bara ha."
Phir bachay ne sawal kiya:"Aasman se bari koi cheez ha."
Is shakhs ne jawaban kaha:"Mere Gunnah."

Bachay ne sawal kiya:"Aap k Gunnahon se bari koi cheez ha?"
Is shakhs ne jawab diya:"Allah ki rehmat."
"Ps ay Moosa(A.S)! mujhe is shakhs ki ye ada pasand aayi' or mene isy tumhari umat mein sb se nek tareen shakhs bna dia or is k tamam Gunnah maaf kr diye.
 
  • Like
Reactions: AdhoriMohabbat
Top